Saturday 29 December 2012

bas khul kar hasne ki chahat thi hmari-sad shayari


bas khul kar hasne ki chahat thi hmari, bas saath uska paane ki hasrat
thi hmari, nau rang zindagi hote hain usme se bas ek rang paane ki tamanna thi hmari,, jyada kuch nahi bas unhi ki tarah ek aam zindagi
jeene khwaaish thi iss dil me hmari,

    par na pasand aayi iss duniya ko
meri yu unki tarah zindagi jeene ki chaahat, badla liya sabhine mujhse
dikha k wafa ka chehara fir kar ke bewafai muje pal pal tadapta chhod diya,,
chalte chalte zindagi me ab tak jisko bhi hmne samjha tha apna aaj
ussi ne thukra kar diya mujhe begana, tha kasur bas itna sa mera jo
kari thi chahat khul kar hasne ki, thi hasrat dil me bas unke saath
chalne ki, zindagi ko hm bhi sab ki tarah jeena chahte the, bas shayad
ye hi baat meri kismat ya fir iss duniya ko khalne lagi thi, aaj kar k
tabah meri har khushi ko khud jashn me dube hai muje tabah krne wale,
ae khuda agar hai tu kahi iss sarzamin par to de unhe saza aisi jo na
lute kabi kisi ki koi khushi aur na kabi koi chhin le kisi ke hontho
se ab hassi..
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

uski nigahon mein basne ke kaabil khud ko jo na bnaya..


"usne mujme sirf kamiyo ke siwa aur kuch na dekha, mere pyar aur wafa ko bhi usne jaane kyon na dekha, jabki maine to usse uski kamiyo k saath hi apnaya tha, badle wo khud ko kabhi ye khyaal na dil mei kabi aaya tha, shayad isliye pyar mei hmare fasle bade aur aaj ruth kar ek dusre se hain dur ja khade, khata fir b uski nhi meri hi hai shayad jo maine khud ko uski nigahon mein basne ke kaabil khud ko jo na bnaya.."

Friday 28 December 2012

meri chaahat ka ahsaas kaash tujhe ho jaaye

din ke ujaale se le kar raat ke andhere tak, shaam ki chhaaw se le kar subah ki dhoop tak, kal se le kar aaj tak, door se le kar paas tak karte hain hum tumhse itnee mohabbat, kaash ye jaan jaao meri iss chaahat ko tum meri saanson ke taar chhoot jaane tak, kaash tum laut aao mere paas mere sada ke liye neend ki aagosh mein jaane  tak, meri chaahat ka ahsaas kaash tujhe ho jaaye ae zaalim iss zindagi ke khatm hone tak ..................

--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

Thursday 27 December 2012

kyon mud-mud kar aaj bhi hum tumhe dekhte hain-sad shayari

kyon mud-mud kar aaj bhi hum tumhe dekhte hain, karte hain khud se door tumhe fir bhi kyon itnaa kareeb tumhe hum paate hain, bhoolna chaahte hain tumhe hum par kyon fir tere diye har dard aaj bhi aansu ban kar meri aankhon se nikal aate hain, tod kar har rishta tujhse jaane kitni door chale aaye hain hum, par teri berukhi ke baad bhi tere hi lautne ki aas rakhte hain kyon aaj bhi dil mein hum, tujhse hi milne ka kyon intzaar karte hain har waqt bas hum, kaash teri galtiyon ka ahsaas tujhe ho jaaye,kaash tere diye har gam ka ahsaas tujhe ho jaaye,  ye hi soch kar har din jiya karte hain ab to bas hum....

क्यों मूड-मूड कर आज भी हम तुम्हे देखते हैं, करते हैं खुद से डोर तुम्हे फिर भी क्यों इतना करीब तुम्हे हम पाते हैं, भूलना चाहते हैं तुम्हे हम पर क्यों फिर तेरे दिए हर दर्द आज भी आँसू बन कर मेरी आँखों से निकल आते हैं, तोड़ कर हर रिश्ता तुझसे जाने कितनी डोर चले आए हैं हम, पर तेरी बेरूख़ी के बाद भी तेरे ही लौटने की आस रखते हैं क्यों आज भी दिल में हम, तुझसे ही मिलने का क्यों इंतज़ार करते हैं हर वक़्त बस हम, काश तेरी ग़लतियों का अहसास तुझे हो जाए,काश तेरे दिए हर गम का अहसास तुझे हो जाए,  ये ही सोच कर हर दिन जिया करते हैं अब तो बस हम....

chaahat hai bas itnee c apne rab ko paane ki........

jarurat nahi kisi afsaani ki, jarurat nahi kisi pemaane ki, jo mila  sake na Ishwar se mujhe jarurat nahi zamane ki, na hasrat hai iss dil ko dhan-doualat aur khazane ki, chaahat hai bas itnee c apne rab ko paane ki........

these lines for you my dear god..... i love you very much..........

Sunday 23 December 2012

teri hi surat nazar aati h..

 q reh reh kar biti hui baate bahut yad aati h, q reh reh kar  har
ghadi muje tadpati h, toote huye dil k tukdo ko jab-2 dekha maine q aaj bhi
unme teri hi surat nazar aati h..


Ishwar Vaani...praani maatra ke andar ki burai hi Shetaan hai..17*



mere priye paathakon ko mera saadar namskar, mujhe bahut hi khushi hai ki aap sab mere dwaara likhi gyi Ishwar Vaani padte hain aur unhe saraahate hain, priye paathako aaj abhi jo aap meri iss Ishwar Vaani mein padenge wo kuch sawal hain jinhe maine Ishwar se puchha tha aur jinka jawab unhone mujhe diya, wo sawal kya the jo maine unse puchha tha iske mukhya bindu ye hai jinka vistaar ke saath jawab Ishwar ne mujhe diya, 

sabse pahle maine puchha : Q.1*Prabhu Ishwar ko prapt karne ka marg kya hai??


Ans: Prabhu ne uttar diya,    "sachhe avam nihswarth bhaav ki bhakti dwara hi mujhe paya ja sakta
hai, chahe mujhe jis roop aur naam se pukaro par pukaro jarur, ishwar
khte hai bhale log mujhe vibhinn roop aur naam se pukare kintu un tak
pahuchne ka marg bhakti hai, ishwar manzil hai aur bhakti path hai
bhakt roopi pathik ka, ishwar kahte hai sirf bhakti hi nahi shradhha,
daya, samman,vishwas, pavitrata, satkarm, satkaar aur kartavya jaise gun jis bhakt roopi
pathik me hote hai usse hi meri prapti hoti hai tatha jo bhakt -kaam,
krodh, lobh, moh aur ahankar ko  khud se dur rakhta hai usse meri
prapti hoti hai,"



fir mane unse puchha:Q.2*  Prabhu Bhotik aur Abhotik swaroop se kya abhipraaye hai aapka????

