Monday 31 August 2015

ishwar vaani-100, saint ke lakshan

Ishwar kahte hain "iss kaliyug mein anek pakhandi saint-mahatma hain. Jo anek prakar se tumhe bhramit karenge, koi tumhe khud ko ishwar ka avtaar kahega to koi tumhe hi ishwar banaa dega, kintu tum bhramit na hona, ek sachhe saint mein nimn baate dhundna, yadi wo sach mein mahatma saint hai to aisa hoga,

1*WO kabhi lobh nahi karega,

2*kabhi kisi ki ninda nahi karega,

3* samast jeevo se sneh aur dayawaan rahega,

4*tumhe bhi samast jeevo par daya kar ke liye kahega,

5* jaati dharm sampraday unch neech ameer gareeb ka bhed nahi karega, sabko saman drashti se dekhega,

6* kabhi kisi jeev ko heye drashti se nahi dekhega,

7*samast sansaar ko apna ghar jeevo ko apna pariwar kahega, manega,

8* tumse mahnge uphaar nahi lega apitu isse prani kalyaan evam jagat ki bhalai mein lagane ke liye kahega",

9* khud kasht sah lega par kisi aur ko na sahne dega,

10* hamesha sahayta ke liye taiyar rahega

Ishwar   kahte hai   "yadhhpi tumhari  aatma  mera hi ek roop hai,  nishchit hi deh ke bandhano se mukt hone  par kuch shaktiya  aati ho,  bhale tum samast burai tyaag bhale karm kar bhali aatma bano kintu mere  tulya ho kar bhi ishwar nhi ban sakte  jaise ek yogya mata pita ki santaan unke jaisi yogya ho kar bhi unke mata-pita nahi ban sakte"


















ishwar vaani-99, budhhi aur vichar shakti

Ishwar kahte hain "hey manushyo maine tumhe budhhi di hai, sochne vicharne ki shakti di hai, kya galat aur kya sahi hai, kya nyaay sangat hai aur kya anyaay hai ye tum bhali prakaar jante ho, isliye iski pariksha hetu main tumhe kabhi kabhi kuch anuchit bhi batata hoon, taki tum apni budhhi aur vichaarshakti ka prayog kar mujhpar andh shradhha na karo taki Jo sahi hai wo tum karo,

Issi liye apne desh/kaal/paristhiyo ke anusaar diye mere updesho mein kuch na kamiya hai, taki tum apni budhhi aur vichaar shakti ka upyog kar anuchit baato ko na maan kar kewal uchit aur nyaaygat baat hi maano unka anusharan karo",

Ishwar kahte hain ''anyaay purn baat. Anuchit baat, jagat aur prani jaati ke ahit ki baat tumhare mata pita, sage sambandhi, guru athwa main bhi kahu to apni budhhi ka prayog kar mat maano, andhh shradhha na karo kewal wahi karo Jo uchit aur nyaaygat hai"

Friday 28 August 2015

aaj ka pyaar

"Sone chaandi ke in tukdo mein tolte hain wo meri aashiki ko wo,
Hasin dil ko nahi khoobsurat zism ko dhundte hain WO,
Unki ek hassi ke liye jisne apni hasti mita di, use dil bahlane ki chiz kahte hain wo,
Mohabbat to dilon ka sauda hai unke liye, har din kitne hi zazbato ko rondte hain wo"


"Subah kisi ke saath shaam kisi aur ka haath,
Dil kisi ke paas dhadkano mein kisi aur ki aas,
Zubaan pe naam kisi ka saanso ko kisi aur ki pyas,
Ye hai aaj ka pyar sanam ek nahi mere to hai hazar"

uski gali mein dil mein hara

"Uski gali mein dil mein hara, dekh uski ek jhalak mein to gaya mara,
Mohabbat ke afsaano par hasta tha main, aaj aashikqi mein fas gaya bechara,

Roop ki raani thi wo ya mallikaye hushn thi, koi apsara thi ya pari thi,
Pankhudiyo ki si muskaan thi uski, kitne faaslo par dur musjhe khadi thi,

Wo shaam kitni hasin thi jab mujhe meri dilrooba mili thi,
Dilkash thi har adaa uski, thaam kar haath mera jab wo chali thi,

Kitni akeli tanha thi wo jiske roop se ghayal hua main sara ka sara,
uski hi ek lalak thi dilko, jiske liye main to ban gaya pagal premi banjara,

Uski gali mein dil mein hara, dekh uski ek jhalak mein to gaya mara,
Mohabbat ke afsaano par hasta tha main aaj, aashikqi mein fas gaya bechara

Wednesday 26 August 2015

pauranik katha-swarg me duryodhan

"Mahabhata mein pandavo me se kewal yodhishtir hi shashareer hi swarg pahuche, kintu jab  arjun waha puche to duryodhan ko waha apsarao ke saath evam samast swarg k sukh bogte huye usse dekha, tab arjun ne yudhishtir se puchha "isne to itne paap kare hain fir ye swarg kaise pahucha??


