Hiii
doston mera naam Rohan hai aur meri umar 45 saal hai, main ek news
channel mein bataur camera man kaam karta hoon, aaj main apni zindagi ki
kahani aapko sunane ja raha hoon, aapke liye ye bhale ek kahani ho par
ye meri zindagi ka ek sachh hai jisse maine jiye hai, meri zidagi ek
aisa modd jisme mujhe dosti aur pyaar mein se kisi ek ko chunna tha,
main asmanjhas ki haalat mein tha ki mujhe kya karna chahiye, apni
khushi k liye apne pyaar ko apne saath rakhna chahiye ye fir dost ki
zindagi tabah hone se bachane k liye apne pyaar ko kurbaan kar dena
chahiye, par mere pyaar ne meri haalat ko samjha aur mujhe dosti nibhane
k liye dost k haath saup kar wo khud door chala gaya, aisa kya huaa
mere saath aapko main ye batata hoon..
aaj se kareeb 15 saal pahle ki baat hai jab mera tabadla Delhi se 2
saal k liye London kar diya gaya tha, main kaafi khush tha iss baat ko
le kar par thoda dukhi bhi tha kyon ki ye pahli baar tha jab main apni
family se door ja raha tha aur mera swabhaav bhi aisa nhi hai ki jaldi
hi kisi k saath ghul mil jaau aur dost bana lu, mujhe dost banane mein
bhi time lagta hai, isliye thoda dukhi bhi tha, par apne career k liye
itnaa sacrifice to karna hi padta hai, aakhir main Delhi se London
pahuch gaya, rahne k liye office ki taraf se hi ek flat mila tha mujhe
waha pe, aur ek hafte baad meri naye desh k office mein joining thi,
main iss ek hafte bas ye hi sochta raha ki mere saath jo reporter kaam
karega pata nhi kaisa hoga, koi Indian reporter hoga ya fir British, ye
hi soch soch kar ek hafta nikal gaya aur aakhir wo din aa hi gaya jab
mujhe apne naye office mein apne sahyogi reporter se milna tha,
main time pe taiyaar ho kar office pahuch gaya aur mere boss ne mujhe
kuch derr baahar baith kar wait karne ko kaha, kareeb 10 min baad unhone
mujhe apne cabin mein bulaya, main andar gaya to boss k paas behad
khoobsurat aur ek masoom see Indian ladki khadi thi, usse dekh kar mujhe
laga shayad ye boss ki patni, beti, saali ya shayad fir uski beti hogi
aur ab mujhe iski bhi gulaami karne padegi, fir maine socha koi baat
nahi Indian hai kar lenge gulaami, kam se kam koi angrez to nahi hai,
main iss udhedbun mein hi tha ki boss ne mujhe batya ki ye humaree
honhaar reporter Divyanka hai,aur kal se ye tumhare saath hi kaam
karegi, boss ne mujhe bataya ki ye tumhare hi aparment mein rahti hai,
isliye ek hi jagah rahne aur donon k indian hone ki wazah se maine tum
donon ko saath mein kaam karne k liye chuna hai, tum donon hi talented
ho and i hope ki tum apna best humare news channel ko doge, main to ye
sun kar jaise barf ki tarh jam sa gaya,iske saath hi khush bhi bahut
huaa ki itnee achhi ladki k saath kaam karne ka mauka mil raha hai,
socha bhi nhi tha maine ki London mein meri kismat aisa modd legi, par
kisi ki kismat mein kya likha hota hai ye to aane wala waqt hi hme
batata hai,
dheere dheere humari Divyanka aur meri mulakate (kaam k silsile mein)
dosti mein badli aur ye dosti kab pyaar mein badal gayi kuch pata nhi
chala, kuch din baad humare apartment mein ek ladki rahne aayi, dikhe
mein Bharat ya Pakistani jaisi hi lag rahi thi, waise hmare apartment
mein sirf main aur Divyanka hi Indian the baaki sab UK k hi log the, bt
fir jab uss ladki ko dekha ki ye to angrej nahi hai Bhaarat ya Pakistani
jaise hai, fir socha isse baat karni chahiye ki ye kahan ki hai aur kya
