Saturday, 22 June 2013

Vidhwa Vivaah- Bhaag-1 (A Reall Story)


(Note: ye kahani (1936) mein vidhwa vivaah par aadharit ek sachhi ghatna  hai, paatron ki pechaan na ujaagar ho iske kaaran humne unke naam avam sthaanon ko yaha badal diya hai kintu isse iss kahani ke mool tatva mein koi pareevartan nahi aaya hai, paathak iss kahani pade avam hume bataye ki tab mein aur ab ke Hindustani samaj mein kya antar aaya hai, aur aaj ka samaj vidhwa vivaah ko kis nazariye se dekhta hai. 
Dhanyawaad.)

Dulhan ke libaas mein lipati Deepa bahut hi khoobsurat lag rahi hai, baarat aane wali hai aur ghar wale bas baarat ki pratiksha mein apni nazare darwaaze pe bichhaaye baithe hain, Deepa ke pita Shri. Badri Prasad Mishra ji to bade hi bechain se ghoom rahe hain, anek sawal unke jahan mein is wakt hai, Deepa ki ma Mandakini devi  bhi apne pati ke samaan hi bechain hai aur soch rahi hai ki aakhir abhi tak baarat kyon nahi aayi jabki usse to ab tak aa jana chahiye, Deepa ke chaaron bade bhai bhi mohalle ke chakkar kayi baar kaat chuke par abhi tak baarat aur baratiyon ka kuch bhi ataa pata nahi,

Ghar mein shaadi ka mahol hai lekin naa to jyada ronak hai aur naa hi rishtedaron ka yaha taanta laga hua hai, padosi bhi apne gharon mein baithe hain jaise yaha shaadi ka mahol nahi balki aane wale kisi toofan ka koi sanket unhe mil raha ho,  kai padosi aur rishtedaar to is shaadi ke khilaaf the aur isse Hindu Dharm ke virudh maan rahe the aur isse rukwaane ke liye unhone bharsak prayatn bhi kare kintu Deepa ke bhaiyo avam uske pita ke aadhunik vichaaron ke aage unkee ek naa chali aur aakhir Deepa ka vivah ek achhe ghar mein tay ho hi gaya.
 
Ek taraf iss vivaah ko le kar logon ke apne vichaar hain to doosri taraf dulhan ke bhesh mein sazi dhazi Deepa ko aaj se 2 saal pahle ka wo wakt yaad aa raha hai jab uski shaadi  Aligarh ke rahne wale yuvak Vijay se tay hui thi, Vijay Jhansi mein  station master(Railway) ki naukari karta tha, dikhne mein bhi wo bilkul Deepa ki tarah hi tha, Deepa bahut hi khoobsurat aur ek padi likhi ladki thi, ladka bhi dikhne mein bahut achha aur pada likha aur ek achhi sarkaari naukari praapt tha, ghar wale bahut khush the is rishte ko le kar aur shaadi mein koi ko-kasar nhi chhodna  chaahte the, haalaki ladke walon ki taraf se koi maang nahi thi Dahejj ko le kar par fir bhi ladki wale apni taraf koi mauka unhe kuch bhi kahne ka dena nahi chaahte the,

Shaadi ki taiyaariya joro par chal rahi thi, ghar mein rishtedaaron ka jamghat sa laga hua tha, padosi bhi behad khush the aur unka bhi aana jaana laga hua tha, aakhir wo din aa hi gaya jab Deepa ki shaadi Vijay se hone ja rahi thi, Dulhan ke libaas mein Deepa maano koi apsara lag rahi thi, saheliyon se ghiri aur hasi thitholi karke usse chhedti saheliya tang usse kar rahi thi ki itne mein halla hua ki baarat aa gayi hai aur ye sun kar Deepa ki saheliya usse akela chhod apne hone wale Jeeja Ji ko dekhne ke liye uske kamre se baahar aa gayi, Deepa ki shaadi ho gayi aur wo apne sasuraal Aligarh chali aayi.

