Thursday, 3 April 2014

mere vichaar

"ek aam insan ban bhi kya jina, zindagi jina to usse kahte hai jiske marne par bhi log yad usse karte hai, zindagi bhar har shakhs wo hi kaam karta rahta hai jise wo duniya mein aane se le kar duniya se jane tak dekhta-sikhta rahta hai, iss nakal kar ke zindagi jine ki kala ko chhod kar jo shakhs apni zindagi jine ki ek nai rah chunta hai tamam kaanto bhari raho se bhi jo nai ghabrata hai asal mein zindagi kya hoti hai ye matlab usse paramparao aur prathao ke naam par nakal kar zindagi guzarne walo se behtar samajh aata hai " (my thoughts not my poetry), agr insan un paramparao aur prathao ki rudiyo par hi chalta rahe to samaj me pariwarn kabi nai aayega aur samaj me samaj ko behtar banane k liye hme un rudiyo ko todna hoga, jo log unhe todte hai bhale tatkalin samaj me aalochna ka samna wo kare par itihaas k panno par wo sada amar rahte hai, ye maana mushkil h samaj k virudhh ja kar isme pariwartan laana par jo log apne prano ki b parwah na karte huye samast prani samaj k hit k liye apne prano ko b nyochhawar karne ka sachha vrat le lete h unke liye namumkin b mumkin ho jata h.....

No comments:

Post a Comment