Monday, 10 December 2012

har ghadi intzaar mujhe tera aaj bhi hai



har ghadi intzaar mujhe tera aaj bhi hai, kahte nahi hum par pyaar
hume tujhse aaj bhi hai, dur tujhse karte hai apna ye dil par wo to tere paas aaj bhi hai, naa ummid hai hum tere jaane par lekin tere lautne ki ummid hume aaj bhi hai, door tere hone ke baad bhi hume apne paas tere hone ka wo ahsaas aaj bhi hai,

ae kaash jara tu dekh paata ek baar
mere dil mein chhipi mohbbat ko, jaan paata meri naarajgi mein chhipi


meri aashiki ko, kaash meri har baat ko tu samajh paata, kaash jaan pata meri sabrah mein chhipi tujhse milne ki uss besabri ko,


  kaash meri chaahat ko tu apne liye dekh paata, hai pata mujhe
ki tujhe matlab nahi mere zazbaaton se, tujhe matlab hai to sirf khud se aur apne ahsaas se, 


par mujhe zindagi ke har mod pe intzaar tera aaj bhi hai, tu
nahi hai mera par meri har saans pe adhikaar tera aaj bhi hai,


tujhse juda
ho kar bhi mujhe tera hone ki aas aaj bhi hai, har ghadi mujhe tera
intzaar aaj bhi hai, kahte nahi par ye mohbbat bhi hume tumse aaj
bhi hai har ghadi intzaar mujhe tera aaj bhi hai..

No comments:

Post a Comment