Wednesday, 6 February 2013

pyaar chaahat hai ya srif dhokha...-story

Note: ye kahani poori tarah se satyataa par aadharit hai, iss kahani ke paatron ki ichha se unke naam yaha badal diye gaye hain taaki unki samaj mein pehchaan ujaagar na ho kintu isse iss sachhi ghatna ke mool tatva mein koi pareevartan nahi aaya hai, paathak isse bade aur jo sawal isme puchha gaya hai "pyaar chahat hai ya dhokha?" iska jawab dhoond kar comment box mein comment kar ke apni pratikriya abhivyakt karein dhanyawad….

Meri saheli ki ek saheli hai naam hai uska shaalini, padi likhi hai, samajhdaar hai, dikhne mein bhi jyada khubsurat nahi lekin theek thaak kah sakte hain, dimaag to uska masha allah bada hi meri nazar mein to moorkhtana hai par wo khud ko bada hi smart samajhti hai, usse pada hi azeeb sa shauk raha hai bachpan se, usse bachpan se ladkon se pyaar karne ka bada hi ajeeb sa shauk tha, ab ye shauk usse kya kya gul khila chuka hai kya batau main, jab wo chhoti thi aur TV pe kisi film mein koi romantic song sunti ya romantic film hi dekhti to uska mann mein ye jigyaasa utpann hoti ki kaash usse bhi koi aise hi pyaar karne wala mile, fir usne socha koi nahi ji kaun si abhi umar nikali ja rahi hai jab badi hogi to usse bhi koi aise hi chaahane wala mil hi jaayega,

   Jab wo aath(8 years) saal ki hui to uske ghar mein uske bade bhaiyon ke dost aane lage to usne socha ki kaash inme se koi aisa mil jaaye jo usse pyaar karne lage lekin ya kya wo sab to usse bachhi keh kar bulate the, fir usne socha arre abhi uski umar hi bachhi jitnee hai, thodi badi ho jaaygi to apne aap koi na koi usse pyaar karne wala ladka mil hi jaayega, fir wo jab 10 saal ki hui to apne saheli ke bhai ko pasand karne lagi jo usse kareeb 10/12  saal to bada hoga lekin fir wo hi baat wo bhi usse bachhi hi samajhta tha, bechaari badi pareshaan ho gayi, 10 saal ki uski umar ho gayi par abhi tak usse koi bhi pyaar karne wala nahi mil pa raha tha, sab kuch ek din usne bhagwan ke haath chhod kar apni padai mein mann lagane ki thaan li,

   Aur kahte hain na jab jab jo jo milna hai tab tab so so milta hai, iske saath bhi kuch aisa hi hua, jab usne kisi ke pyaar ki ummid tak chhod di thi, ladkon se dooriya bana li thi tab usse achaanak ahsaas hua ki wo fir se kisi ke pyaar mein hai, ab uski umar bhi 13 saal ho chuki thi, kishoravastha se jawani ki seediya wo chadne lagi thi lekin ab wo pahle jaisa bachhon ki tarah pyaar pane ki laalsa ki jagah kuch samajhdaari dikhne lagi thi, jab usse ahsaas hua ki wo kisi ke pyaar mein (apne classmate ke)  hai par saath hi usse iss baat ka bhi ahsaas hua ki wo ladka bhi uske pyaar mein hai, usse bahut hi jyada khushi hui aur sabse jyada iss baat ki hui kyon ki wo poore school ka sabse jyada hansome and smart ladka jo tha aur wo humari pyaari Shalini ke pyaar mein ab ghaayal ho chuka tha,dono hi ab aankhon hi aankhon mein pyaar bhari baate karne lage the, kareeb aa kar bat karne ki himmat na to uss ladke ki hui aur na Shalini ne usse apne kareeb aa kar baat cheet ka koi mauka diya, ab wo badi ladkiyon jaise nakhare jo dikhane lagi thi, unka pyaar gupchup tareeke se parwan chadta gya.

    Par fir Shalini ke iss tarah uske rude behavior ke kaaran wo ladka usse door hone laga, Shalini samajh gayi shayad wo usse bhaav nahi de rahi ya fir show nahi kar rahi isliye ye ladka usse door ja raha hai par usne usse rokne ki koshish hi nahi ki aur na ye jaahir hone diya ki usse uske jaane ka jara bhi dukh hai, usne socha agar wo usse pyaar karta hoga to jarur uske paas wapas aayega, par uske door jaane par uss ladke ko ek nayi ladki mil gayi, usse uski dosti ho gayi, dono ek doosre ke saath kaafi samay bitane lage, sab kuch humarei bechaari Shaalu ke saamne hi hone laga par ek baar bhi humari Shaalu ne ye nhi dikhaya ki usse kisi bhi baat se thodi bhi jalan ho rahi hai, usse fir bhi yakin tha ki ek na ek din wo ladka uske paas jarur aayega aur isliye usse jalna nahi chaahiye, fir ek din wo ladka uske paas aaya kyon wo ladki uska dil jo tod kar usse alag ho chuki thi par waqt ka ferr dekhiye wo tab uske paas aaya jab Shalini bhi wo shahar chhod kar kisi aur shahar aur kisi aur school mein jane wali thi, iss ummid ke saath Shalini fir usse juda ho gayi ki jab hum fir milenge to tab tak uss umar ke ho chuke hounge jab hum apne pyaar ko duniya ke saamne na sirf jaahir kar sake balki ek doosre ka haath thaam kar humesha humesha ke liye apna bana sake, aur tab tak unhe apne padai likhai par poori tarh dhyaan dena chahiye, bas mann mein ye dharana rakh kar wo usse juda ho gayi,