Ans: Prabhu bole, "jo nashwan hai wo bhotik hai tatha jo nashwan nhi
hai wo abhotik hai jaise hmara sharir nashwan hai isliye ye bhotik hai
kintu aatma nashwan nhi hai isliye abhotik hai, Ishwar kahte hai ki wo sansar k kalyan hetu
bhotik roop lete hai jo ek nishchit samay k baad nasht ho jata hai
kintu iske pashchat wo apne abhotik swaroop me vileen ho jate hai jo sadiyon se aaj bhi virajit hai aur sadiyon tak virajit rahega, aur jo
nashwan nhi hai na hoga, 


 samast praani maatra ki aatma bhi apne bhotik shareer ko tyaag kar apne kaatryon ki poorti ke baad mujhme arthaath mere abhotik swaroop mein sama jaati hai",


fir maine puchha: Q.3* Bhagwant ye Dhaarmikt Granath kya hai????

Ans. Ishwar ne kaha,  "shwar dwara kahi gayi sansar k kalyan hetu baate unke behad
karibiyo athwa jisne sarva pratham (Desh, Kaal avam Parishtithi ke anuroop) likh kar,  sangrheet avam sanklit kar sansaar ko saunpi
  wahi dharmik granth kehlai , ishwar ek aise shikshak k saman
hain jo vidhya to dete hai kintu wo chaahte hain unke dwara di gayi vidhya ko
pranimatra apne shabdon mein likhe aur uska arth jaan kr palan kare, unki yahi vidhya granth shabt ka  ka mool arth hai.."


fir maine puchha: Q.4* Prabhu Shetaan kaun hai athwa uska kya arth hai????


Ans. Ishwar ne kaha "praani maatra ke andar ki burai hi Shetaan hai,"


fir maine puchha: Q.5* Bhagwant aap to kahte hain ki achhai aur burai donon aap ke hi roop hai, fir maanav ke andar ki burai hai shetaan kaise hui, jabki aap to kahte hain ki aap hi bhagwan hain aur aap hi shetaan, fir maanav ke andar shetaan kaise aa gaya, uske andar burai hi Shetaan kaise hui??

Anas. Ishwar ne kaha "jis prakaar main maanav ke hriday mein sadgun ke saath rahta hoon, waise hi main maanav mein avgun ke roop mein bhi rahta hoon, kintu maanav ko mera kaun sa swaroop chunna hai iskee samajh bhi usse hi deta hoon, maanav lobh, laalach athwa kisi bhi pralobhan ya fir shakti avam saamathya ityaadi ke ahankaar mein aa kar mere sadgun wale roop ki jagah avgun wale roop ko chunta hai, aur uske andar hi burai hi Shetaan hai,"





pyaare paathako fir humne uss parmeshwar se kinhi naamon ka arth puchha jo achhi shakti ke saath buri shakti se jude hai jaise:- Ram-Ravan, Kans-Krishna

Ishwar kahte  ki jab burai achhai par haavi hone lagti hai tab achhai ko duniya ke saamne laane ke liye unhe vibhinn maarg apnaane padthe hai nahi to sansaar se achhai sadaa sadaa ke liye khatm ho jaaygi,



Ishwar ne kaha waise to unke naam ke ek ek shabd ka koi na koi mool arth jaroor hota hai, jisse praani maatra kabhi nahi jaan sakta, kintu unhone apne naam roopki shabdon ke kuch mool arth hume bataye iske saath hi unhone ye bhi bataya ki yadi iss naam ko jod kar yadi uska arth nikaala jaaye to wo kuch aur hota hai aisa nhi hai kintu wo sirf ek chhota sa sampoorn naam ka ek maatra ansh ya fir saar hota hai, isliye Ishwar ne apne naam ke aksharon ke anusaar unka arth hume bataya..




unhone kaha Ravan shabd ka arth hai Rashyawaan, arthaat jo vibhinn shaktiyon ka gyaata hi nahi balki apne janm janmon ke rashyon aur unka patan aur swam ki mukti ka maarg jaanta ho kintu usse kabhi kisi ke saamne na la kar swam tak hi seemit rakhta ho, 

Ishwar ne kaha Ram shabd ka arth hai vibhinn shaktiyon ka data athwa unka maalik, moksh pradaan karne wala, raham karne wala, sansaar ka paalan poshan karne wala,


Ishwar ne kaha Kansh shabd ka arth hai Kul ka ansh, arthaath jo apne kul ka ansh maatra ho, apne kul ko aage badane wala par saathi uske patan ka kaarak hi kans kehlaata hai,

Ishwar ne kaha Krishna ka arth hai apne kul vyaadhiyon ko sanhaarne wala, apne kartavyon ko poora karne hetu apne kul ka bhi jo har le, sansaar mein ki bhalai hetu apne kul ko bhi daaw pe lagane wala hi Krishna hai,


iss prakar Ishwar ne mujhe Lakshman, Vibhishan, Bharat, Meghnaad aadi ke naamon ka arth bataya, priye paathak baaki sab ab agale ank mein....



Saturday 22 December 2012

Ishwar Vaani........param satya..... *16*

Ishwar kahte hain sansaar mein maanav jab jab apne mool kartavyon ko bhula kar shrishti, maanav aur praani matra ke virudh ho kar kaarya karne lagega tab tab Ishwar Desh, Kaal aur Parishtithiyon ke anusaar apne abhotik swaroop(shoonya swaroop arthaat niraakar swaroop) se nikal kar bhotik roop mein iss dharti par aaynge, aur bhatke huye maanav ko sahi path dikhaynge,

     Bhatke huye maanav ke kadam Ishwariye satta ko chunoti dete hain, isliye Ishwar maanav ko uske mool kartavyon ko yaad dilane hetu avam samast shrishti, maanav aur praanimatra ki suraksha hetu bhotik roop mein aa kar uska marg darshan karenge,

    Apni shakti aur saamarthya ke ahankaar mein doobe maanav ko sahi maarg dikhaynge, uske bhoole huye kartavaya usse yaad dila kar uske path vimukh hone par sahi path par laaynge jisse samast shrishti, maanav avam samast praani jo usse trasht the unhe bhi aise pathviheen maanav ke atyaacharon se mukti praapt ho,ishwar khte h ki wo desh, kaal avam parishtithiyo k anusar hi bhotik
roop lete h, ishwar khte hai jahan log mujhe 33 karod roopon me ginte
h to wahi dusri taraf log mujhe aakarheen khte hai, to kahi muje log
10 roopo me mante h, kintu satya kya hai pranimatra ye nhi janta, sab
manushay khud ko sahi bta kar aapas me ladne lagte hai aur aage mera
naam kar dete hai,

