Saturday, 1 December 2012

Ishwar Vaani *12*..........samast prithvi sampoorn brahmaand avam samast grah nakshatron ka prateek hai ईश्वर वाणी -१२




Ishwar kahte hain "samast prithvi sampoorn brahmaand  avam samast grah nakshatron ka prateek hai,iss dhara par wo sab kuch maujood hai jo anant bhrhmaand mein upastith hai bhrahmaandiye prateekon k roop mein, ishwar k prateek k roop mein, swarg k prateek k roop mein, narak k prateek k roop mein, jaise-prithvi k saagar uss aakashiye saagar ka prateek hai jisme samast grah nakshatra viraajit rahte hain, jo ki pratham baar k samudra manthan k samay bane the, jaisa ki hum iss vishaye mein pahle bhi bata chuke hain ki kaise unki utpathhi hui, ye samast deep samooh, mahadeep ityaadi unn grahon nakshatron ka prateek hain jo aakash mein dikhai padte hain, ye pahaad, ye barf, ye hafa, ye sardii ye garmi ye sab uss brahmaand mein hone wali gatividhiyon ka prateek hai,," Ishwar kahte hain "maanav ko dharti ko tyaag kar kahi aur jaane ki aavshyakta hi nahi hai kyon ki sab kuch to usse yahi prapt ho jata hai prateek k roop mein," Ishwar kahte hain ki unhone ye prateek isliye banaye taaki maanav brahmaand ki aseem shaanti ko bhang na kare, kintu maanav ati chanchal prakrati ka hota hai, usko Ishwar ne vishesh shakti aur budhhi di hai jiska wo upyog karta hai , kintu inn upyogo se shrashti ka vinaash aur kareeb aata hai, uske prayogon se bhrahmaand ki shaanti bhi bhang hoti hai, kintu maanav ye sab bhool kar khud hi apne patan ka maarg pasasht karne mein laga hua hai,
Ishwar kahte hai yadi maanav apni budhhi ka sahi tarah se prayog kare to uske hraday ki sabhi shankaon ka samaadhan yahi iss prithvi par rahte huye mil jaayga kintu maanav shayad khud aisa nhi karna chahta aur apne patan ki aur sheegra atisheegrah badta chala ja raha hai......





ईश्वर कहते हैं "समस्त पृथ्वी संपूर्ण ब्रह्मांड  एवम समस्त ग्रह नक्षत्रों का प्रतीक है,इस धरा पर वो सब कुछ मौजूद है जो अनंत भ्रहमांड में उपस्तित है भ्राहमानडिए प्रतीकों के रूप में, ईश्वर क प्रतीक क रूप में, स्वर्ग क प्रतीक के रूप में, नरक के प्रतीक के रूप में, जैसे-पृथ्वी के सागर उस आकाशिए सागर का प्रतीक है जिसमे समस्त ग्रह नक्शत्र विराजित रहते हैं, जो की प्रथम बार के समुद्रा मंथन के समय बने थे, जैसा की हम इस विषय में पहले भी बता चुके हैं की कैसे उनकी उत्पत्ती हुई, ये समस्त दीप समूह, महदीप इत्यादि उन ग्रहों नक्षत्रों का प्रतीक हैं जो आकाश में दिखाई पड़ते हैं, ये पहाड़, ये बर्फ, ये हफा, ये सर्दी ये गर्मी ये सब उस ब्रह्मांड में होने वाली गतिविधियों का प्रतीक है,," ईश्वर कहते हैं "मानव को धरती को त्याग कर कही और जाने की आवश्यकता ही नही है क्यों की सब कुछ तो उसे यही प्राप्त हो जाता है प्रतीक के रूप में," ईश्वर कहते हैं की उन्होने ये प्रतीक इसलिए बनाए ताकि मानव ब्रह्मांड की असीम शांति को भंग ना करे, किंतु मानव अती चंचल प्रक्रति का होता है, उसको ईश्वर ने विशेष शक्ति और बुध्हि दी है जिसका वो उपयोग करता है , किंतु इन उपयोगो से श्रष्टी का विनाश और करीब आता है, उसके प्रयोगों से भ्राहमांड की शांति भी भंग होती है, किंतु मानव ये सब भूल कर खुद ही अपने पतन का मार्ग प्रसश्त करने में लगा हुआ है,
ईश्वर कहते है यदि मानव अपनी बुध्हि का सही तरह से प्रयोग करे तो उसके ह्रदय की सभी शंकाओं का समाधान यही इस पृथ्वी पर रहते हुए मिल जायगा किंतु मानव शायद खुद ऐसा नही करना चाहता और अपने पतन की और शीघ्रा  आतिशीघ्रा बदता चला जा रहा है......





No comments:

Post a Comment