Friday, 19 July 2013

Hasrate

Hasrate wo hi achhi hoti hai jo hasarate khud se hoti hai, hasarte wo hi poori hoti hai jo khud tak seemit hoti hai, khud se hasarate rakhne walon ko pata hota hai hasarate uski kabhi poori houngi ya nahi, jo  hasarat wo poori nahi kar sakta aise hasrat uske dil mein hoti hi nahi, aur jo hoti hai dil mein hasarat uski  khud se poora karne ki tamaam  bandishon ke baad bhi wo unhe pa hi leta hai, pyaar se ya vidroh se apni hasarato ko anjaam tak pahucha hi deta hai , naseeb mein uski bhi kewal likha itnaa hi hota hai hongi  hasarate uski poori jinhe poora karne ka akele ka usme hausla hota,

    Lekin un hasarte pe na karo kabhi yakin jisme tumhare siwa aur koi bhi shaamil ho, houngee wo kabhi poori jisme kisi aur ki bhi marzi shaamil ho, aur jo na ho saki wo poori aisi hasarate to darad bahut deti hain , rulaati rahengi wo hasarate jisme shaamil tumhare siwa koi aur shaamil ho,

Ae doston isliye kahte hain hum karo apni hasarate poori lekin na shaamil karo un hasaraton ko zindagi mein jo tumhare saaht hi kisi aur se bhi jud jaati ho, karo apne sabhi hasrate haste haste poori jisme sirf aur sirf tumhi shaamil ho…

No comments:

Post a Comment