Ishwar khte h jahan log muje 33 karod bhotik roopo me  mante hai
waha muje manav me vyapt buraiyo ko dur krne avam manav sabhayta ka
vikas krne hetu ye roop dharan kre, kintu iske pashchaat jahan log
muje aakarheen bta kar meri upaasna krte hai, waha main aaya to bhotik
roop me khud kintu waha ke desh, kaal, parishtithiyo avam bhavishya ki
hone wali ghatnao ko dhyan me rakh kar keval uss parmeshwar ka doot
khud ko btaya, aur maanav jati ko uss niraakar prabhu me param aastha
rakhne hetu khud ko unka saadharan sevak btaya, yadi mai aisa na krta
to maanav sada mere bhotik roop ki upasna krta na ki mere nirakar
vastavik roop ki,

ishwar ne kaha ki unhone sada prani jagat ko ye sandesh diya h ki wo
bhotik roop me nhi apitu abhotik roop me virajit h, bhotik roop to wo
hme koi na koi shiksha dene k liye lete h, chahe iske liye unhe guru
banna pade ya mata ya pita athwa ishwar dwara bheja koi unka apna ya
fir uss rab ka farishta, sab kuch main desh, kaal avam parishtiyo k
anusaar tay krta hon,

Ishwar kahte hain mujhe iss sansaar mein aana to bhotik roop mein padta hai kyon ki main logon ki soch badal kar sansaar se buraiyon ka naash karna chaahta hoon, kintu yadi main chaahu to apne abhotik swaroop mein ho kar bhi ye kaarya kar sakta hoon kintu isse samast sanaar mein dheere dheere mere astitva pe ek prashn chinh lag jaayga ki kya vaastavik roop mein main hoon bhi athva nahi, isliye sansaar aur praani jagat ko apni upastithi batane aur samast sansaar ko bhotik aur abhotik ka gyaan dene hetu iss sansaar mein aana padta hai,

Ishwar kahte hain maine Desh, Kaal aur parishtithyon ke anusaar hi apne roop liye, kahi log meri pooja mujhe saakar maan kar karte hai to kahi niraakar maan kar, kintu sachh to ye hai ki main maanav ko ye sandesh dena chaahta hoon ki sansaar ke kalyaan ke liye avam maanav mein vyaapt vikrati ko door karne k liye mujhe saakar yaniki bhotik roop lena hota hai isliye main waha bhi utna hi viraajit hoon jahan main apne niraakar roop mein viraajit hoon, wo saakar roop bhi utnaa hi poojniye avam vishvashniye hai jitna ki mera niraakar roop, aur jo log mujhe kisi aakar mein nhi apitu niraakar roop mein mante hain waha bhi main viraajit  hoon, waha mera bhotik roop tyaag kar abhotik roop viraajit hai, arthaath apne kartavyon ko poorn kar main apne mool roop mein wapas aa gaya hoon, isliye samast praani jagat ko main batana chaahta hoon ki main hi niraakar hoon aur main hi saakar, donon hi roop mere satya hai,
Ishwar kahte hai ki jo log mere saakar roop ke saamne natmastak nahi hote, kaaran wo chaahe kuch bhi batate ho, kahte ho ki unke yaha sirf aur sirf iss niraakar parmeshwar ke atirikt kisi aur ke samaksh sarr nhi jhukaaya jata hai, to unn praniyon ko main ye batana chaahta hoon ki iss sansaar mein sirf  2 roop viraajit hai, Ishwar ko niraakar swaroop ko poojne wale ko wo batate hai ki kabhi    Shetaan/Rakshash/Burai ka Prateek kisi bhi aakrati ke samaksh apna sheesh kabhi na jhukao, kintu saakar ho athwa niraakar mere samaksh apna sheesh avashya jhukao chaahe Desh, Kaal avam parishtithiyon ke anusaar tum mujhe kisi bhi roop mein maante ho, kintu maano sadev mere achhe swaroop ko,

Ishwar kahte hai ki ya bhi param satya hai ki achhai aur burai mera hi ek roop hai waise hi jaise ek hi sikke ke do pahle hote hain, kintu main chaahta hoon ki praanimatra mere sadev achhe roop ko dekhe avam uska hi anusaran kare, mere bure swaroop se wo sada door rahe, Ishwar kahte hai main hi Desh, Kaal aur parishtithiyon ke anusaar achhai mein viraajit hoon kintu iske saath main vibhinn naamon se buraiyon mein bhi viraajit hoon, kintu main chaahta hoon jis burai mein hoon, log usse apne jeevan main na apnaye, sirf mere achhe swaroop ki achhai ko anugraheet kare,


Ishwar kahte hain ki samast Ved, Shashtra, Granth avam Dharmik pustake Desh, Kaal avam Parishtiyon ke anusaar  hi likhi gayi hai, jinhone unhe likha hai dheere dheere kaafi had tak inka mool roop khatm ho gaya hai, kintu abhi bhi inka mool saar ek hi hai, isliye kabhi bhi maanav ko apne Dharm, Sanshkrati, Sabhayata, Bhaasha ityaadi ko bada dikha kar doosre ke Dharm, Sanshkrati, Sabhayata aur Bhasha ityaadi ke aadhar par neecha dikhana nahi chaahiye, kyon ki maanav ko ye nahi bhoolna chahiye ki main hi janm leta hoon jahan maanav dwaara burai sansar mein had se jyada bad jaati hai aur Ishwariye satta ko burai chunoti dene lagti hai athwa Ishwar ke vachano ka matlab galat nikaal liya jata hai, aur maanav apne path se bhatak jaata hai, maanav ko sahi maarg dikhane hetu hai Desh, Kaal aur parishtithiyon ke anusaar hi main sansaar ko updesh deta hoon jinhe log likhana shuru kar dete hai aur jo sabse pahle likh leta hai, mere bhotik swaroop ke tyaaagne k baad wo hi “Dharmik Granth” kahlaata hai,


