ye
dil mera kise puraakrta hai, ae mere paagal mann tu kiski raah dekhta hai, jo
dete rahe hai ab tak tujhe sirf gam aur aansu tu unhi ki raah kyon taakta hai,
tujhe nahi hai pata iss zamane ka zara bhi, tujhe nahi koi khabar iss duniya
ki thodi bhi, log milte hai, ek rishta banaate hai, kuch unn rishton ko aaj ya
kal mein tod jaate hai aur kuch unhe kuch aur pal tak nibhaate hain par ant
mien anjaam to fir wo hi unhe chhod k jaana hi hota hai, ae mere paagal mann
kuch to ab samajh tu bhi, jinki rakhi hui hai aas tune milne ki, hai jo tere
mann ki gehrai mein ek wo ummid unka pyaar pane ki, tu jo sochta hai wo karte
hai tujhse hai pyaar, tujhe rakhenge apne dil mein aur denge har lamha
khushiyon ki bahaar,
to jaan le ae mere dil wo na to kabhi karte
the tujhse pyaar aur na kar sakenge kabhi tujhse pyaar, khushiyon ki bahaar to
door tujhe sirf denge aansu aur gam beshumaar, tujhe ab tak lagta tha ki wo
nahi hai auron jaise rishte bana kar unhe yu chhod kar jaane wale, par jaan le
ae mere paagal mann hai to wo bhi ek saadharn insaan, wo kaise kar sakte hai
maanav vayvhaar se khud ko alag, zazbaaton ko jaise insaan rondta hai apne
matlab k liye perron tale waise hi unhone bhi teri har baat aur usme chhipi har
bhaavna ko kuchla hai perron tale, nahi tha unhe matlab tujhse aur teri baaton
se, unhe jo tha matlab wo tha jo ek maanav ka apne vipreet k liye hota raha hai
aaj tak, ae mere paagal mann isliye tujhse baar baar meri ye hi ek vinati hai
bhool ja ab usse, bhool ja wo sab, bhool ja har pal jo jiya tha tune unke
saath, chala tha kuch door tu bhi unke, kuch dekhe the sang unke khwaab tune,
bhool ja ae mere paagal mann sab kuch tu bhool ja, aur agar na bhool saka tu
usse, milega dard har pal tujhe, ruaalate rahenge har pal wo tujhe, aankhon se
behati ye nadi ki dhaara na kabhi rukegi teri, inhe dekh kar humesha unke
chehare pe muskurahat bhi bani rahegi, har pal milegi sunapan aur tanhari
tujhe unse, na ho sakegi fir kabhi iske koi bharpai,
isliye
ae mere paagal mann kisi k liye nahi tu apne liye sab kuch bhool ja,
jeena seekh ja tu ab unke bina, rahna seekh ja tu ab unke bina, wo kaun sa door
ja kar tujhse tujhe yaad karte honge, wo kaun sa tujhe waha par pukaarte honge,
khush honge wo apne jeevan shelly mein waha fir tu kyon karta hai koi fikar
unki, jaise wo khush hai tujhse door ja kar, tu bhi ab unke bin khush hone ki
aadat bana le, soch le tu bhi ae mere paaagal mann, ek na ek din to unhe tujhse
door jana hi tha, wo tujhse door jaane ka ek aur kahar laate isse pahle hi tune
unpe koi ek to sitam kiya, unse mile anek dard mein se koi ek to unhe diya, jo
todte wo rishta tujhse na hota sahan tujhse, tune tod kar rishta ye ahsaan kiya
hai khud pe, bas ek fariyaad hai ae mere paagal mann jaise tune tod diya hai
rishta unse par saagar ki gehrai se bhi jyada jo tere mann ki gehrai hai usse
bhi kar de juda ab usse, bhool ja ab usse, jee le apne liye, bhool ja ab
usse.........
This comment has been removed by the author.
ReplyDeletethanks & m fyn..
Delete