Tamaam tarah ke aish-aaram pa kar shahri jeevan mein pali Deepa apne sasuraal aa kar heraan ho gayi, yaha ke logon ki jeevan shelli to bilkul dehaatiyon jaisi thi, aisa jeevan to usne isse pahle kabhi jiya hi nahi tha lekin isse hi apna naseeb maan kar Deepa ne issi mein khud ko dhaalne ki kasam khaayi kintu itne mein hi uske dil ki peeda ko shayad uske pati ne samajh liya aur usse kaha “tumhe aise rahne ki aadat nahi na, tum chinta mat karo main tumhe jyada wakt tak yaha nahi rakhunga aur tumhe yaha ke maahol mein khud ko dhaalne ki koshish karne ki jarurat bhi nahi hai, maine tumhse vivah bhi isliye kiya kyonki tum aur tumhra jeevan aur jeevan shelli bilkul meri tarah thi shahari, mere ghar wale ek gaanv ki ladki se mera vivaah karna chahte the kintu main aisa nahi chaahta tha, kyonki main ek padi likhi aur shahri jeeavan jeene walee ladki se vivaah karna chaahta tha jise main apne saath Jhansi le ja saku, tum chinta mat karo kuch din baad main tumhe Jhansi le jaaunga jahan main naukri karta hoon,”  iske baad tamaam paariwaarik virodh ke baad bhi Vijay Deepa ko Jhansi le gaye.


Shaadi ko ek mahine se jyada ho gaya par Deepa ki koi kher-khabar sasuraal se naa pa kar uske mata-pita ati vichalit huye aur unhone apne bade bête ko uskee sasuraal ja kar usse kuch din ke liye apne maayke lane ko kaha,  uske bade bhai Rajendra  pahle to Aligarh gaye fir waha se pata chala ki unki bahan aur bahnoi to Jhansi chale gaye hain, iske baad Rajendra Jhansi gaye, apne bhai ko apne ghar dekh kar Deepa bahut khush hui, Rajendra ne usse kuch dino ke liye apne maayke chalne ko kaha, Deepa na kaha bina apne pati ki aagya ke wo kaise chal sakti hai, Deepa ne kaha “ bhaiya ab meri shaadi ho chuki hai, ab unki marzi hi meri marzi hai, yadi wo kahenge tabhi main aapke saath chal sakti hoon, yadi unhone mana kar diya to un par krodhit hone ki apeksha ye samjhna ki ye aapki bahan ki hi ichha hai,” Deepa ke bhai ne kaha tum chinta naa karo aaj sham ko jaise hi Jija ghar aayenge main unse turant hi is vishya mein baat karunga.

Sham ko jab Vijay ghar aaye to  Rajendra ne Deepa ko kuch dinon ke liye apne saath le jaane ki aagya maangi, Vijay ne turant haami bhar di lekin kaha jyada waqt ke liye aap Deepa ko apne saath nahi rakh sakoge main jald hi usse lene wapas aaunga, iske baad Deepa apne maayke chalne ki taiyaari karne lagi lekin itne mein hi pati-patni ke beech kisi baat par bahas karne ki aawaz Rejendra ko sunai di, itne mein Deepa bhai ke paas aayi aur boli “dekhiye na bhaiya ye zid kar rahe hain ki main bilkul dulhan ki tarah saz dhaz kar aur poori tarah se swarn-aabhushanon mein lipat kar maayke jaau taaki waha apnee saheliyon ko dikha saku ki meri sasuraal kitnee achhi aur kitne prakaar ke aabhushan unhone mujhe diye hain, unhe batau ki main yaha kintnee khush hoon, bhaiya ab aap hi bataiye kya khushi in gehano mein chhipi hoti hai, agar koi khush hota hai to ye to uske chehre se hi pata chal jaata hai, iske saath hi bhaiya agar in mehange gahnon ko pahan ke main jaaungi to raaste mein chor-daakuon ka dar mujhe satayega, chaliye yaha se surakshit chali bhi gayi to waaapas aate mein bhi dar hoga kahi ko durghatna na ghat jaaye,” ye sun kar Rejendra bole “bahan tum sahi ho par tumhare pati bhi sahi hai, tum chinta na karo tumhe kuch nahi hoga, aur yadi ek nav-vivaahita bager gahno ke maayke jaayegi to uske sasuraal ki badnaami hogi, bahan tumhe samsast gahne aur jevraat dhaaran kar ke chalna chaahiye aur rahi baat chor-daakuon ki to main hoon tumhare saath, tumhe kuch nhi hone duna naa yaha se le jaate wakt aur na waha se yaha wapas aate wakt,” ye sun kar Deepa ne kaha ki aap bhi unhi ka paksh le rahe hain kintu iske baad wo  bhai aur pati ki baat maan kar poorn roop se samast jevraat aur gahno mein lipat kar apne bhai ke saath apne maayke chali aayi.

