ishwar
kahte hain, "hume apne dukhon se ghabraana nahi chahiye, humesha dherya
se kaam lena chahiye hai, wo kahte hain iss bhotik sansaar mein dukh
aur sukh milna dono hi baate honi hi honi hai kyon ki donon hi baate ek
hi sikke k do pahlu jo hain, ishwar kahte hain jab wo iss bhotik sansaar
mein aaye chahe Shri Ram ban kar ye Shri Krishna bankar ye fir Lord
Jesus ban kar, unhe bhi iss bhotik sansaar mein dukhon ka saamna karna
pada, par jiss dherya aur sahansheelta se unhone ye sab saha ussi dherya
aur sahasheelta se hume sab sahna chahiye, aur iske saath hi apni
budhhi aur vivek se kaam lena chahiye, ishwar kahte hain chahe jeevan
mein haalat kaise bhi ho hume prabhu par yakin krna nhi chhodna chahiye,
unki bhakti aur unki stuti nhi chhodni chahiye, balki unke charitra
chitran ko yaad rakhna chahiye, unse hume seekh milti hai dukh aur
musibaton se ladne ki aur aage badne ki, unke charitra chitran se hume
jeevan mein ek nayi raah milti hai ek nayi disha milti hai jo hume aage
badane mein sahaayak hoti hai, isliye bure waqt mein apne ishwar ko
koshne se achha hai ki unke charitra chitran par ek baar theek prakar se
nazar daali jaaye"
No comments:
Post a Comment