namskaar doston hum aaj fir haajir hain apni Ishwar Vaani mein uss parmeshwer ke vachan/vaani aapse baantne ke liye, doston humne Ishwar se kuch sawal kiye jo humare mann mein utpann huye the aur unka bahut sahaz tareere se uss parmeshwar ne hume jawab diya, chaliye hum aapko batate hain ki humne uss parmeshwar se aise kya sawal kiye aur unka kya jawab unhone hume diya....
humne prabhu se puchha "Hey Prabhu hume bataye ki jaise shaashtron mein likha hai Naari ke vishaye mein ki ek naari ko apne pati par poorn roop se samarpit hona chaahiye, yadhhapi uska pati uss par chaahe jaise bhi atyaachaar kare kintu usse sab kuch sahna chaahiye, usse ye samajhna chaahiye ki ye uske apne pichhale janmon ke paap hain jo iss janm mein apne pati dwaara kiye gaye atyaacharon se dhul rahe hain arthaath wo unse paap mukt ho rahi hai, humne kaha ki prabhu ye kaisa nyaaya hai aapka jahan ek aurat ko pati vrata kah kar uska shoshan kiya jaata hai wahi purush ko aapne hi itnaa swatantra chhoda hua hai, jabki aap to kahte hain ki aapki nazar mein stree purush sab baraabar hai fir stree ka itnaa shoshan kyon prabhu?????
Prabhu ne kaha, " unhone kuch vayavshtaaye banayi thi taaki srishti mein ek praani ka doosre praani par arthaath maanav ka maanav ke prati vyavhaar baraabari arthaat samaanta, prem, vishwaas, bhaichaare, netiktaapoorn aur ek doosre ko samman dene wala ho, koi shaktiwaan shaktiheen ka shoshan na kare, shaktiwaan aur saamarthpoon praani ashaktiheen aur asaamarthpoorn praani ki sahaayata hetu sada tatpar rahe,
Ishwar kahte hain unhone shrishti nirmaan aur uske sanchaalan hetu Stree aur Purush donon ko samaan samajh kar hi iss shrishti par bheja tha kyon ki donon mein kisi ek ki majoodgi bina iss shrishti par jeevan ka aana hi asambhav hai, kintu samay ke saath maanav ne hi kuch vyavshtaye aur parmparaye banani shuru kar di, haalaki shuruaat mein unka uddeshya achhe kaarya ke liye hi nirdhaarit hua tha jaise"naari ko sada apne steetva ka paalan karna chaahiye,ye vayashtha isliye banayi gayi thi taaki bhavishya mein kisi bhi prakaar ke lobh laalach mein aa kar wo path bhrasht na ho jaaye athwa koi usse behlaa fuslaa kar path bhrasht kar ke vyaabhichaarini na bana de, isliye ye kaha gaya ki naari ko sada apne sateetva ka paalan karna chaahiye chaahe uska pati uss par kitne hi anaachaar kyon na kare wo inhe apne poorva janmon ke paapon ka fal samajh kar chupchaap sahti rahe kintu kisi behkaave mein aa kar vyaabhichaarini na ban jaaye, aisi vayashta isliye kari gayi taaki buri pravatti ke log usse ashaaye jaan kar usse kahi patit na kar de, patit hone se achha hai ki wo apne pati ke dwaara mile atyaachaar hi sahtee rahe",
kintu prabhu ye bhi kahte hain ki iske saath ye bhi vyavshta ki gayi jo purush apni patni avam ghar ki sabhi streeyon ka samman nahi karta usse samast devi-devta rusht ho jaate hain, bhale wo apnee taakat ke nashe mein aa kar apne ghar ki kisi bhi stree par anaachaar kare par ek nishchit samaye aayega jab usse uske iss kukritya ke liye uss parmeshwar dwaara jawab maanga jaayega, stree sada purush ke liye poojniye, aadarniye, sahyogini, sachhi saathini, aur ek sachhi mitra rahi hai, kintu jab ek purush uss par atyaachaar karta hai tab stree purush ke ye sambhandh tootne lagte hain, aur jab ye pavitra sambhandh tootne lagte hain to aise purush se wo Ishwar bhi prasann nahi rahta aur samaye aane par aise purushon ko kathor dand deta hai,
Ishwar kahte hain ki stee khud itnee saksham hai ki aise purushon ko khud dand de kintu praachinkaal mein ye vyavshtha isliye banayi gayi taaki stree waisa hi vyavhaar na kare jaisa purush kar ke ishwariye dand ka bhaagi banta hai, stree ko dooshon se mukta rakhne hetu hi praachinkaal mein ye vyavshta banai gayi thi"
fir humne Ishwar se puchha ki prabhu ye kaisi vyavhtha aapne banai hai ki ek purush to chaahe jitnee shaadi kar le kintu ek aadarsh stree kewal ek hi shaadi kar sakti hai, usse pati vrata kah kar kewal ek hi shaadi ki anumati aapne di hai, ye bhed bhaav kyon prabhu??
