Monday, 19 November 2012

waqt ka ye ferr dekhiye...



waqt ka  ye ferr dekhiye , ek waqt tha jab duniya mere saath thi aur
aaj sirf zindagi ka khaalipan mere paas h, waqt ka ferr dekhiye, ek waqt tha jab
khushiyo saugaat thi aaj  gamo ki barsaat h, waqt ka ferr dekhiye,
kabhi tha aangan mera mehka mehka aur aaj dikhta h bikhra bikhra, kabhi
hoti thi yaha kheti pyaar ki, lehraati thi fasal dulaar ki par aaj
milti hai to sirf tanhaiya, waqt ka ferr dekhiye,kabhi rahte  the sab saath, jo thaam kar chalte the ek doosre ka haath, bante the sahara ek dusre ka waha aaj nazar aati  hai ye jaane kaisee mazbooriya, waqt ka 
ab ye ferr dekhiye, jaha hoti thi kabhi nazdikiya ab aa chuki hai ye kaisi dooriya,
 waqt ka jo ab ye ferr dekhiye, kabhi zindagi saath guzaarne ka khwaab hua karta tha unka mere saath aur aaj saath chalne se katraate hai,waqt ka ye ferr dekhiye, kabhi wo kahte the ki hum dil mein unke rahte hain aur aaj apne hi dil se ghabrate hain, waqt waqt ka sab ferr hai ye, kabhi khushi to kabhi dard ka dherr hai ye, waqt waqt ka ferr h ye ,waqt ka ferr h ye , waqt ka ferr ye dekhiye,waqt ka  ye ferr dekhiye  ..

No comments:

Post a Comment