Ishwar kahte hain ki main maanav dwaara kisi bhi praani ki hatya ko sweekar nahi kar sakta chaahe log usse mujhe prasnn karne hetu hi Bali ke naam par maar daalte hain, Ishwar kahte hain yadi unhe bali deni hai hai to apne andar chhhipi burai ki de mujhe, kisi nirdosh praani ki hatya bali ka naam par wo na kare, jiss nirdosh praani ko ye tak pata nahi ki uska aakhir kasoor kya hai uski hatya bali shabd ke naam par krna ghor apraadh hai, isse main prasann nahi apitu naraj hota hoon, kyon ki maine sadev hi kaha hai ki jeevan lena aur dena sirf aur sirf mera kaam hai maanav ka nahi, kisi ki hatya se main kabhi prasann nahi hota, yadi hota hoon to kewal satkarm se, praani jagat rakhsha aur suraksha se na ki unme kisi bhi prakaar ka darr felaa kar……


Friday 21 December 2012

Ishwar Vaani.......jhooth bolna sahi athwa galat *15*

Ishwar kahte hain yadi hum kisi bhi manushya se jhooth bolte hain to chaahe iss jhooth se uss manushya ka koi ahit na ho bhale kintu hum sabse pahle khud ki aur yadi satya ka pata chal jaaye kabhi to uski nazar mein bhi gir jaate hain kyon jhoot bhi ek nishchit samay tak hi chhip sakta hai, satya kabhi na kabhi saamne aata hi hai, isliye jahan tak sambhav ho jhooth se hume duri bana kar rakhni chaahiye, Ishwar jhooth bolne wale manushya ko kabhi shhama nahi krte kyon ki jhooth insaan kisi nadani ke kaaran nahi balki poori samajhdari ke saath bolta hai,


Ishwar kahte hain kisi vishesh parishtithiyon mein bola gaya jhooth satya se bhi  bad kar maana jaata hai jaise kisi nirdosh praani ke praan rakhsa hetu bola gaya jhooth uss satya se bhi bada hai jiske bolne par uske praan sankat mein aa jaate, waise hi Desh, Raksha, Surakhsa aur kisi behad zaruratmand praani ki sahaayta ke liye bola jaane wala jhooth satya se bhi bad hai jo satya Desh, apni avam nirdosh praani ki Raksha aur suraksha hetu bola jaaye,


Ishwar kahte hai jhooth ko unn haalaton mein kabhi shhama nhi kiya ja sakta jo kisi apradhi, anetik kaarya karne wale vayakti ko bachane k liye bola jaaye, jhooth ko sirf vishesh kaaran ke liye hi bolna chaahiye, usse apne aadat mein shaamil kar khud ko sarvshreshth athwa chaalak samajhne ki galti nhi karni chaahiye, jhooth bol kar kisi ko bewkoof banana ya khud ko shreshth dikhana ye sab nahi karna chahiye, iss kritya ke liye Ishwar hume kabhi shhama nhi karte, unhone iskee utpatti sirf kisi nirdosh aur sahi maayne mein madad mangne wale ki sahayta hetu iss sansaar ki hai, isse hume apne swaarth ke liye nahi upyog karna chaahiye, aisa karne se iska mehatva khatm ho jaata hai, iski utpatti netikta aur pranimaatra ki sahayta hetu hui hai...










thanks & regards
      Archu

Ishwar Vaani.....budhhimaan manushya.. *14*


Ishwar kahte hain hume har uss shakhs ko maaf kar dena chaahiye jo naadani mein koi galti kar deta hai, kyon ki usse uss galti ka ahsaas nhi hota, yadi hota to wo galti karta hi kyon?? yadi kisi budhhiheen vayakti ki moorkhtavash kahi hui baat, avhelna ityaadi se naraz ho kar uske saath bhi waisa hi vayvhaar karte hain to humse adkhik budhhiheen aur koi nahi ho sakta..

ek naadan manushya uss baalak ke samaan hota hai jo khud ko param gyaani samajh kar baate karta hai, usse lagta hai ki usse adhik gyaani sansaar mein koi aur hai hi nahi, wo apne gyaan ko jabardasti logon ko dikhane ki koshish karta hai taaki log usse param gyaani samjhe, jabki ek gyaani manushya kabhi khud ko sansar k samaksh param gyaani dikhane ki cheshta nahi karta, wo logon dwaara ki gayi avhelna ka bhi jawab bhi tab hi deta hai jab usse lagta hai ab iska sahi samay aa gaya hai, wo kabhi kisi ko na to neecha dikhata hai aur na khud ko sarva shresht dikhata, uski nazar mein apni apni budhhi ke anusaar sabhi mein gyaan aur samajhdaari hai,


wo buddhiheen athwa naadan manushyon ki galti ko bhi shhama kar deta hai, kyon ki aise log ek baalak ke samaan hote hai jo khud ko duniya mein sabse samajhdar samajhte hai, unhe lagta hai ki sampoorn jagat ka gyaan unhe hi hai jaisa ki ek aboth baalak samjhta hai, aise logon ki baat aur avhelna sunne ke baad bhi budhhimaan vyakti budhhiheen ki na kisi baat ka bura maanta hai balki uski har galti ke liye usse  maaf kar deta hai, kyon yadi wo usse maaf na kare balki uski baaton se naraz ho kar wo usse jawab de, uski baat ko apne jeevan se jod le aur budhhiheen ko kathor se kathor dand de ya fir uske saath ussi jaisa vayvhaar kare to uss vyakti se jyada budhhiheen koi aur nhi ho sakta, budhhimaan wahi hai jo maaf kar de kisi ki naadani mein hui galti ko.....






Ishwar bhi humari har galti ko maaf kar dete hai jab hum unse sachhe dil se maafi mangte hain, agar hum na bhi maange tab bhi wo kaafi had tak humari galtiyon ko maaf kar dete hain kyon?? kyon ki hum unki tarah param gyaani nahi hai, humse jaane anjaane kitnee galtiya ho jaati hai, Ishwar iss baato ko jaante hai, kintu yadi Ishwar na maaf kare hume,aur humari har chhoti badi galti ke liye hume dandit kare to unme aur saadharan budhhiheen manushya mein koi bhed na rahega, Ishwar hume bhi ye hi seekh dete hai ki hume bhi unki tarah apne se kam budhhi rakhne wale  manushyo ko shhama kar dena chaahiye,

kintu kisi ki naadani mein hui galti aur kisi k dwaara huye apraadh mein bada fark hai, galti nasamjhi ke kaaran hoti hai aur apraadh sab kuch jaanne k baad bhi manushya karta hai tatha jiske dushpareenam ka bhi uss gyaan hota hai, Ishwar kahte hai ek budhhiheen dwaara ki gayi galti ko shhama kiya ja sakta hai kyon ki usse sahi galat ka bodh nahi hota kintu ek apraadhi ko nahi....
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****


Wednesday 19 December 2012

bewafai ka daaman thaame rahe...

