Ishwar kahte hain jiske paas (dhan-sampada) hai usse aur diya jaayega kintu jiske paas kam hai ya fir nahi hai usse wo bhi chheen liye jaayega jo uske paas hai, iss waakya se Ishwar ka artha hai jiske paas Ishwriye gyaan hai, jo sadev Ishwariye maarg par chalta hai avam sadev chalne ka pryant karta hai, uss parmeshwar par aseem aastha rakhta hai aise manushyon ko aur bhi adhik Ishwariye saadhya milega, Ishwar kahte hain unka abhipraaye inn bhotik dhan-sampada se nahi apitu Bhakti avam vishwaas, aastha avam Ishwariye gyaan ke prachaar avam prasaar se hai, jinke paas ishwariye ye dhan-sampada hain unhe aur di jaayengi taaki duniya ke har kaune kaune mein ja kar unn manushyon ko satmaarg par laaya ja sake to Ishwariye maarg athawa kaarye se vimukh ho gaye hain.
Ishwar kahte hain jinke paas nahi hai ya kam hai unse wo bhi chheen liya jaayega jo unke paas hai arthaat jinke paas ishwar mein alpvishwaas ya avishwaas hai, jo kewal paakhand karte hain avam dikhaawa karte hain Ishwariye Mahima ka, aise manushyon se jo bhi unke paas Ishawariye Kripa hai, vishwaas hai jo bhi chheen lee jaayegi, aur kewal unhe hi di jaayegi jo poori tarah se Ishwariye maheema ka gaan karte hain, poorn roop se jo uss par vishwaas rakhte hain, ye ishwariye dhan-sampada kewal aise hi manushyon ko pradaan ki jaayegi.
No comments:
Post a Comment