Yudhishtir bole itne bure ka k baad b isne ek achha kaam kiya jiske falswaroop kuch samay samay liye isse swarg ki prapti hui h,

Arjun bole wo kya achhai thi??
Yudhishtir bole, apne lakshya k prati ekaagrata aur eknishtha, jo duryodhan jaisi kisi mein na thi.
"

pauranik katha-ajar amar aatma

Mahabharata mein shri Krishna arjun ko Geeta ka updesh dete huye kahte hain "hey Arjun ye jaan lo tum sansaar mein kabhi kisi ki mrityu nahi hoti, aatma kewal deh tyaag kar apne uddeshya purti hetu nayi deh prapt karti hai,

Jo log ye samjhte hain maine usse maar diya athwa maar sakta hoon, jeevan aur mritu ka bhay felaa sansaar ko vash mein kar sakta hoon, agyani hai aise maanav, shareer ko chalane wali to aatma hai, vyakti shareer ko haani pahucha sakta hai kintu aatma ko nahi. WO ek shareer tyaag dusra leti rahti hai, jo ajar-amar hai"

Monday 24 August 2015

ishwar vaani-98, ishwar ka ghar

Ishwar kahte hain "hey manushya tum mujhe jagat mein kahan dhundte ho, mere naam par pakhandiyo par anek chadawa chadate ho, par mujhe iski aavshyakta nahi, kintu tum isse mera naam le kar jagat ke kalyaan mein prani jaati ke kalyaan mein lagao,

Main tumhare andar hi rahta hoon, jab tum kuch bhi bura karte ho main rokta hoon, kisi ka bhi ahit tum karte ho main rokta hoon, kintu burai tum par is kadar haavi hoti hai Jo tum meri aawaz nahi sun paate ya sun kar ansuna kar dete ho,

Hey manushya apne hriday mein rahne wale ishwar yaani ki mujhe pahchaano, main hi tumhara guru aur sachha margdarshak hoon mujhe jaano, jinhe tum nahi jante unhe ishwar maan pujte ho kintu jinhe jante ho unse dur rahte ho, yadi sachh mein tumhe ishwar ke darshan kar uski kripa paani hai to apne hriday mein jhaank aur uski sun, sansaar aur prani kalyaan mein apna jeevan laga,


Tera kalyan hoga"

ishwar vaani-97, main ek hi hoon

Ishwar kahte hain "hey manushya tum mujhe chahe jis naam se pukaro, jis puja vidhi mein aastha rakho, chahe mujhe murati puja we apnao ya nirakar mujhe kaho, main har us roop mein tumhare saath hoon jisme tumhara vishwaas hai,

duniya mein anek vesh-bhoosa bhasha wale log hain, vibhinn bhashao aur bhinn bhinn dikhne wale jeev hain. Kintu un sabko janne wali wo maada ma hi kahlaati hai chahe manushya ko janm dene wali koi stree ya anya jeev Jo janm dene wali maada,

Arth iska ye hi hai chahe tum jis naam aur roop mein mujhe pukaro main tumhare saath hoon. Tumhari boli bhasha aur tumhare dilme mera roop bhale alag alag ho par arth to ek hi hai,

Main ek manzil hoon aur tum sab pathik ho, raah chahe jo chuno par manzil se na bhatko auron ko apni hi raah par mujhe prapt karne ka dabaw athwa jor-jabardasti mat karo, tum apni raah chal mujhe paao auron ko unke dwaara mujhko prapt karne do,

Sansaar mein apne swaarth ke liye kisi ka dohan na karo kyonki yaha kuch bhi atyadhik ki shredi mein nahi hai Jo hai seemit hai, isliye jagat aur praani jaati ki raksha karo,


Kalyan ho"

Saturday 22 August 2015

ek dost dhundta hu main

"Tanha is is zindagi mein ek dost dhundta hu main,
Jo dur talak chale saath WO raahi dhundta hu main,

Hu aaj ajela duniya ki iss bheed mein kis kadarmain,
Tham kar chale hath mera wo sathi dhundta hu main,