Ishwar ne kaha, " Paramparaye, Vyavshtaye, Reeti-Riwaaz, Vesh-bhoosha, Booli-Bhaasha ye sab desh/kaal/paristithiyon ke anusaar badalta jaata hai, Prabhu kahte hain ki unhone koi parampara, vyavshta, reeti-riwaaz, vesh-bhoosha aadi ka nirmaan nahi kiya, unhone kewal jeev ka nirmaan kiya hai, aur jeev ne apne jeevan ko suchaaru roop se chalaane ke liye hi inn samast cheezon ka nirmaan kiya, haalaki uska niramaan karte samay uddeshya nek tha kintu badalte samaye ke saath unme khaamiya aane lagi,"
humne fir puchha prabhu se kintu prabhu isme kya bhalayi chhipi thi, isse to saaf saaf lag raha hai ki stree ka purush dwaara shoshan ho raha hai, aur aap isme bhalai batate hain????
Prabhu bole Aadi kaal se le kar ab tak kewal ek Stree vivaah hi aadarsh vivaah maana jaata raha hai, praachin kaal ke rishi-muni, tapashvi avam aadarsh raaja bhi kewal ek stree vivaah hi karte the, kintu vyavstha jarur thi ki wo ek se adhik vivah kar le kintu nahi karte the, kintu purushon ke liye ek se adhik vivaah ka uddeshya ye bhi hota tha ki yadi kisi kanya ka vivaah kisi kaaran se ek avivaahit purush se na ho raha ho ya kisi kanya ko ek shaadi-shuda purush se preet ho gayi ho to wo usse vivaah kar sakti hai, iss prakaar praachinkaal mein aisi vyavsha manav dwaara banayi gayi thi,
humne fir prabhu se poocha ki hey prabhu kintu aisa kewal purushi hi kar sakta hai, kintu kya stee ho bhi ye hi adhikaar prapt hai ya tha to unhone kaha Desh/Kaal/Parishtithiyon ke anuroop streeyon ko bhi aisa hi adhikaar praapt tha, kintu fir bhi aadarsh vivaah Stree-Purush ke liye kewal ek patni-pati vivaah hi sadiyon se shreshtha maana gaya hai aur aaj bhi hai, aur aise dampatiyon ko aadarsh dampati kaha jaata hai jo na kewal ek pati-patini pratha ka paalan karte hain apitu ek doosre ke prati poorn roop se samarpit hai aur ek doosre ka maan samman karte hain.
humne fir puchha prabhu se " Hey Prabhu kya aapne sachh mein inn vyavshthaon aur parmparaon ka nirmaan nahi kiya??"
Ishwar ne kaha, "Nahi, maine to kewal shrishti, bhotikta aur jeevan ka nirmaan kiya hai, haan agar vyavshta ke vishaye mein main kahu to maine kewal prem, sahanubhooti, ekta, akhandta, maan-samman, bhaichaara,dvesh, raag, bhed-bhaav rahit aur samast burai rahit ek praani samaj ke kaayam rakhne ki vyavtha ki thi, dharm aur bhakti ki vyavstha ki thi, maine kewal ye hi vyavthaaye ki hai kintu meri vyavthaon ko maanav jaati ne apni parmpara na maan kar apni hi alag vyavtha banayi aur unhe parampara ka naam diya hai,"
prabhu kahte hain jo maanav dwaara banai gayi vayvshta ki bandishon ko tyaag kar kewal ishwariye vyashta ka anusaran karte hai wo anannaya moksh ka paatra bante hain, iss bhotikta mein bhale usse kashta atyadhik mile kintu jab iss bhotik shareer ka wo tyaag karega tab uske paas kewal sukh-shaanti ke atirik aur kuch na hoga jo usse iss naashwaan mrityu lok mein kabhi kisi ko nahi mil sakta aise aseem sukh ka wo bhaagi banega, kintu jo vyakti iss bhotik shareer ke bhogon mein vileen ho kar prabhu dwaara batayi gayi vyavshtha ka paalan nhi karte unhe bhotik shreer ke tyaag ke pashchaat anannaya kasht ka bhaagi hona padta hai aur tab unke paas kewal pachhtave ke siwa aur kuch nahi hota...
No comments:
Post a Comment