Saturday, 22 December 2012

Ishwar Vaani........param satya..... *16*

Ishwar kahte hain sansaar mein maanav jab jab apne mool kartavyon ko bhula kar shrishti, maanav aur praani matra ke virudh ho kar kaarya karne lagega tab tab Ishwar Desh, Kaal aur Parishtithiyon ke anusaar apne abhotik swaroop(shoonya swaroop arthaat niraakar swaroop) se nikal kar bhotik roop mein iss dharti par aaynge, aur bhatke huye maanav ko sahi path dikhaynge,

     Bhatke huye maanav ke kadam Ishwariye satta ko chunoti dete hain, isliye Ishwar maanav ko uske mool kartavyon ko yaad dilane hetu avam samast shrishti, maanav aur praanimatra ki suraksha hetu bhotik roop mein aa kar uska marg darshan karenge,

    Apni shakti aur saamarthya ke ahankaar mein doobe maanav ko sahi maarg dikhaynge, uske bhoole huye kartavaya usse yaad dila kar uske path vimukh hone par sahi path par laaynge jisse samast shrishti, maanav avam samast praani jo usse trasht the unhe bhi aise pathviheen maanav ke atyaacharon se mukti praapt ho,ishwar khte h ki wo desh, kaal avam parishtithiyo k anusar hi bhotik
roop lete h, ishwar khte hai jahan log mujhe 33 karod roopon me ginte
h to wahi dusri taraf log mujhe aakarheen khte hai, to kahi muje log
10 roopo me mante h, kintu satya kya hai pranimatra ye nhi janta, sab
manushay khud ko sahi bta kar aapas me ladne lagte hai aur aage mera
naam kar dete hai,

Ishwar khte h jahan log muje 33 karod bhotik roopo me  mante hai
waha muje manav me vyapt buraiyo ko dur krne avam manav sabhayta ka
vikas krne hetu ye roop dharan kre, kintu iske pashchaat jahan log
muje aakarheen bta kar meri upaasna krte hai, waha main aaya to bhotik
roop me khud kintu waha ke desh, kaal, parishtithiyo avam bhavishya ki
hone wali ghatnao ko dhyan me rakh kar keval uss parmeshwar ka doot
khud ko btaya, aur maanav jati ko uss niraakar prabhu me param aastha
rakhne hetu khud ko unka saadharan sevak btaya, yadi mai aisa na krta
to maanav sada mere bhotik roop ki upasna krta na ki mere nirakar
vastavik roop ki,

ishwar ne kaha ki unhone sada prani jagat ko ye sandesh diya h ki wo
bhotik roop me nhi apitu abhotik roop me virajit h, bhotik roop to wo
hme koi na koi shiksha dene k liye lete h, chahe iske liye unhe guru
banna pade ya mata ya pita athwa ishwar dwara bheja koi unka apna ya
fir uss rab ka farishta, sab kuch main desh, kaal avam parishtiyo k
anusaar tay krta hon,

Ishwar kahte hain mujhe iss sansaar mein aana to bhotik roop mein padta hai kyon ki main logon ki soch badal kar sansaar se buraiyon ka naash karna chaahta hoon, kintu yadi main chaahu to apne abhotik swaroop mein ho kar bhi ye kaarya kar sakta hoon kintu isse samast sanaar mein dheere dheere mere astitva pe ek prashn chinh lag jaayga ki kya vaastavik roop mein main hoon bhi athva nahi, isliye sansaar aur praani jagat ko apni upastithi batane aur samast sansaar ko bhotik aur abhotik ka gyaan dene hetu iss sansaar mein aana padta hai,

