“Jee chaahta hai tujhe gale se laga lu main, jee chaahta hai
door kahi tujhe le chalu main, jee chaahta hai na aane du kabhi koi gam
aur pareshani zindagi mein ab tumhari, jee chaahta hai kabhi na namm hone du ye
aankh fir tumhari, jee chaahta hai de du
tujhe apne hisse ki har khushi saari, jee chaahta hai tujhpe kar du apnee
kurbaan ye zindagi saari, jee chaahata hai ek baar fir tujhe pukaar lu main, jee
chaahta hai tujhe apne paas fir bula lu main, jee chaahta hai toote huye har
rishte ho fir jod lu main, jee chaahta hai tujhe mann mein basa lu main, jee
chaahta hai tujhe apne aanchal mein chhipa lu main, chaahta hai jee tere sang
fir jeene lagu ab main, jee chaahta hai
laut aau tere paas ab main, jee chaahta hai bita du teri baahon mein
apni ye poori zindgaani main, jee
chaahta hai ho jaaye tu ab mera aur ho jaau ab tere main”
No comments:
Post a Comment