Par uss naye shahar aur naye logon ko dekh kar usse ahsaas hua ki ab shayad wo uss ladke se kabhi na mil paayegi aur isliye usne apne liye kisi aur ko dhoondna shuru kar diya, usse iske liye bhadkaane mein ab uski kuch saheliya bhi ho gayi, wo unhe dekhti apne apne boyfreiend ke saath to uske mann mein bhaavana aati ki kaash uska bhi koi hota aise hi boyfriend jiske saath wo ghoomti aur zindagi ka  jeene ka aanand prapt karti, jab wo 17 saal ki hui to usse kisi celebrity se lagaw ho gaya, wo uske sapne  mein din raat khoi rahti, usse pata tha ki wo usse mil to kabhi nahi paaygi par apne khwaabon mein aksar wo usse milne lagi, apne khwaabon ko wo hakikat se jyada chaahne lagi,



    Apne khwaabon ko hakikat samajh kar jeene wali Shaalu ki ek din mulaakat ek aise shakhs se hui jise dekh kar uske dimaag ki ghanti fir se bajne lagi, uss waqt uski umar ho chuki thi 21 saal, wo usse dil hi dil mein pasand karne lagi thi par uss ladke ke kuch ajeeb tarah ke behavior ko dekh kar uska lagaav uski taraf se kuch kam ho gaya aur fir se wo kisi aur ki talash mein nikal padi, usne socha jab tak hakikat mein koi nhi milta pyaar karne wala tab tak apne khwaabon mein aane wale iss celebrity se hi romance kar liya jaaye, aur fir iss tarah se wo apni duniya mein fir se gumm ho gayi.



Kahte hain kismat  mein kya likha hai koi nahi jaan sakta, jis shakhs ka vyavhaar usse kabhi ajeeb sa laga tha aur jiske wazah se usne apne mann ko uski oor se kheech liya tha fir se ek baar uski taraf uska mann aakrasht hone laga tha, usne apne mann ki baat apni ek saheli ko batai to usne kaha ki apna lo usse shayad wo hi hai tumhari  zindagi mein, fir Shalini uss ladke ko apne dil ki baat batane ko bechain ghoomne lagi, kuch ek aise sign usne usse diye jisse wo ladka uske mann ki vyatha ko kuch had tak jaan sake jisma result bhi positive hi aaya par fir bhi Shaalu usse mann ki baat na bol sake aur fir wo ladka bhi wo shahar chhod kar chala gaya, Shaalu ne socha shayad ye nahi hoga uski zindgi mein, ab usse bhool kar apne career ke bare mein sochna chaahiye, lekin shaalu usse bhool na saki, laakh koshish ke baad bhi wo usse apne mann se na nikaal saki, wo ladka kahan hai aur kis haal mein hai usse kuch na pata tha par uss par uss rab ki aisee mehar hui ki uss ladke ke bare mein usse saari jaruri jaankari mil gayi, par wo kaise usse baat kare aur kya baat kare ya na samajh mein usse aata tha, fir kareeb 2 saal baad himmat dikha kar uss ladke se shaalu ne baat ki aur e-mail ke jariye apne dil ka haal bayan kar diya, badi khush hui wok yon ki uss ladke ne jo uska purposal accept kar liya tha, kuch waqt to sab theek chala par fir dheere dheere unke beech duriya c aane lagi, shaalu aur wo mile nahi the iss purposal ke baad se lekin fir bhi unke beech dooriya aati gayi, kayi baar dono ne rishta toda aur kai baar joda, iss tod jod se ubta kar Shaalini ne humesha ke liye iss rishte ko todne ka faisla kar liya tha.

