“jal bin tadapti machhali hoon main, patjhat ka sookha hua
patta hoon main, bujha hua sa koi chiraag hoon main, saagar ki leharo se takara
kar doobi hui si koi kashti hoon main, kya batau ab tujhe main, tere bin na
roti aur na hasti hoon main, thehar si gayi hai ye zindagi meri tere bina, ae
kaash jara tu dekh le ek baar mudkar to mujhe, tere hi to bas pyaar ki pyaasi
hoon main, nahi hai koi aakansha dil ko mere iss duniya mein chha jaane ki, hai
to bas itne si abhilaasha tere laut aane ki, maana bahut sataya tujhe maine,
maana bahut rulaaya hai tujhe maine, par puchh to ek baar dil se apne kya tune
kabhi hasaya hai mujhe, chhod beeti wo kadwi yaade aa ab tu laut aa, na tu
mujhe ab aur tadpa kasam hai tujhe ab tu laut aa aur dekh jara ki kis tarah
tere bin bikhari hui si hoon main….”
No comments:
Post a Comment