"hm unhe manate rahe aur wo hmse ruthe rahe, hm unke karib aate rahe aur wo hmse dur hote gaye, dil ne koshish ki bahut unhe har khushi
dene ki, hasrat thi zindagi bhi unpe lutaane ki, shaayad ek
wafa-e-mohabbat ka gunah hm kar baithe, tabhi hm to har waqt unse wafa-e-Ishk nibhate gaye aur wo  bewafai ka daaman thaame rahe...."

Monday 17 December 2012

Askh...

ajeeb kahani hai inn askhon ki, koi apna ban jaye to aaknhon se jhalak aate hain, koi humse dur chala jaaye to ye aankhon se nikal aate hai, hota hai koi gam zindagi mein agar tab bhi ye palkon mein nhi chhip paate aur hoti hai koi agar khushi zindagi mein tab bhi bin bataye sabko ye rah bhi nahi paate, koshish karte hain hum ki inhe na behaye aankhon se par ye to shayad bewafa hai unki tarah jo aankhon se nikal kar ye bhi hume akela chhod jaate hain,

mehakti rahe zindagi tumhari

phoolon ke jaise mehakti rahe zindagi tumhari, rahe har dard dur zindagi se tumhari, na kabhi gam aur tanhai tumhare paas ho, na kabhi khaalipan tumhare saath ho, har taraf bikhra rahe bas apno ka pyaar ho, mile har jagha wo khaas jisse tum chaaho apne kareeb baar baar, har lamha bas phoolon ki bagiya ki tarah mehakti rahe har subah aur shaam tumhari, dur rahe har aansu bhi zandagi se tumhari.....

Sunday 16 December 2012

Ishwar Vaani....13...Shrashti ka Satya.....Shoonya Kya hai (what is zeero??)

priye paathak jaisa ki aap sabhi ne suna hoga ki shrishti ke nirmaan se poorva samasht jagat mein andhkaar avam shoonya vyaapt tha, aur issi shoonya se hi samasht shristi ki utpatti hui hai, par kya aap jaante hai ki ye shoonya kya tha aur isse samast shristhi ki utpatti kaise hui, priye shrotagan ye shoonya aur koi nahi shaakshaat Ishwar hai, aur inhee ki Ichha shakti se shamast shristi ka nirmaan hua, shrishti niraam se poorva samasht jagat mein shoonya viraajit tha iska pramaan dene ke liye hi Ishwar ne samasht Grah-Nakshatron ka aakar avam prakaar bhi shoonya "0" ka hi diya hai taaki maanav unhe dekh kar ye jaan sake samasht sharishti se poorva bhi shoonya hi viraajit tha aur iska ant bhi shoonya mein hi hoga, aur shrashti ek baar fir shoonya mein hi vileen ho jaaygi...


Ishwar kahte hain ki Aakashiye Divya Saagar bhi ussi Ishwariye Shoonya se utpann hua hai, arthaat srishti ki rachna hetu Shoonya Roopi Ishwar ne pahle uski rachna ki, uska bhi koi Shira vishaal Aakash mein viraajit nahi hai iska arth ye hai ki wo ho kar bhi nahi hai arthaat Shoonya se utpann ho kar wo bhi Shoonya Aakrati ka hi hai, tabhi praanimatra usse na to dekh sakta hai aur na hi usse pramanit kar sakta hai, usse sirf aur sirf Aadhyaatm dhwaara hi dekha ja sakta hai, mehsoos kiya ja sakta hai.


Priye Shrotagan, Ishwar ka vaastavik roop bhi ye hi hai shoonya arthaat "kuch nahi" arthaat jiska koi aakar nahi kintu bina aakar ke bhi wo khud mein poorna hai aur uske bina srashti mein kuch bhi sambhav nahi hai,
jo bhotik na ho kar abhotik hai wo hi Shoonya hai kintu uske bina kuch bhi sambhav nhi hai,Shoonya arthaat jiska koi chhor ya fir Shira na ho, jaise Prithvi ya kisi bhi Grah-Nakshatra ka koi bhi Chhor nahi hai, jahan se hum chalna shuru karte hain wahi pe wapas laut aate hai ghoom fir kar ye prakriya Shoonya kahlaati hai, Shrashti bhi aisee hi hia, jahan se aur jaise shuru hui thi aakhir ghoom fir kar wahi waapas aayegi jaise humari Aatma uss Parmeshwar se hi Utpann hoti hai aur aakhir mein ussi mein vileen ho jaati hai ye prakriya hi Shoonya hai ki jahan se prarambh hota hai wahi pe uska ant, 

kintu iske bina sampoorn jagat ka nirmaan bhi sambhav nahi hai kyon ye khud mein sampoorn hai jaise jis tarah ganit mein shoonya 1 ke saath mil kar 10 banta hai ussi prakaar Ishwar issi shoonya se apne bhakton ki upaasna aur unke mann ki kalpana ke aadhar par apna roop avam aakar prapt karte hain, humari aatma bhi ye hi hai Shoonya jo jis shareer mein jaati hai wo hi humara janm avam aakar hota hai, jaise Barf ko jis aakar ke bartan mein jamaya jaata hai ussi aakar mein wo jam kar waisa hi roop prapt karti hai waise hi humari aatma jis shareer mein pravesh leti hai waisa hi roop aur vyavhaar karti hai....

Priye Shrotagan jaisa aatam na stree hoti hai na purush, na pashu hoti hai aur na pakshi, na keet hoti hai aur na koi jeev, na nadi hoti hai na samandar, na vraksh hoti hai aur na koi podh kintu jiss shareer mein ye pravesh leti hai aur waisa hi roop prapt karti hai waise hi Ishwar bhi na Devi aur na Devta hai, unka apna koi roop nahi hai, kintu jab hum unhe "Devi" ya "Mata" ke roop mein pukaarte hai tab wo ussi roop mein humare samaksh hote hai kintu jab hum unhe 'Devta" ya "Pita" roop mein pukaarte hain tab wo ussi roop mein humare samaksh hote hai,