Ishwar kahte hain maine Desh, Kaal aur parishtithyon ke anusaar hi apne roop liye, kahi log meri pooja mujhe saakar maan kar karte hai to kahi niraakar maan kar, kintu sachh to ye hai ki main maanav ko ye sandesh dena chaahta hoon ki sansaar ke kalyaan ke liye avam maanav mein vyaapt vikrati ko door karne k liye mujhe saakar yaniki bhotik roop lena hota hai isliye main waha bhi utna hi viraajit hoon jahan main apne niraakar roop mein viraajit hoon, wo saakar roop bhi utnaa hi poojniye avam vishvashniye hai jitna ki mera niraakar roop, aur jo log mujhe kisi aakar mein nhi apitu niraakar roop mein mante hain waha bhi main viraajit  hoon, waha mera bhotik roop tyaag kar abhotik roop viraajit hai, arthaath apne kartavyon ko poorn kar main apne mool roop mein wapas aa gaya hoon, isliye samast praani jagat ko main batana chaahta hoon ki main hi niraakar hoon aur main hi saakar, donon hi roop mere satya hai,
Ishwar kahte hai ki jo log mere saakar roop ke saamne natmastak nahi hote, kaaran wo chaahe kuch bhi batate ho, kahte ho ki unke yaha sirf aur sirf iss niraakar parmeshwar ke atirikt kisi aur ke samaksh sarr nhi jhukaaya jata hai, to unn praniyon ko main ye batana chaahta hoon ki iss sansaar mein sirf  2 roop viraajit hai, Ishwar ko niraakar swaroop ko poojne wale ko wo batate hai ki kabhi    Shetaan/Rakshash/Burai ka Prateek kisi bhi aakrati ke samaksh apna sheesh kabhi na jhukao, kintu saakar ho athwa niraakar mere samaksh apna sheesh avashya jhukao chaahe Desh, Kaal avam parishtithiyon ke anusaar tum mujhe kisi bhi roop mein maante ho, kintu maano sadev mere achhe swaroop ko,

Ishwar kahte hai ki ya bhi param satya hai ki achhai aur burai mera hi ek roop hai waise hi jaise ek hi sikke ke do pahle hote hain, kintu main chaahta hoon ki praanimatra mere sadev achhe roop ko dekhe avam uska hi anusaran kare, mere bure swaroop se wo sada door rahe, Ishwar kahte hai main hi Desh, Kaal aur parishtithiyon ke anusaar achhai mein viraajit hoon kintu iske saath main vibhinn naamon se buraiyon mein bhi viraajit hoon, kintu main chaahta hoon jis burai mein hoon, log usse apne jeevan main na apnaye, sirf mere achhe swaroop ki achhai ko anugraheet kare,


Ishwar kahte hain ki samast Ved, Shashtra, Granth avam Dharmik pustake Desh, Kaal avam Parishtiyon ke anusaar  hi likhi gayi hai, jinhone unhe likha hai dheere dheere kaafi had tak inka mool roop khatm ho gaya hai, kintu abhi bhi inka mool saar ek hi hai, isliye kabhi bhi maanav ko apne Dharm, Sanshkrati, Sabhayata, Bhaasha ityaadi ko bada dikha kar doosre ke Dharm, Sanshkrati, Sabhayata aur Bhasha ityaadi ke aadhar par neecha dikhana nahi chaahiye, kyon ki maanav ko ye nahi bhoolna chahiye ki main hi janm leta hoon jahan maanav dwaara burai sansar mein had se jyada bad jaati hai aur Ishwariye satta ko burai chunoti dene lagti hai athwa Ishwar ke vachano ka matlab galat nikaal liya jata hai, aur maanav apne path se bhatak jaata hai, maanav ko sahi maarg dikhane hetu hai Desh, Kaal aur parishtithiyon ke anusaar hi main sansaar ko updesh deta hoon jinhe log likhana shuru kar dete hai aur jo sabse pahle likh leta hai, mere bhotik swaroop ke tyaaagne k baad wo hi “Dharmik Granth” kahlaata hai,


Ishwar kahte hain ki main maanav dwaara kisi bhi praani ki hatya ko sweekar nahi kar sakta chaahe log usse mujhe prasnn karne hetu hi Bali ke naam par maar daalte hain, Ishwar kahte hain yadi unhe bali deni hai hai to apne andar chhhipi burai ki de mujhe, kisi nirdosh praani ki hatya bali ka naam par wo na kare, jiss nirdosh praani ko ye tak pata nahi ki uska aakhir kasoor kya hai uski hatya bali shabd ke naam par krna ghor apraadh hai, isse main prasann nahi apitu naraj hota hoon, kyon ki maine sadev hi kaha hai ki jeevan lena aur dena sirf aur sirf mera kaam hai maanav ka nahi, kisi ki hatya se main kabhi prasann nahi hota, yadi hota hoon to kewal satkarm se, praani jagat rakhsha aur suraksha se na ki unme kisi bhi prakaar ka darr felaa kar……


No comments:

Post a Comment