Idhar uske pati Deepa  ke jaane ke baad ek-do din to theek rahe kintu iske baad achaanak uni tabiyat bigad gayi aur unhe aapatkaal mein hi Jhansi ke haspataal mein bharti karanaa pada, taar bhej kar unke ghar walon ko soochna di gayi, unke ghar waale aaye aur unki patni ko na pa kar bahut naaraz huye aur usse turant bulane ke liye taar bhejne ko kaha kintu Vijay ne iske liye mana kar diya aur kaha wo bekaar mein pareshaan hogi, ab wo theek hai aur kuch din mein ghar laut aaynge aur kaam par bhi jaane lagenge, wapas lautne ke baad wo khud hi Deepa ko le aaynge uske maayke se,   kuch din baad Vijay theek ho kar ghar laut aaye aur unke ghar waale bhi waapas Aligarh chale gaye.


Iske baad Vijay ne socha bahut din ho gaye hain ab Deepa ko waapas le aana chaahiye, lekin usse wapas lane se pahle unhone socha ki Jhansi mein jo unki Chachi rahti hain unse ek baar mil lu kyonki jab unki tabiyat kharab thi aur unke mata-pita avam bhai-bhaabhi jab tak Aligarh se Jhansi nahi pahuche the tab tak unhone hi unki dekh-bhaal ki thi, bas ye hi soch kar wo apni Chachi Ji ke ghar chale gaye.

Par kise pata tha ki unke ghar jaana hi Vijay ke lliye maut ka sabab banega, Vijay apni Chachi ke  ghar gaye aur khushi ke mare unki chaachi ne ankeon pakwaan unke liye banaye,  Vijay bhi unke is pyaar kea aage unhe ye na bata sake ki ye sab pakwaan Dr. saahab ne unhe khaane se mana kiya hai, apni Chaachi ke pyaar mein aa kar unhone apna parhez aisa toda ki unki tabiyat khaane khaane ke thodi derr baad hi bahut kharab ho gayi, unhe fir se Haspatal mein bharti karaaaya gaya jahaan Dr. ne bhi jawab de diya,

Vijay ke mata-pita ko soochna di gayi aur iske saath hi Deepa ko bhi uske maayke se bulwa liya gaya, jaise hi wo log Jhansi pahuche tab tak Vijay iss duniya se vida ho chuke the aur Deepa mahaj 16 baras ki umar mein apni shaadi ke 2 maheeno ke bheetar hi vidhwa ho chuki thi.  Itne mein hi aawaz aayi ki baarat aa gayi jadli jaldi sab taiyariya poori karo Deepa apne ateet ke palon se jaagi itne mein hi uski ma uske kamre mein aayi aur boli beti teri baarat aa gayi hai aur tu bhi ab ateet ki baton ko ek bura sapna samajh ke bhula kar apne wale jeevan ke bare mein soch ye kah kar wo chali gayi.
  




No comments:

Post a Comment