ye satya hai ki Ishwar ne humare samakh apne prateek ke roop mein hume Mata aur Pita diye hain, jinka samman aur seva karna humara sarva pratham kartva hai kintu jara unke bare mein bhi sochiye jo anaath hain, jinke mata-pita nahi hai, wo kise apna Ishwar ka prateek samjhe, sachh to ye hai Mata-Pita humare liye Ishwar ka prateek isliye hai jo na kewal hume janm dete hai balki humara paalan poshan karte hain, isliye uss anaath baalak ka baalan poshan karne wala jo bhi vyakti hoga wo hi uska Ishwariye prateek hoga, sirf janm dene wala hi humara Ishwariye prateek nhi ho sakta, ye wo hi ho sakta hai jo humara paalan poshan kar duniya mein ab tak jeevit rakhta hai, uss Parmeshwar ne hume janm dene aur jeevit rakhne k liye na sirt mata-pita ko diya apitu wo saath bhi prakrati ke roop mein diye taaki hum jahan tak sambhav ho behtar zinagi vyateet kar sake, ussi prakaar ek anaath baalak jiske janm dene wale mata-pita ka kuch pata to nahi kintu usse ab tak jeevit rakhne wale saadhan avam saadhya hi uske liye Ishwar aur uska prateek hain,

ye prteek kewal maanav ke liye hi nhi hote, pashu-pakshi bhi Ishwar ke prateek ke roop mein apne maalik ko maante hain kyon unse unhe wo sab prapt hota hai jo Ishwar se samast praniyon ko prapt hota hai, kintu jo pashu-pakshi kisi maanav ke adheen nahi hai wo kise apna Ishawriye prateek kahenge, wo bhi usse hi Ishariye prateek kahenge jiske wazah se wo ab tak jeevit hain.....



--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

subha aur shaam hoti hai,.,..



chalte chalte raah mein kyon  ye nazar aaj bhi sirf tujhe hi dhoondti hai, 

duniya ki bheed mein laakhon hai yaha par ye nigaahe sirf tujhe hi kyon aaj bhi dhoondti hai,

 manaa lete hain hum khushi bin tere par  aaj bhi iss dil to teri hi ummid kyon lagi rahti hai, baith akele mein ghar ki chaukhat pe aata hai reh reh kar aaj bhi mujhe tera hi ek khyaal kyon, bhool kar tujhse door jaane ke baad bhi meri dhadkan aaj bhi tujhe hi kyon dhoondti hai,

 jab thak jaate hai chalte huye beech raah mein tab thaam kar chale mera ye haath tu kyon aaj bhi mujhe ye aas lagi rahti hai, milte hain bahut log mujhe manzil tak pahuchaane wale par fir bhi kyon mere dil se aati ye pukaar sirf tujhe hi dhoondti hai,

aata hai jab naam zubaan pe kisi apne ka pahle tab kyon usme  shamil tera hi kyon naam hota  hai, hai pata mujhe tu tood kar har rishta dur chala gaya hai mujhse,

ho gaya hai juda tu mujhse, shayad teri khwaaish bhi ye hi thi, teri tammana ko jaane bina maine rishta tha tujhse ye joda,

 toote huye tujhse har rishte ke baad bhi kyon aaj bhi meri ye chaahat sirf tujhe hi dhoondti hai, par aaj sab jaante huye bhi meri ye saanse kyon sirf tujhe hi dhoondti hai, mil jaaye shayad tu zindagi ke kisi modd pe bas ye soch kar meri har subha aur shaam hoti hai

chalte chalte raah mein kyon  ye nazar aaj bhi sirf tujhe hi dhoondti hai


chalte chalte raah mein kyon  ye nazar aaj bhi sirf tujhe hi dhoondti hai
......

 

Saturday 15 December 2012

Moral thing: bina kisi baat ko theek se jaanche parkhe hume kabhi kisi ke baare mein koi raaye nhi banani chahiye..




"ek 15 maale ki imaarat hai, aur  2 logon ko uske 15th floor pe pahuchna ha, 2 log ek saath race laga kar lift tak bhaagte hain bt ek ko thokar lag jaati hai aur wo gir jaata hai bt doosra bhag kar lift ko pakad leta hai aur lift 15 maale ki tarf bad jaati  hai, bt doosra shakhs fir se uthta hai aur dekhta hai ki lift to chhoot chuki hai bt wo haar nhi maanta wo seediyon se chad kar uss mazil tak pahuchta hai, bt jo lift se gaya tha shakhs wo pahle pahuch gaya aur jiski lift chhoot gayi wo seediyon se late pahucha bt pahucha jaroor," iska matlab ye to nhi hua na ki jisne seediyon se jane ka raasta tay kiya wo galat tha ya soch galat thi, ab wo accidently gir gaya jisse uski lift chhoot gayi isme uski kya galti, der se hi sahi, seediyon ki anek rukaawaton k sathi hi sahi bt wo apni mazil tak to pahucha, bt na uska raasta galat tha aur na soch..


Moral thing: bina kisi baat ko theek se jaanche parkhe hume kabhi kisi ke baare mein koi raaye nhi banani chahiye..

Thursday 13 December 2012

Aakhir ye Duriya Kyon aa gayi-Article



Shaadi na sirf do logon ke milan ko kahte hai balki ye wo rishta hai jab do ajnabi pareewar bhi ek doosre ke saath rishtedaari k sootra mein bandh ke ek ho jaate hain, Shaadi ke baad nav dampatti ka jeevan bhi pahle se bahut badal jaata hai,apne kai sapno ke saath na sirf var vadhu ek doosre ko apnate baliki iske saath bahut saari nayi jimmedaariya bhi unpe aa jaati hai, naye rishton aur nayi jimmedariyon ke saath wo apne naye rishte ki shuruaat karte hain. Humare pretyek dharm aur shaashtron mein bhi shaadi ko ek aavshyak kaarya ke roop mein maanyata di gayi hai, iske ek wazah to ye hai ki ek nishcht samay par ladke aur ladki ki shaadi se ne to sirf netikta bani rahti hai iske saath samaj mein santulan bhi bana rahta hai.. 
   
par aaj ke iss aadhunikta ke daur mein aisa kya ho raha hai jo shaadi jaise majboot rishte bhi toot kar bikharte ja rahe hain, Shaadi jo na sirf do logon ke milan ka naam hai balki do ajnabi pareewar  bhi risthedaari ke paawan sootra mein bandh kar ek ho jaate hain, fir aaj aisa kya ho raha hai jo shaadi jaisee aavshyak kriya jiska dharm se bhi seedha seedha rishta hai wo kamjoor padti ja rahi hai, aakhir galti kis se kyon aur kahan ho rahi hai, aakhir kaun hai zimmedar inn sabka, kuch logon ka iss bare mein kahna hai ki Paschimi Sabhyata hum par haavi ho rahi hai jiske wazah se rishte tootne lage hain, shaadi jaise majboot rishte ki imaarat bhi kamjor padne lagi hai, to kuch log Film, Television, internet, Media ko maante hain, to kuch log aaj ke pade likhe yuwa varg ko iska zimmedar maante hain. par sochne wali baat ye hai ki kya sachh mein ye hi kaaran hai rishton ke toot kar bikhar jaane ke ya fir asal kaaran wo hain jo hum dekhna hi nahi chahte ya dekh kar bhi samajhna nahi chaahte..
     