Yu to har mod par mile mujhe ye dil lagane wale,
Mohabbat se khelne wale chehre bhi nikle bemane,

Duniya ki mehfil mein nahi jo dil ki ranginyo mein ho,
Aisa hamnasin wo dilbar  aaj bas dhundta hu main,


Tanha si is zindagi mein ek dost dhundta hu main
Jo dur talak chale saath WO raahi dhundta hu main-2
"



Friday 21 August 2015

ishwar vaani-96, sachhi mahanta

Ishwar kahte "jin vyaktiyo evam desho ko tumne itihaas mein mahan ki sangya di hai kya uchit hai, kya shoshankari nitiyo par chalne wale, sabhyata aur sanskriti ka shoshan/dohan karne wale, nirdosh, nirih praniyo ka vadh karne walo ko mahan ki sangya deni chahiye,

Ek raja athwa shashak ki drishti mein praja ki uski santan hai, praja ke dukh-susk uske apne hai, Jo aisa na kar kewal niji swaarth poorti mein laga rahe, desh ko apni kyaati hetu jang ki aag mein jhonk de athwa praja se jaati/dharm/sampradaaye ka bhed kare aise shashak mahan nahi"


Ishwar kahte hain "bhagwan Buddha, Mahavira swami  jissus Christ, ye log na yodhha the na shashak fir bhi ye mahan the kyonki hathiyar utha ek ashaaye ko to koi bhi balwan apne samakah sheesh jhukane ko mazbur kar sakta hai kintu iske bina, bina bhay ke ye sheesh kewal mahan vyakti me samne hi jhuk Santa hai,

Hey manushya tum bhi unhi ki tarah bano taki vina bhay ke tumhare aage log sheesh jhukaye evam itihaas se unhe mahan ki sangya se hata do jinhone manav jaati ka apne swaarth hetu daman hi kiya hai"

ishwar vaani-95, maya ki aavshyakta

Ishwar kahte hain " hey manushyo tumne aksar pakhandi sadhu-santo se ye suna hoga ki maya ka tyag kar tabhi bhagwan milenge kintu wo khud isme sanlipt rahte hain to wo kya tumhe isse mukt karwaynge,

Maya kya hai isse jaana aur tyagna kya hai, iski kitni aur kab aavshyakta hai main tumhe batata hu,

   Kewal dhan-sampatti, heere-moti aishwarya hi ko maya maan lena anuchit hai, maya to vaastav mein hamara ghamand hai, Jo bhautik hai naashwan hai maya hai, ye brahmand aur ye jeevan maya hai, ab Jo log isse tyagne ki baat kahte hai WO bataye kaise maya ko tyaga jaaye kyonki ye to jeevan bhar aur yugon tak hamare saath jaise thi waise rahegi,,

Kintu iske atirik baat aati hai dhan-sampatti aur aishwarya ki, dhan ka tum tyaag karo usse saadhu Santo ko daan do main aisa nahi kahta, sabse pahle apne ahankaar k tyaag karu, fir atirik dhan ko jaruratmand logo ko daan do, berojgaro ko rozgaar do, nihshulk dawskhana/chikatshalay khulwao, vidhalayon ka nirman karo,karib var-kanyao ka vivah karao, begharo ko ghar to, praani evam prakati ke kalyan mein dhan daan do, fir dekho jitna tum kharch karoge dhan usse dogna punya ke byaaj ke saath milega,

Aaj tum in pakhandiyo par apaar daulat lutaate ho kewal seaarthwash ki mera bhala ho, meri tarakki ho, mera patiwaar fale foole, iske liye tum pakhandiyo ki tizori bharte ho, par apni aatma jisme mera niwas hai kya wo khush hai ye jaane ki cheshta ki hai,

Ye satya hai tum jis pakhandi ko mera roop bata uski aaradhna karte ho usse main pura karta hu kyonki sachhi shradhha tum jisme dikhoge mai ussi roop mein tumhari manokamna puri karunga, kintu Jo dhan kewal apne niji swaarth ke liye tum mujhse maang apni tijori mein daloge evam aise pakhandiyo par lutaoge aisa dhan aur aisi samradhhi adhik samay tak tumhare paas nahi ruk sakti,

Hey manushya ab bhi samay hai sambhal ja anyatha tujhe sambhlne ka avsar bhi nahi milega, apne dhan-sampada ko prani kalyaan mein laga,


Tera kalyan ho"





