Tuesday, 1 April 2014

nishabd

hai nai jahan mein akele hum fir bhi jaane q aaj nishabd hum hai, hai saath apno ka har pal fir bhi jane q aaj nishabd hum hai, gherre baithe bheed mein hume aaj ye log jaane q, baha rahe ashk apne dekh mujhe aise jaane q, 
 lete hai zamin pe hum odey chaadar khud ko dhake huye, iss bheed mein bhi tanha sa jaane q aaj bhi ye dil mera, kahna chahata logon se kuch aaj bhi mann ye mera,
 par hai nai aaj iss dil mein koi halchal, honth hai khamosh aaj mere aur jaane q nishabd hum hai,
 hai karib sabke fir bhi ye aankhe sabki namm q hai puchhte hai khud se hi sawal ye aur jawab bhi dete hai, hai gamm mein bhigi palke jinki ashk unki aankho yu beh rahe, karte nai thakte the kabhi din-raat jinse baat aaj fir wo baithe hai mere paas par nishabd hum hai......

No comments:

Post a Comment