na maanga humne zindagi mein kabhi kisi se, jo chaaha tha
humne mila wo hume uss rab ki marzi se, na maangi humne chaahat aur na maangi thi humne mohabbat, wo hume mili lekin uss rab ki marzi se,
koshish ki humne na rulaaye kabhi kisi ko, de sirf khushiya har kisi ko, jo kar sake wo karte gaye hum, badle mein mile iske bhale aansu aur gam, fir bhi na ki kabhi ko gila kisi se, chupchaap sabki khushi ke liye ye sehate gaye hum,
ye zindagi mere har pal imtihaan leti gayi, log aaye meri zidangi mein aur ye badalti gayi, koshish to humari har pal ye hi rahi ki na toote dil kabhi kisi ka humse, na chhote saath kisi ka jo mila hai mujhe sabhi ka,
logon ne shayad meri iss saadagi ko hi meri mazboori samajha, jo koshish rahi meri sabko khushi dene ki usse hi meri kamzori samjha, meri baaton ko naadani samajh kar har lamha thukraate rahe log,
jo aadat thi meri khushi sab ko de kar khud har dard sehane ki uss aadat ko hi meri khata bata kar mujhe hi sataate rahe log, har waqt isliye rulaate rahe log, aanu dekh kar mere na pighalta tha dil unka, wo inn aansu ko hi apne jeet samajhte rahe, unki jeet hai isme shayad isliye hum bhi aansu unki khushi k liye bahaate rhe,
duniya ko khush rakhne ki koshish thi humari, chaahe khud ko chalna pade kaanton par lekin koshish rahi ki humari chale wo phoolon ki chaadar par jo saath mere ho, door kar du har dukh uska chaahe uskee jagah rona mujhe ho, chheen k uske aankon se har ek aansu ko main pee jaau amrat samajh ke lekin uske dil mein na kabhi koi dard ho, jo bahe uske aankhon se fir ye aansu wo din mera zidnagi ka aakhiri ho,
thi meri ye hi duaa har uss shakhs ke liye jo aate mere kareeb lekin kuch waqt ke liye, jaane kyon mujhse har kisi ne naata toda, meri duaa mein hui kya kami jo sabhi ne hai mujhse har rishta toda,
nahi ki koi faiyaad uss rab se apne liye, ki thi jo daua wo thi sabke liye, fir kyon ye zamana mujhse rooth gaya, jo ayaa mere dil ke kareeb wo hi mujhse door huaa,
zindagi mein na maanga tha humne kisi se kuch fir kyon zindagi ne hi mujhe kyon liya sab kuch loot, lekin nahi hai koi shikwa aaj bhi kisi se, khush rahe mujhe dard dene wale ye hi dua hai meri uss rab se..
na maanga humne zindagi mein kabhi kisi se, jo chaaha tha humne mila wo
hume uss rab ki marzi se, na maangi humne chaahat aur na maangi thi
humne mohabbat, wo hume mili lekin uss rab ki marzi se,,
na maanga humne zindagi mein kabhi kisi se, jo chaaha tha humne mila wo
hume uss rab ki marzi se, na maangi humne chaahat aur na maangi thi
humne mohabbat, wo hume mili lekin uss rab ki marzi se...
No comments:
Post a Comment