suna
tha naam bahut maine aashiki ka,
suna tha bahut naam maine dillagi ka, suna tha naam bahut maine
chaahaton ka,
suna tha naam bahut maine mohabbato ka , suna tha naam bahut maine wafa
ka, suna tha bahut naam maine aashikon ka, apni chaahat pe yu fida hone walon ke
bare mein bhi bahut suna tha , apnee mohabbat pe mar-mitne wale aashikon
ke baare mein bhi bahut suna tha, apnee
har khushi ko apni chaahat pe lutane wale dilbar ke bare mein bahut suna
tha, suna tha bahut mohabbat naam hai khushi ka, suna tha mohabbat to
naam hai
zindagi ka, suna tha bahut maine khuda ka sabse haseen tohafa hai
mohabbat har shakhs ke liye ya fir khud khuda ka hi koi doosra naam hai
ye mohabbat,
sun kar mohabbat ki ye baate mere dil ne
bhi isse paane ki hasrat ki, jisse wo jaanta bhi nahi tha uske kareeb aane ki
galti usne ki,suna tha isne mohabbat ke bare mein ki ho jaate hain aashik kurbaan
apni mohabbat pe, mera dil bhi hone laga tha kurbaan kisi ki chaahat pe, bas uski
khushi ke siwa na chaahata ye dil mera, na dekha tha isne kahi uss rab to bas
dekh unhi ko isne maan lliya tha khuda, unki ek hassi ke liye apni har khushi
kurbaan karta mera ye dil gaya,unki dee itnee taklieefon ke baad bhi iss dil ne
kabhi uff tak nahi kaha,
par ye baat unhe har waqt khalne lagi,
shaayad itnee mohabbat bhi usse na bardaast hui balki khalne lagi, karta tha
waise to har din mere iss dil ke sau tukde par na nikalti thi iss dil se koi aah
bhi, aur kar leta tha ye dil unke har sitam bardaast bhi, sochta tha ye mann
mera ki kabhi to unhe meri inn kurbaaniyon ka ashaas hoga, milti hai sachhi
mohabbat kismat se iska ahsaas bhi usse kabhi to hoga, khud rab ka banaya hi hai
ye rishta kabhi to unhe bhi aisa mehsoos hoga,
bas issi jhoothi ummid mein ye dil mera
usse chaahata raha, bas issi jhoothi ummid mein mera dil uske har sitam bhi
hass ke sehta raha,
na ruk saka jab unke zulmo ka thamna, jab na
ruk saka unka har baar mera dil todna, jab na tham saka unke sitamon ka lagataar yu hona,
aakhir iss dil
ko mere ye kada faisla
fir pada karna, tod kar unse har rishte pyaar ke har bandhan ko unse
mujhe pada chhodna, hui badi taklif usse juda hone par, hua bahut dard
iss dil ko usse dur
karne par, suna tha jaisa mohabbat ke bare mein waisa kuch bhi na mujhe
mila,
mila to mohabbat ke naam pe har waqt akelapan aur tanhaiyon ka hi saath
mila,
sochta tha dil mera ki aakhir kabhi to unhe fursat milegi apne sitam se,
kabhi
to dil mein jagegi mohabbat unke , socha tha kabhi to milegee khushi
koi
mujhe unse, socha tha maine thak jaaynge wo aakhir sitam karte karte aur
fir
samajh jaaynge ki hum hain unse kitne mohabbat karte par na ruka unke
sitamon ka
ye silsila, aur har din badta hi gaya unke zulmon ka wo kaarwa,
humaree mohabbat ko kubool karne ka ahsaan wo hum par humesha dikhate rahe aur badle mein iss dil ke tudke kar har waqt sitam hum par wo har baar dhaate rahe, shayad unke ahsaan tale dabe the hum bhi tabhi har zulm unka hum sahte rahe lekin jab had se jyada badne laga unka sitam tab hum unse door hone lage,