Thursday 20 August 2015

ishwar vaani-94, prani jagat se moh

Ishwar kahte hain "hey manushyo is jagat mein jitne bhi jeev jantu hain WO sab tumhare apne hi hain, unhe kasht pahuchana tyaago, apne ghar/pariwar/desh/shhetra/bhadha/sabhyata/Sanskrit ke chakkar mein na pado apitu samast prathvi ko apna ghar evam samast praniyo ko apna pariwar maano,

Hey maanavo kewal unke moh mein na pado jinke yaha tum paida huye, khaile koode, shiksha prapt ki, mitrata ki, jinse tumne vibhinn sambandh jode, waise hi tumhe un logo se moh aur prem rakhna chahiye jaise inse rakhte ho",

Ishwar kahte hain "hey manushyo Jo tumhare karibi hai unse moh tumhe dukh dega sadev kyonki tum unse vibhinn apeksha rakhoge kintu samast sansaar ke samast praniyo se prem tumhe kasht na dega kyonki tum unse vibhinn apeksha nahi karoge apitu ye moh aur prem tumhare andar ki vibhinn hinsak pravtti ka tyaag kar praani aur prakrati ka kalyaan hoga"

ishwar vaani-93, pashwik pravatti

Ishwar kahte hain "hey manushyo in mato ke aadhar par manav ko baatne ki apni paashvik pravatti par ankush lagao, jinhe tum aaj jangli (Jo deh she pashu hain) anpad, agyani pashu samjhte to WO tumse kahi adhik sabhya aur budhhiman hai, kyon ki yadi WO hinsa kar apna pait palte hai ye unki mazburi hai, kintu fir bhi jaati-dharm-dampraday-stree-purush, ameer-greeb-gora-kala-unch-neech jaisi kuriti nahi hoti, unme sabko (apni prajati) mein saman adhikar hote hai, kintu manavo mein nahi, manav banne ke liye tumhe manav deh ka ahankar tyaag un pashu deh dhaariyo se shiksha leni chahiye,

Hey manav deh dhaari pashu apni pravatti par ankush lagao, vibhinn bhedo ko mato ke aadhar par bhaant unhe jabran doosro par thopna tyaag kar kewal manav dharm ka palan kar uska anusaran karein"

Wednesday 19 August 2015

ishwar vaani-92, sachha dharm

Ishwar  kahte hain "manushya aaj dharm ke naam par ashishtta, hinsa, durachar, atyaachar, vyabhichar fella raha hai, dharm ka naam le kar praani jagat ko nuksaan fella raha hai,

Sirf desh/kaal/parstithyo ke aadhar par waha upann kuritiyo ko samapt karne hetu maine hi vibhinn mato ki rachna ki jise mere anuyaayiyo ne prathvi par vibhinn sthaano par fellya, kintu maine ye sandesh nahi diya Jo ek mat na maanne wala dusre ko matauyayi par atyachaar kare,

Geeta mein bhagwan shri Krishna ne dharm ki raksha hetu hathiyaar uthaane ki  baat kahi hai, kintu dharm ka arth kisi sampradaaye se athwa kisi vishesh mat ko maane se nahi apitu dharm ka arth manushaya Evam praani kalyaan ki bhaawna evam unke hito ke liye kaarya karna hi vastavik dharm hai",

Ishwar kahte hain "Ramayana mein vibhishan ka chartra  dharm ke vishay mein bahut kuch batata hai, usne bhale yugo ki burai le li kintu adharmi raavan ka saath nahi diya, is prakaar prathvi par bhale usse badnaami mili 'ghar ka bhedi Lanka dhaaye', kintu ishwar ki dhrashti mein wo pujniye hua jisne apne sahodar (sage bhai) jo adharm ke maarg par tha uska saath na de kar uske shatru shri ram ka saath diya kyonki wo dharm ki rah par the

Isliye hey maanavo dharm ki raah chuno kintu mato ke aadhar par nahi apitu manavta aur manav dharm ka maarg chun praani kalyaan karo, yahi hai sachha dharm"


Tuesday 18 August 2015

ishwar vaani-91, janm se Jude rishto ka raaz

Ishwar kahte hain "ye praani jeevan sirf ajnabiyo se mell hai, praani kisi ke mohh mein na pade, kyonki samay aur karmanusaar praani janm leta hai, naye naye rishte jodta hai,


Yaha to praani kewal naye naye logon she rishte jod kar apni un ajnabiyon se pahchaan banata hai, kintu unhi rishto se praani dehh tyaag aatma roop mein milta fir ek naye rishto aur naye kaaryon ke liye nayi dehh ki talash mein nikal padta hai,


