Ishwar kahte hain ki unhone manav-manav mein kisi prakaar ka bhed-bhaav nahi kiya hai, unki nazar mein sab samaan hai, wo stree-purush avam samast jeev jantuon ko samaan hi prem karte hain, Ishwar kahte hain ki wo humse bhi aisi hi ummid karte hain, Ishawar kahte hain ki jab iss sansaar ka rachiyta kisi bhi manushya mein kisi bhi prakaar ka bhed-bhaav nahi karta to hey manushyu tum kyon rakhte ho kya tum uss parmeshwar se bhi bade ho jo iss jagat ka rachiyata hai tatha jisne tumhe aur samast jagat ka na sirf nirmaan kiya apitu jeevan aur mrityu bhi jiskee daasi hai, wo bhed-bhaav kisi bhi praani mein nahi rakhta to tum kya soch kar rakhte ho,
prabhu kahte hain " Hey manushyon tum kis khokhali vayastha aur parmpara ke naam par kuritiyon ka bojh sadiyon se apne upar laade firte ho, inhe tyaag do, maine to kabhi koi vyastha aur parampara aisi nahi banayi jo sansaar mein kuriti ka kaaran ban jaaye, jahan bhed-bhaav utpann ho, jahan ek maanav doosre ko neecha samjhe, maine to parampar aur vayvshta ke naam par Dharm arthaat satkarm ki vyavshta ki thi, taaki sansaar mein sadev samast praaniyon mein samaanta avam prem bhaav kaayam rahe, maine kabhi koi aisi vyavshta nahi ki jo stree-purush mein bhed-bhaav kare, purush-purush mein aur stree-stree mein bhed-bhaav rakh kar ek dusre ko neecha samjhe, jaati-dharm, ameer-gareeb aur unch-neech ke naam pe praaniyon mein bhed-bhaav kiya jaaye"
Prabhu kahte hain jo Dharm, Vyavshta aur Parampar ke naam par samast praaniyon ka shoshan karte hain, main kahta hoon ki wo Adharmi ban jaaye, kyonki agar wo Adharmi ban kar meri batayi hui baaton ka anusaran karege to bhale wo iss jagat ke liye avam iss sansaar ki nazar mein wo dhoort ban jaaye kintu meri nazar mein wo mere priye honge, kyon ki main aisee har ek vyastha, parampara aur dharm ka virodh karta hoon jo iss shrishti ko bhed-bhaav swaroop aapas mein baant deti hai, isliye hey maanavo jo tumhare liye dharm hai, vyastha hai aur jis khokhali parampara ke naam pe tum sadiyon se praaniyon ka shoshan karte aaye ho usse band karo avam ishwar dwaara bataye gaye maarg par chalo anyatha tumhare ant samaye mein tumhe ishwar ke virudh jaane ke apraadh mein kathor dand diya jaayega..
No comments:
Post a Comment