Dhundti
hai jise nazre meri intezar me jiske har ghadi hoga wo
inn hawao me chhipa kahi, dhundti hai jise mere dil ki dhadkan har ghadi
rehta hoga wo iss jahaan mein yahi kahi, karti hain intezar meri
saanse jiski saanso se mil jane ka hoga wo kahi to kisi aangan me mera
hamnasin, hoga usse bhi intezar milne ka hmse shayad kahi, dekhta hoga hme hi
wo har gali aur har raste, dhoondti houngi uski nazare bhi mujhe har pal aur ghadi, karke koi yaad dil me meri chhavi mand mand
muskata hoga, kahi to hoga wo jo dilbar sirf hmara hoga,
Din beete mahine beete aur beet gaye saalo saal par nahi aaya wo mere paas jisko kiya hmne har pal yaad, dhundti rahi meri ankhiya rah me jiski palke bichhaye, jiska kiya umar bhar intezaar bas wo hi na hmse milne aaye,
jeevan ki aakhiri dor chhutti ab jati hai aankhe ab usse dhundti aur dil se bas ye hi aawaz aati hai aa jaye ab to wo le kar apni baho mein mujhe mere duniya ko vida kehne se pahle, wo ab to keh de sadiyon se ek tum hi to bas meri ho aur mai bhi sirf tumhara hoon, karta hoon itni mohbbat tumse ki bin tumhare adhura hoon, waqt ke haatho bebas tha mai jo mil na saka tumse kabhi par aaj jo mila tumse tum dur mujhse jane lagi, na jao tum mujhe ab akela yu chhod ke kyon ki tum bin main kahan pura hu,
dhundti hain nazre meri jise har ghadi chhipa hoga wo is hawa ke jhonkon mein kahi, dhundta hai jise mera ye pagal man chhipa hoga wo is fiza mein kahi,

No comments:
Post a Comment