    jahan tak maine rishton ke tootne aur talaak ke baare mein research ki aur kuch ek case's ko study kiya to paaya ki jo kaaran log bata rahe hain rishte tootne ke wo asal mein wo hai hi nahi, haan ye jarur hai ki aaj ke time mein Film's, Television, Internet, Media and Higher Education ne logon ko kaafi had tak apne adhikaaron ke prati jaagruk jaroor kiya hai lekin inhe hum wo rishte tootne ka kaaran batana bahut hi galat  hoga, kyon ki rishton ka tootna aur apne adhikaaron ke prati jaagruk hona do alag alag baate hain, par haan thoda bahut sambandh iska jarur ho sakta hai par mukhya kaaran nahi, aur jahan tak mukhya kaaran ki baat hai to wo kya hai maine inhe jaanne ki koshish ki..

     shaadi jo sabse jyada pravit karti hai wo hote hain nav dampatti, kuch sapno aur armaanon ke saath do log shaadi ke bandhan mein bandh kar ek hote hain, shaadi se pahle unki kuch aakanshaaye hoti hai apne bhaavi jeevan saathi ko le kar, apni shaadi ko le kar, kintu maine dekha hai jin ummidon ke saath wo log shaadi ke bandhan mein bandh kar ek hote hain aur jab unhe lagta hai ki unke sapne bas sapne ban kar rah gaye aur unki aakanshaye bas kori kalpana ban kar rah gayi, tab aise mein unke beech doori aane lagti hai, lekin har shaadi shuda vyakti ke saath aisa ho ya wo aisa vyavhaar kare wo jaruri bhi nahi hota, jo log isse hi apna naseeb maan kar khushi khushi sweekar kar lete hain aur ek doosre ki bhaavnao ka samman karte hain wo jaldi hi isse paar pa jaate hain aur achhi khaasi shaadi shuda zindagi bitaate hain, kintu jo log inse paar nahi paate unke mann mein bas ye hi afsoos rahta hai ki unhone apnee mehatkaanshao ke saath samjhota kiya hai, wo khud ko neecha samajhne lagte hain, unme heen bhaavna aane lagti hai aur iska asar unkee shaadi shuda zindagi par seedha seedha padta hai aur rishton mein itnee dooriya aa jaati ki pareewar mein bikhraav ki sthiti paida hone lagti hai..

     lekin sirf ye hi kaaran nahi hai jo aaj ke waqt mein rishte tootne ki ek maatra wazah ho, kuch aur bhi kaaran maine apnee iss research mein jaane. rishte tootne ka ek kaaran apne jeevan saathi ki bhaavnao ko samman na dena bhi hota hai, sirf humesha khud ko sahe thehra kar apna har faisla uss par thop dena, uski baat ko na to sunna aur na hi samajhne ki koshish karna, ye ek kaaran hota hai jab rishte tootne ki kagaar par aa kar khade ho jaate hain, maine kai baar akhbaar aur tv pe samaachar mein khabar padi aur dekhi hai ki Dahejj ke liye bahu ke saath uske saath uske sasuraal walon ne  bura kiya, na sirt usse maansik aur shareerik prataadna di balki uski jaan tak le li, ya fir kabhi sunne ko aata hai ki sasuraal walon se tang kar ladki ne jaan di, iski wazah kya hai, kaun hai zimmedaar, sachh to ye hai jo log apni  bahu par dahejj laane ka dabaav daal rahe the kya unhone uski baat samajhne ki koshish ki, kya unhone khud ko uski jagah rakhne ki koshish ki, khud ko uske pareewar ki jagah rakhne ki koshish ki, nahi ki, unhone sirf aur sirf apnee marzi uss par thopi, yaha tak ki apni baat aur marzi ko sahi theraane mein wo itne andhe ho gaye ki unhe uski jaan lene mein bhi ko harz nahi hui, to fir asal kaaran kya hua, asal kaaran wo hi hua ki apne nazariye se sochna, sirf aur sirf khud ko har baar sahi thehraana, agar aisa karne wale jiske saath aisa kar rahe hain uske nazariye se soch kar dekhe tab unhe shayad apni galati ka kuch aabhaas ho.

     rishe tootne ki ek wazah hoti hai shaadi se pahle kisi ladke ya ladki ka shaadi se pahle ka affair, waise to har kisi ka koi na koi achha ya  bura paast hota hi hai, lekin agar ye paast shaadi ke baad unke vartmaan zindagi mein hastshep karne lage to isse shaadi shuda zindagi prabaavit hona to aam baat hai hi, maine  dekha hai jo log shaadi ke baad apne ateet ko bhool kar apne jeevan saath ko apna sab kuch maan lete hain aur apni pichhali zindagi ke bare mein bhi usse bata dete hain to aane wale samay mein unki zindagi mein dooriyon ki gunjaaish kam rahti. lekin kaafi log aise bhi hote hain jo pareewar ke dabaav mein aa kar ya kisi anya kaaran se uss shakhs se shaadi nahi kar paate jisse wo pasand karte hai par saath hi kisi aur se shaadi ke baad bhi wo apne iss rishte ko todna nahi chahte jisse unki shaadi shuda zindagi prabaavit hoti hai aur aakhir mein rishton mein dooriya aati hai, infect maine to kaafi aise log bhi dekhe hai jo pahle se shaadi shuda hote hai fir bhi paiseon ke aur mote dahejj ke laalach mein doosrei shaadi karte hai, isse wo na sirf do logon ki zindagi barbaad karte hain balki unke saath apne bachhon ki zindagi ko bhi prabaavit karte hain, aur nateeza rishton mein dooriya....