karti hai, maine Divyanka ko usse baat karne ko kaha, Divyanka ne baat
cheet mein pata kiya ki uska naam sofiya hai aur wo Pakistani hai aur
waha k ek sarkaari news channel mein reporter hai, waqt k saath hum
teeno hi bahut achhe dost ban gaye, sofiya ne bataya ki uski shadi hone
wali hai ussi k pasand k ladke k saath jo ki uske mama ka beta hai, usne
mujhe aur Divyanka ko bhi shaadi mein invite kiya, humne kaha jab date
fix ho jaye to bata dena hum 2 din pahle tumhari shaadi attend karne
pakistaan aa jaynge, usne kaha ki dec mein 27 taarikh ki shaadi hai, bt
27 taarikh dec mein ko to ab bas ek mahine bacha tha, humne kaha fir tum
kab yaha se nikalne wali ho kyonki shadi ko to tym jyada hai nahi, usne
kaha ek hafte mein wo chali jaayngi par saath mein usne kaha ki promise
karo ki tum dono bhi jaldi shaadi kar loge aur meri shaadi mein b
jaroor aoge, humne kaha done, bt tumhari shaadi k baad hum apni shaadi
karenge and tumhari shaadi k 2 din pahle hi waha pahuchenge, usne kaha
ok, fir ek hafte baad wo chali gayi,
fir jaisa ki humne kaha usse kaha tha ki shaadi k 2 din pahle hum
pakistaan uske yaha pahuch jaaynge hum waha pahuche, par waha ka nazaara
dekh k to hosh hi udd gaye, waha shaadi ki khushiyon ki jagah gamm ka
aalam tha, manhoosiyat thi, humne wazah jaanne ki koshish ki to pata
chala ki sofiya k hone wale pati aur bhai ko aatankwadiyon ne maar diya
hai, aur ye sab bas kal subah hi huaa hai, ye jaan kar hmare to perro
tale jaise zameen hi nikal gayi, fir jaisa taisa khud ko sambhala aur
sofiya avam uske pareewar ko sambhala, takreeban 10 din baad hum waha se
wapas UK aa gaye, aur sofiya k lautne ka intzaar karne lage,
2 maheene baad sofiya wapas London aayi, par ab wo pahle jaisee
bilkul bhi nahi thi, hmesha gumsum rahti thi, maine aur Divyanka ne usse
khush rakhne ki koshish ki par naakam rahe, par ek din jaise hi main
uske ghar pahucha to mere hosh udd gaye, usne kitchen mein khud ko band
kar rakha tha aur guess on kar rakhi thi, guess ki badboo poore ghar
mein fell chuki thi, maine kisi tarah khidki k raaste kitchen mein ja
kar sabse pahle guess band ki aur aadhi behoshi ki halat mein padi
sofiya ko bhi baahar nikaala aur usse dr. k paas le gaya, jab usse hosh
aaya to Divyanaka aur maine usse wazah puchhi ki aakhir usne apni jaan
dene ki koshish kyon ki, jo chala gaya wo wapas to nahi aa sakta, purani
yadon ko bhula kar usse apni zindagi k bare mein naye sire se sochna
chahiye, apne aur apne pareewar k baaki logon k bare mein usse sochna
chahiye uski iss harkat se unhe kitnee takleef hogi,sofiya ne kaha jo
ateet hai wo mere aaj ko prabhavit kar raha hai, aur rahi baat ghar
walon ki to unke saath bhi to maine badnaami wala kaam hi kiya hai,
humne kaha matlab kya hai tumhara, usne bataya ki wo pregnant hai,
Altaaf jisse uski shaadi hone wali thi wo iss bachhe ka baap hai, par wo
agar bin byaahi maa ban gayi to badi badnaami hogi aur wo iss bachhe
ko girwa bhi nahi sakti kyon ki ye uske pyaar ki aakhiri nishaani hai,
isliye usne apnee jaan dene ka faisla liya, humne usse kaha ki ya uska
aur Altaf ka pareewar ye jaanta hai, to usne kaha nhi, agar janta to wo
log mujhe ya fir mere hone wale bachhe jisne abhi to duniya mein kadam
tak nhi rakha hai Pakistaan mein hi maar daalte, usne kaha ki bas ab wo
ye bojh aur nhi dhona chahti, apne bachhe k saath khud bhi mar jana
