Friday, 21 December 2012

Ishwar Vaani.......jhooth bolna sahi athwa galat *15*

Ishwar kahte hain yadi hum kisi bhi manushya se jhooth bolte hain to chaahe iss jhooth se uss manushya ka koi ahit na ho bhale kintu hum sabse pahle khud ki aur yadi satya ka pata chal jaaye kabhi to uski nazar mein bhi gir jaate hain kyon jhoot bhi ek nishchit samay tak hi chhip sakta hai, satya kabhi na kabhi saamne aata hi hai, isliye jahan tak sambhav ho jhooth se hume duri bana kar rakhni chaahiye, Ishwar jhooth bolne wale manushya ko kabhi shhama nahi krte kyon ki jhooth insaan kisi nadani ke kaaran nahi balki poori samajhdari ke saath bolta hai,


Ishwar kahte hain kisi vishesh parishtithiyon mein bola gaya jhooth satya se bhi  bad kar maana jaata hai jaise kisi nirdosh praani ke praan rakhsa hetu bola gaya jhooth uss satya se bhi bada hai jiske bolne par uske praan sankat mein aa jaate, waise hi Desh, Raksha, Surakhsa aur kisi behad zaruratmand praani ki sahaayta ke liye bola jaane wala jhooth satya se bhi bad hai jo satya Desh, apni avam nirdosh praani ki Raksha aur suraksha hetu bola jaaye,


Ishwar kahte hai jhooth ko unn haalaton mein kabhi shhama nhi kiya ja sakta jo kisi apradhi, anetik kaarya karne wale vayakti ko bachane k liye bola jaaye, jhooth ko sirf vishesh kaaran ke liye hi bolna chaahiye, usse apne aadat mein shaamil kar khud ko sarvshreshth athwa chaalak samajhne ki galti nhi karni chaahiye, jhooth bol kar kisi ko bewkoof banana ya khud ko shreshth dikhana ye sab nahi karna chahiye, iss kritya ke liye Ishwar hume kabhi shhama nhi karte, unhone iskee utpatti sirf kisi nirdosh aur sahi maayne mein madad mangne wale ki sahayta hetu iss sansaar ki hai, isse hume apne swaarth ke liye nahi upyog karna chaahiye, aisa karne se iska mehatva khatm ho jaata hai, iski utpatti netikta aur pranimaatra ki sahayta hetu hui hai...










thanks & regards
      Archu

No comments:

Post a Comment