Ishwar kahte hain hume har uss shakhs ko maaf kar dena chaahiye jo naadani mein koi galti kar deta hai, kyon ki usse uss galti ka ahsaas nhi hota, yadi hota to wo galti karta hi kyon?? yadi kisi budhhiheen vayakti ki moorkhtavash kahi hui baat, avhelna ityaadi se naraz ho kar uske saath bhi waisa hi vayvhaar karte hain to humse adkhik budhhiheen aur koi nahi ho sakta..
ek naadan manushya uss baalak ke samaan hota hai jo khud ko param gyaani samajh kar baate karta hai, usse lagta hai ki usse adhik gyaani sansaar mein koi aur hai hi nahi, wo apne gyaan ko jabardasti logon ko dikhane ki koshish karta hai taaki log usse param gyaani samjhe, jabki ek gyaani manushya kabhi khud ko sansar k samaksh param gyaani dikhane ki cheshta nahi karta, wo logon dwaara ki gayi avhelna ka bhi jawab bhi tab hi deta hai jab usse lagta hai ab iska sahi samay aa gaya hai, wo kabhi kisi ko na to neecha dikhata hai aur na khud ko sarva shresht dikhata, uski nazar mein apni apni budhhi ke anusaar sabhi mein gyaan aur samajhdaari hai,
wo buddhiheen athwa naadan manushyon ki galti ko bhi shhama kar deta hai, kyon ki aise log ek baalak ke samaan hote hai jo khud ko duniya mein sabse samajhdar samajhte hai, unhe lagta hai ki sampoorn jagat ka gyaan unhe hi hai jaisa ki ek aboth baalak samjhta hai, aise logon ki baat aur avhelna sunne ke baad bhi budhhimaan vyakti budhhiheen ki na kisi baat ka bura maanta hai balki uski har galti ke liye usse maaf kar deta hai, kyon yadi wo usse maaf na kare balki uski baaton se naraz ho kar wo usse jawab de, uski baat ko apne jeevan se jod le aur budhhiheen ko kathor se kathor dand de ya fir uske saath ussi jaisa vayvhaar kare to uss vyakti se jyada budhhiheen koi aur nhi ho sakta, budhhimaan wahi hai jo maaf kar de kisi ki naadani mein hui galti ko.....
Ishwar bhi humari har galti ko maaf kar dete hai jab hum unse sachhe dil se maafi mangte hain, agar hum na bhi maange tab bhi wo kaafi had tak humari galtiyon ko maaf kar dete hain kyon?? kyon ki hum unki tarah param gyaani nahi hai, humse jaane anjaane kitnee galtiya ho jaati hai, Ishwar iss baato ko jaante hai, kintu yadi Ishwar na maaf kare hume,aur humari har chhoti badi galti ke liye hume dandit kare to unme aur saadharan budhhiheen manushya mein koi bhed na rahega, Ishwar hume bhi ye hi seekh dete hai ki hume bhi unki tarah apne se kam budhhi rakhne wale manushyo ko shhama kar dena chaahiye,
kintu kisi ki naadani mein hui galti aur kisi k dwaara huye apraadh mein bada fark hai, galti nasamjhi ke kaaran hoti hai aur apraadh sab kuch jaanne k baad bhi manushya karta hai tatha jiske dushpareenam ka bhi uss gyaan hota hai, Ishwar kahte hai ek budhhiheen dwaara ki gayi galti ko shhama kiya ja sakta hai kyon ki usse sahi galat ka bodh nahi hota kintu ek apraadhi ko nahi....
--
Thanks and Regards
*****Archana*****
No comments:
Post a Comment