Shri
Krishna ne Geeta mein kaha hai "iss sansar mein reh kar avam bhotik
rishton mein ulajh kar moh mein fasne ka naam prem nhi hai", ishwar
kahte hai, "yadi hm kisi bhotik kaaya se athwa
bhotik rishto se prem karte hai to jb wo ya hm duniya tyagte hai uske
baad ye prem khatm ho jata hai, q ki wo prem nhi bas uss kaya k prati
pal
do pal ka lagaaw tha jo uske jane pe khatm ho gaya, kintu vaastavik
prem kisi ki kaaya k nasht hone pe b na mitne wala hota hai, iske
saath hi prem ka arth sneh, sahyog, vishwaas, samman,
bhaavnao ka aadar, tyaag, samarpan tatha ek dusre ki khushi hai,yaha
swaarth aur ummidon
ka koi sthaan nhi hai, kintu aisa prem manav khud manav se nhi kr sakta,
aur iss kaaran prem hi pidaah ka mukhya kaaran bnta hai," ishwar
isliye
kahte h ki mujse prem kro to mai tumhe wo sab dunga jo ek sachhe premi
ko milna chahiye, ishwar kahte hain main tumhare iss bhotik roop se nhi
apitu tumhari aatma se tumhe prem karta hoon, tum bhi mujhse hi prem
karo," ishwar samast bhotikta se dur hme abhotikta se prem
aur lagaaw ki shiksha dete hai jo nashwar nhi hai.."
No comments:
Post a Comment