    Ab wo fir se apne liye ek naya boyfriend dhoond rahi thi jo na sirf uska boyfriend bane balki aane wale samay mein uska hamsafar bhi bane, uski iss baat ka faayda uski ek net friend ne uthhaya aur uski dosti ek aise ladke se karwai ye keh kar ki wo usse bahut pyaar karta hai aur usse humesha bahut hi khush rakhega, uss ladke ne apni umar Shaalu se kuch kam hi batayi bt fir bhi wo usse apni girlfriend banana chaahta tha, apne uss x-boyfriend se dukhi Shaalu ne iss ladke ka haath thaamna manzoor kar liya ye jaan kar bhi ki ye uski zindagi ka sabse bada risk hai, par iske saath Shaalu uss ladke se bhi apne rishte poori  tarah to nahi tod paayi thi haan kuch had tak dooriya jarur bana daali thi, par waqt ne fir se usse dhoka diya, zindagi ka risk le kar Shaalu ne jiska haath thaama tha usne bhi bas uska istmaal kar ke chhod diya ye bol kar ki humari umar match nahi karti, shaalu bahut hi jyada dukhi thi aur kya kare kuch samajh nahi aa raha tha, zindagi ka risk keh kar jo haath thama tha usne uska, aise ki kisi pareenam se wo anjaan to nahi thi fir bhi usne aisee naadani ki shayad sachhe pyaar pane ki uske hasrat ne hi usse aisa karne par mazboor kiya tha.


    Apne iss break up ke baad shaalu ne uss ladke se baat cheet fir se pahle jaisee hi shuru kar di   jisse dukhi ho kar usne kisi se naya rishta joda tha, Shaalu ko ahsaas hua ki usne iss ladke ko chhod kar galti ki thi, wo praayshchit  karna chaahti thi, koshish bas ye hi karti ki ab isse kabhi na chhodu main, koi dukh na pahuchau isse main, uskee khushi ke khaatir wo usse milne akele kisi tarah uske shahar bhi pahuch gayi, galti bas usne ye ki saath mein kisi ajnabi ladke ko le gayi, wo ladka uskee saheli ka koi dost tha, ab shaalu ka saath aur kareebi doston ne nahi diya yaha tak ki maine bhi nahi diya to wo kya karti, usse akele jaane mein darr lag raha tha par wo uss ladke ki khushi k liye usse milne wo waha jaana chaahti thi, isliye ye bhi risk le kar wo waha gayi wo ladka isse naraz ho gaya ki wo akele kyon nahi aayi, usne uski bhaavan ko nahi dekha ki wo itnee door sirf usse milne aayi bas ye dekha ki wo kisi ko saath le kar aayi, uske iske baad unme fir se anban shuru ho gayi,

Shaalu ne apne iss rishte ko bachaane ki bahut koshish ki, wo jyadatar uss ladke ki jyaadti ka jawab nahi deti thi taaki unke rishta bana rahe par wo lakda uski iss baat ko uski kamjori samajh kar uski beizzati karta raha, fir wo ladka Shaalu ke shahar aaya, shaalu usse milne gayi, par waha uss ladkne ne shaalu ki bahut hi beizzati ki, shaalu ne bahut koshish ki koi jawab na de aisa jisse unke rishte par fark pade, chup chaap sab sehati rahi par uss ladkne ne haalat aise bigaade ki ab shaalu se chup rahna muskil ho gaya, waha to kuch na kaha par ghar aa kar bahut kuch kah daala par uss ladke ne apni galati ke liye maafi maangne ki  jagah fir shaalu ko bahut kuch bura bhala keh daala, jis rishte ko shaalu bachaana chaahti thi wo ab usne khud hi tod daala,


 Iske baad meri saheli ki sahelli ko akal aayi ya nahi ye to pata nahi ya fir wo kisi aur ke talaash mein juti hui hai, meri jab uss last time baat hui thi to wo bata rahi thi ki ab wo kabhi shaadi nahi karegi, pyaar ke peechhe wo kabhi bhaagati thi ab usse ahsaas hua hai ki wo to kahi hai hi nahi bas mann ki kalpana maatra hai wo, mardon k liye pyaar sirf dilon se khelna hai, aaj wo kahti hai ki wo mardon se nafrat karti hai, galti par thi wo jo ye samajthi ki pyaar karne wala kabhi koi usse bhi milega sach to ye hai jo cheez hai hi nahi wo mil kaise sakti hai, pata nahi wo sahi kah rahi hai ya jhooth ki ab uska mann inn sabse bhar chukka hai ya fir kisi aur ki talash mein wo juti hui hai, par mann mein mere ye sawal jarur uthhta hai ki aakhir shaalini ka kasoor kyat ha, sirf ek sachha pyaar aur ek sachha humsafar paana bas ye hi to uska kasoor tha, uske saath aisa hua kya wo sahi tha, logon ne uski bhaavnaon ke saath khilwaad kar jata diya ki sachh mein aaj ke waqt mein pyaar sirf kitaabon mein, tv ya filmon mein hi milta hai, hakikat mein dhoondon to sirf dhokha hi naseeb hota hai…



So pyaar paathak aapko meri ya kahani kaisi lagi plss aap mujhe jaroor batana, aake viewz ka mujhe besabri se intezaar rahega..


Dhanyawaad
 Archu

5 comments: