“Bhale nahi bure sahi par meri jaan mere ho tum, paas nahi door sahi par meri jaan dil k paas ho tum, rahte nahi
khush kabhi sahi par meri jaan mere ho tum, dikhte ho khafa-khafa se mujhe aur
lagte bade beharam ho tum par meri jaan aakhir mere ho tum, aate ho jitna
kareeb tum mere bana lete ho fir se jaane kitnee ye dooriya bhale hi par meri
jaan fir bhi aakhir sirf mere ho tum, tod kar dil ko mera haste ho har baar tum par kya kahu kuch main kyonki aakhir dil tod kar hasne wale mere hi to ho tum, dhaate ho sitam itna
mujhpe par aakhir ae sitam dhaane wale meri jaan mere ho tum, milte hain bhale
laakh gam aur aansu tumse mujhe itne sahi par meri jaan mere hi ho tum, kahte hain
hum aur kahte ho tum dil mein nahi hai
koi armaan teri chaahat ka par dil ki har dhadkan se aati aawaz ye hi kehti hai
ki meri jaan mere hi to tum, juda ho kar bhi mujhse mere andar rehte ho tum
shayad isliye kyon ki meri jaan mere ho tum, tod kar har rishta dur khud se kar
ke tujhe apne dil ki gehrai se maine kiya par fir bhi meri har pachhai ke saath
ho tum kyon ki meri jaan mere ho aaj bhi
tum, laakh burai jo hai tujhme bhala to mera
mann bhi nahi, bhale bure hum dono sahi par meri jaan bas mere ho tum,
meri har khushi ke saath ho tum kyon ki meri jaan mere ho sirf tum, mere jeevan
ki aas ho tum kyon ki meri jaan mere ho tum, adhuri si hai meri duniya bin
tumhare, yaad aate hain har wo lamhe jo hain maine sang tere guzaare, unn yaadon ke saath aaj bhi
mere paas ho tum kyonki meri jaan mere ho sirf tum..”
Nice collection of Sher-o-shayari Archu...! Keep it up...and why don't you try some monetizations programs like Google Adsense with your blog??
ReplyDeletethanks Sarez Alam ji, actually google isn't accpting my request for adsense
ReplyDelete