Thursday, 7 February 2013

Ishwar Vaani-18 **satya ki raah**


Ishwar kahte hain “yadi hum satya ki raah pe chalte hain to aisi raah mein kayi aise log hume milenge jo humare param aalochak hounge aur kayi aise log bhi hume milenge jo humare samarthak hounge, lekin hume na to apne aalochakon ki taraf koi dhyaan dena hai aur na apne samarthakon ki oor kyon ki yadi hum apne aalochakon ki baton  ko dhyaan mein rakh kar kaarya karne lagte hain tab bhi na to unhe kabhi khush rakh sakte hain kyon ki unki to aadat hi hoti hai kuch na kuch khaami nikaalne ki iske saath hi hum apne mool kartravayon se bhi dur hote jaate hain, unki aalochana avam unhe prasann rakhne hetu kaarya hume humare mukhya lakshya se dur le jaata hai, isliye hume unki taraf dhyaan nhi dena chahiye, iske saath hi hume apne samarthakon ki taraf bhi dhyaan nahi dena chahiye, kyon ki yadi hum unki taraf dhyaan denge to hume ahsaas hoga ki hum bilkul sahi hai iske saath hi ahankaar ki bhaavna bhi dheere- dheere humare mann mein ghar karne lagegi ki hum sarvashva hain, mann mein ye bhaavana ghar karne lagegi ki hum auron se shreshta hain tabhi to log aaj humare samarthak hain, humare saath hain, iss bhaavana se bhi hum apne mool kartavyon ki bhool kar apne ahankaar mein doob jaaynge, isliye jab bhi hum kisi kaarya ki poorti ke liye kadam badate hain to hume kisi aur ki saraahana ya fir aalochana ki aavashyakta nahi hai bas mann mein drin vishwaas hona chahiye ki hum sahi hai, yadi hum sahi hain, humara apne uddeshya prapti ka maarg sahi hai, to chaahe puri duniya humari samarthak bane ya aalochak hume uski parwah nahi karni chahiye kyon ki yadi hum sahi hai to bhale puri duniya hume akela chhod de kintu wo parmeshwar sadev humare saath hai kintu yadi hum galat marg aur galat uddeshya ki prapti ki oor agrasar hain to bhale  bhaati jaan lein kichaahe saari duniya humari samarthak ho jaaye kintu wo parmeshwar humare saath kadaapi nahi hai, isliye apne uddeshya prapti hetu hume iss mayavi bhotikta se utpann maanav ke samarthan avam aalochan ki jagah ishwar ke saath ko prapt kar apne kaaryon ki poorti ka marg apnana chahiye, bhale hi iss kaarya mein anek kathinaiya aaye, bhale jeevan nark ban jaaye kintu hume sahi avam satya ka maarg nahi chhodna chahiye, mann mein poorn drin vishwaas rakhna chahiye ki yadi hum sahi hai to nishchit hi safata ko ek na ek din hum jarur prapt karenge, paapi maarg bhale hi hume bahut jald unchaiyon par le jaaye kintu wo naashwan hai, jab to nasht hota hai to aakash se gir kar maavan aise zameen mein girta hai jaise aakash mein udne wale pankshi ke kisi ne pankh kaat liye ho aur iss prakaar wo  fir  sambhal nahi paata kintu satya aur sahi maarg par chal kar bhale hi derr se aur anekon kashton ko seh kar hume safta praapt hoti hai kintu wo hume sadev unchain tak hi rakhti hai, kyon satya aur sachhe marg pe chalne walon ke saath sadaa parmeshwar rahte hain aur sadev hi sachhe aur sahi maarg pe chalne walon ka maardarshan karte hain, Ishwar dherya  rakhne walon, doosron ke hit ke liye apne samast sukh ko tyaag kar nihswaarth bhaav se praani kalyaan hetu kaarya mein lage praaniyon ke ko sachhi seva bhavana ko hi sachhi bhakti kahte hain, sadev Ishwar unke saath rahte hain jo sadev doosron ki prasannta avam unke hit ki vishya ke bare mein na sirf sochte hain balki karne ki tatpar rahte huye unke liye kaarya karte hain jinhe iski sabse adhik aavashyakta hai, Ishwar sadev hi sahi avam satya ke path par chalne wale pathik ke saath hain.. ”

No comments:

Post a Comment