dard hua bahut iss dil ko mere par zindagi ki khushi ke liye iss dil mein sirf unke saath paani ki uss hasrat ko peechhe chhodte chale gaye hum, socha bahut kaam hai iss zindagi ko meri unke sitam ke siwa, aakhir ki hai kya khata maine jo paau har waqt begunaah hone ki saza, pyaar kiya hai humne unse aur kiya ikraar bhi unhone hai mujhse, nahi kiya koi ahsaan iss dil par fir kyon sahu har bewazah sitam unke apne iss dil par, bas ye hi soch kar apna mann dheere-dheere door unse hai kiya,

toote huye dil ke tukdon ko haath mein
le kar aur zindagi mein mohabbat ke naam par thokar kha kar ye baat ab pata
chal paayi, hoti nahi mohabbat aaj duniya mein hoti hai to bas bewafai hai,
jo suna tha maine mohabbat ke bare mein
wo baat mujhe unke sitamon ke baa ab samajh mein aayi, hoti nhi mohabbat aaj
duniya mein, milti hai to bas kahani aur kitaabon mein,
sachhi chaahat aur sachha aashik aaj hai to
bas kisi kisse ya kahaani ka hissa, aaj sachhi chaahat aur ek sachhe aashik ki
jagah milta dhokha har baar aur har kahi par,
karne wale zindagi barbaar kar ke chale jaate hain aur kahte hain issi ka naam to yaar ab pyaar hai, le kar har khushi aur chheen kar laboon se bhi hassi le jaate hain log mohabbat ke naam par , de jaate hain iss dil mein dard aur kar jaate hain namm aankhe apne jaane par, unhe nahi parwah kisi ke pyaar ki kyon ki unki nazaron mein aaj issi ka naam hi to pyaar hai,

puri kar apni hasrate pyaar ke naam se
ek din apni zindagi se wo nikaal dete hain, jo kahte hai pehle nahi hum bin tumhre
rahte hain par jaise hi bhar jaata hai dil unka fir wo hi tab kahte hain hum to
bin tumhare hi har lamha khush rahte hain, jo kahte hain phale tum humse door
nahi balki rahte ho mere dil mein har dam par waqt ke saath nikale har matlab
ke baad wo hi kahte hain ki tum jaise to jane kitno se hum nata todte hain,
jo suna tha kabhi maine naam aashiki ka
aaj pata chala wo to hai aaj naam badnaseebi ka, suna tha jo kabhi naam maine
dillagi ka pata laga aaj wo to hai naam ab dilon se khelne ka, suna tha jo naam
kabhi chaahaton ka aaj laga pata wo hai naam bas dhokhe aur jhoothe rishton ka,
jo suna tha naam maine wafa ka aaj laga pata wo to naam hai bewafai ka, jo suna
tha naam kabhi maine ki mohabbat to naam hai khuda ka aaj laga pata khud ko
khuda dikha kar shetaan chale aate hain mohabbat ke libaas mein jo kar ke
barbaad khushi zindagi ki door chale jaate hain, de jaate hain aankhon mein
ashk aur gam-e-tanhai fir se yahi par kyon ki suna hai unse hi maine aaj
dhokhe ka naam hi hai mohabbat,
baith ab akele gam-e-tanhaai mein
dil ko mere ye khyaal aata hai baar-baar jaane kis behkaave mein aakar dhoondne
chala tha main bhi sachha pyaar, jo hota hi nahi kahi par, jo milta hai sirf
kisse kahaniyon par kaise mujhe aakhir unpe ye aitbaar ho chala tha, naadan tha
shayad mein ya kismat mein likha tha milna dhokha kisi se tabhi main aakhir
chaahaton ki ummid mein kisi ke peechhe chal pada tha,
kisi ka ho chala tha, kisi ke peechhe
chal pada tha,kisi ka ho chala tha, kisi ke peechhe chal pada tha,
--
Thanks and Regards
*****Archana*****
--
Thanks and Regards
*****Archana*****
No comments:
Post a Comment