Praani jaane kitni baar janm le chuka hai, jaane kitni baar janm lena baaki hai, har baar naye naye logon se judna aur naye rishte kaayam karna, yahi hai dehh ke saath janm se Jude rishto ka raaz"

dheere-dheere dil ye mera khone laga hai-geet

"Dheere-dheere dil ye mera khone laga hai,
Haan mujhko bhi pyaar hone laga hai,

Dheere -dheere dilme WO aane laga hai,
Haan mujhko bhi pyaar hone laga hai,

Yaado mein uski ye dil machlne laga hai,
Holey holey koi isme aane laga hai,


Mohabbat se ab talak anjaan thi main,
Ishq ki mehfil mein kitni naadan thi main,


Chupke se saanso mein wo samane laga hai,
Har dhadkan mein uska hi naam aane laga hai,

Dheere- dheere dil ye mera khone laga hai,
Haan mujhko bhi pyaar hone laga hai,

Uske hi khyaalo mein khoyi rahti hoon,
Na jaagi na soyi rahti hoon,

In hawao mein ahsaas uska hi mujhe hota hai,
In fizaao mein ek chehra uska hi dikhta hai,

Jaane kaisa ye jaadu mujhpe jhaane laga hai,
WO ajnabi apna sa mujhe lagne laga hai,

Mujhe ye jaane kya hone laga hai,
Ek ajnabi dilme  yu aane laga hai,


Dheere-dheere dil ye mera khone laga hai,
Haan mujhko bhi pyaar hone laga hai-3"

Monday 17 August 2015

"Hey prabhu har wakt karu Teri vandana, Bhool se bhi koi bhool mujhse na hona- prabhu vandana

"Hey prabhu har wakt karu Teri vandana,
Bhool se bhi koi bhool mujhse na hona,

Rahu sada bhakti mein Teri karu upasna,
Ek tu hi to swami mera jiski karu aradhna,

Tere hi dar pe sheesh jhukau karu sadhna,
Din raat har pahar bas teri hi karu archana,

Main murakh agyani tu hai vedon ka swami,
Na janu puja teri par hai kaam tujhe pukarna,

Hey prabhu tujhko naman karu abhivandnm,
Na shikwa tujhse koi hai dilme mere ye dharna,

"Hey prabhu har wakt karu Teri vandana,
Bhool se bhi koi bhool mujhse na hona,

Saturday 15 August 2015

ye duniya jaane kis oor

"Ye duniya jaane kis oor aaj ja rahi hai, Har disha se askho ki gandh aa rahi hai, Ban raha hai insaan hi dushman insaan ka, Dharm ki aad mein insaniyat ja rahi hai, Bhed-bhaawon se bhare hain log aaj zaha ke, Ye dekho yaha kaisi hewaniyat chha rahi hai, Roz lahoo bahate hain ye mazhab ke saudagar, Bana mazhab khuda insaniyat dam tod rahi hai, Bebas aur laachar hain kitne insaan yaha ke, Dekh bebasi unki ye dhara bhi karha rahi hai, ye dariya bhi bhar chuka hai manav ke khun se, Har nadi yaha paani nahi lahoo laa rahi hai, Ghut ghut kar dam todti har wakt ye insaniyat, Farishto ki ankho se bhi paani jhalka rahi hai, Dekh nazare duniya ke dilse ye awaz aa rahi hai, Ye duniya jaane kis oor aaj ja rahi hai-3"

Saturday 8 August 2015

dil le gaya----geet

"Dil le gaya haan dil le gaya,
Chori chori wo to dilme bas gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,


Dheere dheere dil uska ho gaya,
Jaane kaise kab ye ho gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,


Hoti hai mohabbat kya
 mujhe malum na tha,
Dil lagana Jana na tha,


Holey holey dil uska ho gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,
Chupke se wo to dilme bas gaya,
Dil le gaya han dil le gaya,


Mohabbat hoti hai hasin itni,
Basti hai dilme ik tashvir sanam ki,
Unki chahat hi hoti hai beskimti,


Mohabbat ke ahsaas se anjan thi main,
Ishq ki mehfil se anjaan thi main,
Jaane kyon itni naadan thi main,

Dheere dheere dil uska ho gaya,
Dilme rahne Wala dil chura le gaya,
Pyaar ho gaya mujhe pyaar ho gaya

Jaane kaise kab ye ho gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,
Chori chori wo to dilme bas gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya-3