chahti hai, aur apne bachhe ko apne jeete je wo apni kokh mein maar bhi
nahi sakti, uski baat sun kar main aur Divyanka sadme mein aa gaye ki ab
aage kya kare, fir humne Sofiya se kaha ki tum chinta mat karo hum koi
na koi raasta nikaal lenge par ab tum aisa kuch bhi nahi karoge, apni
kasam de kar humne usse mana to liya par hum dono hi ek gahri chinta
mein doob gayi ki aage kya kare aur kaise kare,
3, 4 din gahan sochne vichaar k baad main iss nateeje par pahucha ki
main sofiya se shaadi karunga aur uske bachhe ko apna naam dunga, isse
na to bin byaahi maa banegi aur na hi uski badnaami hogi iske saath hi
uske pyaar ki nishaani bhi surakshit rahegi, par ye sab main Divyanka se
kaise kahu, wo kya sochegi, main sochne laga ki Divyanka na kahi kuch
galat kar le kyon ki wo bhi mujhse bahut pyaar karti hai, par dil par
pathhar rakh kar main Divyanka k saamne aakhir pahuch hi gaya aur badi
mushkil se apne dil ki baat usse batayi, par ye kya, Divyanka ne kuch
bhi nhi kaha, kuch derr shaant rahne k baad usne kaha ki ye to main bhi
soch rahi thi par himmat nahi jutaa pa rahi thi, thank god ki tumne mere
mann ki baat khud hi kah di, usne kaha ki mujhe sofiya se shaadi kar
leni chahiye, iss waqt usse jyada sofiya ko meri jarurat hai, usne
khushi khushi mujhe sofiya k hawale kar diya,
ye wo daur tha jab main ek aise duraahe par khada tha jaha ek taraf
mera pyaar tha, mere sapne the aur doosri taraf meri dosti, jiska mere
siwa koi aur na tha sahara,jiske saath apni hi nhi ek nanhi si jaan bhi
judi hui thi, mujhe kise chunna chahiye ye meri samajh se pare ja raha
tha, par aise mein mere pyaar ne mujhe dosti nibhaane ko kaha, mere
pyaar ne kaha jeevan saathi wo hi banta hai jo naseeb mein hota hai par
agar ek baar achha dost chala gaya zindagi se to bas afsoos karne k
siwaye aur kuch bhi nahi rah jaata, usne kaha shayad hum ek doosre k
naseeb mein nahi hai jaise sofiya k naseeb mein Altaaf nahi tha, par
agar tumne soffiya se shaadi ki to mujhe khud pe garv hoga ki maine jiss
shaksh se pyaar kiya wo ek mahaan insaan hai jisne apne dost ki zindagi
aur khushiyon k liye apne pyaar ko kurbaan kar diya, mujhe tum par
humesha naaz rahega,
Divyanka ne mujhe apni aur humare pyaar ki kasam de kar mujhe dosti nibhaane k liye vivash kar diya,
Divnaka ki baat maan kar main ab Sofiya se shaadi karne ko maan gaya,
kuch dino mein hmari shaadi hui fir kuch mahne baad Sofiya ne ek beti
ko janm diya (jisse hum pyaar se Divya bulate hain), par Sofiya k ghar
wale humari shaadi se khafa the kyon ki main ek hindu hoon aur sofiya ek
muslim par lagbhag ek saal baad Divynka ne Sofiya k ghar walon ko bhi
mana liya, aur iske baad ek din achaanak Divyanka London se kahi door
chali gayi bina kuch kahe, bina kuch bataye, maine aur Sofiya ne usse
bahut dhoonda aur talaash kiya par wo kahi na mili,
main
aaj apni ptni sofiya aur bachhi Divya k saath bahut khush hoon par
mujhe ye khushi dene wali ladki jane kaha chali gayi hai mujhe nhi pata,
pichle 15 saal se main usse dhoond raha hoon par wo mujhe aaj tak nhi
mili, meri iss kahani ka maksad bhi usse dhoonda hi hai, kaash wo ye
kahani pade aur mujhse ek baar sampar kare..........Pleas Divyanka
mujhse ek baar sampark karo, tumhara aur sirf tumhara Rohan(i still love you Divyanka)...
--
Thanks and Regards
*****Archana*****
--
Thanks and Regards
*****Archana*****
nyc storyy, heart touching really......
ReplyDelete