     ab baat karte hain Film, Television, Internet, Media aur Education ki, iska rishton ke tootne ka kahan tak sambhand hai, mujhe aisa lagta hai ki inn sabse se aaj ka yuwa varg jaagruk hua hai, usse apne adhikaaron ke baare mein aaj pahle se adhik jaankari hai, tabhi wo aaj dukh, aansu, gamm ya kisi mazboori ke saath risthe dhone ke jagah unhe khatm karna behtar samajhta hai, TV, Internet ityaadi se unhe tamaam celebrities ke baare mein jaankariya milti hai ki aaj falaa celebrity ki shaadi ho gayi aur falaa ki uske jeevan saath se nahi bani aur aakhir donon alag ho gaye, jab ye khabre aam log padte ya dekhte hain to unhe lagta hai ki jab ye log aisa kar sakte hai jinhe wo apna aadarsh maante hai to wo khud bhi kyon kisi ke atyaachar sahe, kyon wo kisi anchaahe rishte ka bojh thote rahe, isse achha to unhe aise rishte ko apnee zindagi se humesha ke liye jad se ukhaad kar door faikna jyada achha lagta hai,

     afsoos iss baat ka hai ki rishto ke tootne aur bikhraawo ki wazah se humari netikta bhi bang ho rahi hai, shaadiyon ke tootne se na sirf netikta ka patan ho raha hai  balki kai tarh ke apraadh bhi bad rahe hain, agar hume inn apraadhon aur netikta ke patan ko rokna hai to rishton ke tootne se hume unhe bachaana hoga,  iske saath hi shaadi humare dharm aur aashta se  bhi sambandh rakhti hai, apne dharm aur aastha ke liye hume rishton ke patan ko rokna hoga.

     ab log humse puchenge ki aakhir kaise rishton ke tootne se unhe bachaaya jaaye, to iske jawab to maine pahle hi uppar likh diya hai, chaliye ek baar aur theek se yaha hum sabko bata dete hai, yadi hum sadev ek doosre ki bhaavnao ko samman de, ek doosre ki baat ko samjhe,  ek doosre ki samashyaon ko samjhe, sirf apne swaarth ke liye balki doosre ki khushi ke baare mein bhi kuch soche, doosre ko bhi itnaa hi mehatva de jitna khud ko dete hain, khud ko ek doosre ka maalik nahi balki aisa dost samjhe jo jindagi ke aakhir tak humara saath dega, humara jeevan saathi  bhale humari kalpna jaisa na ho par wo jaisa bhi ho usse ishwar ka marzi aur unka aashirwaad maan kar apnaye, uske baahari aakarshan aur bhotik saamagri ko dhyaan mein rakh kar nhi balki uske dil ko dekh kar apnaye, apni aakanshayon aur ichhao par kaabu rakhe, sada jeevan saathi ke prati bafadaar rahe, agar lagta hai ki kahi humara ateet humare aaj ko na prabavit kare to aise mein apne ateet ki sabhi baate apne jeevan saathi se jarur kahe aur iske saath hi jeevan saathi ko chahiye ki uske ateet ki galtiyon ko bhula kar wo apna aaj aur bhavishya dekhe, mujhe lagta hai agar log aisa karte hai to kaafi had tak hum rishton ke toote jaane se unhe rok sakte hain, rishta pyaar, vishwaash, samman aur ek doosre ke prati nihswaarth bhaavna par tika hona chahiye, inme kabhi avishwaas, swaarth, asamman aur ek doosre ki bhavnao ke prati anaadar nahi aana chahiye kyon ki ye kaaran hote hain rishton ke tootne aur bikhrao ke...

--

Thanks and Regards
 *****Archana*****

Wednesday 12 December 2012

mujhe apna lo tum prabhu.. only for you dear god...

dear jesus ek vinati hai aapse, "prbhu chahe mujhse jaane anjane jo galti ho maaf tum kar dena, na ruth kar kabhi mujhse dur tum chale jaana, jo huye aap dur mujhse na ji paaynge bin aapke hey parmeshwar, main naadan hu prabhu, sabhi avguno se bhara hai mera ye hriday, kintu aap to gunwaan hai, mere avguno ka haran kar mere jeevan mein aa jao prbhu, suna hai kar dete hain maaf sabhi ko, mujh paapi ko bhi kar ke maaf apna lo tum hey prabhu, mujhe apne saath le chalo hey prabhu, daya karo hey prabhu, mujhe apna lo tum prabhu.."

dear god i love you very much..

"hey prabhu jaise aatma ke bina shareer ka koi mehatva nahi hota waise hi aapkee stuti k bina mere iss jeevan ka koi arth nahi, hey parmeshwar ek vinati hai aapse, sadaa aap mere hriday mein rehna aise jaise aatma shareer mein rehti hai, aur jab duniya  chhodu mein aapme mein aise samaa jau jaise aakash se gir kar paani ki boond vishaal saagar mein vileen ho jati hai.." dear god i love you very much..

Poetry only for my Dear One Jesus.....i love you very much dear God, love you a lott


दिल की हर धड़कन में बसेरा सिर्फ तुम्हारा हो,हर सांस में जो आये कोई ख्याल  वो भी बस तुम्हारा हो,जिधर भी देखू मैं हर जगह एक चेहरा वो भी सिर्फ तुम्हरा हो,आये हर घडी एक नाम जो जुबां पे मेरी वो भी सिर्फ तुम्हरा हो,मेरी हर बात में जिक्र भी भी बस तुम्हरा हो,उठ कर सुबह जब देखू मैं सूरज को, धरती पर आती हर एक किरण के साथ अहसास भी तुम्हरा हो,दिन की धूप से ले कर शाम शाम की छाव तक में हो एक विश्वास वो भी सिर्फ तुम्हरा हो,दिन के बाद जब आये शाम और गहराने लगे रात चाँद सितारों के बीच नज़र आने लगे मुझे एक प्यारी सी छवि, दिखाई देने लगे एक मोहक सी मूर्ति   वो भी सिर्फ   तुम्हारी हो,मेरी ज़िन्दगी के पहले दिन से आखिरी पल तक एक साथ मिले जो सिर्फ तुमारा हो, हे परमेश्वर हर घडी यकीं बस मुझे तुम्हारा हो, हर पल साथ सिर्फ तुम्हारा हो, हर लम्हा बस विश्वास बस तुम्हारा हो, परमेश्वर मुझे हर मोड़ पे सहारा मिले मुझे जो सिर्फ तुम्हरा हो…  i love you Dear Jesus..

Tuesday 11 December 2012

zindagi unke bina hi kyon likhi hai.......sad shayri




do pal saath unke chalne k baad kyon fir duri naseeb mein likhi hoti hai, do pal ki nazdiki k baad fir kyon  ye doori hume unse milti hai, jeena hai jahan ek pal bhi mushkil unke bina mera fir bhi naseeb mein zindagi unke bina hi kyon likhi hai.......

na maanga humne zindagi mein kabhi kisi se(A Sad Poetry)


 
na maanga humne zindagi mein kabhi kisi se, jo chaaha tha 
humne mila wo hume uss rab ki marzi se, na maangi humne chaahat aur na maangi thi humne mohabbat, wo hume mili lekin uss rab ki marzi se,


koshish ki humne na rulaaye kabhi  kisi ko, de sirf khushiya har kisi ko, jo kar sake  wo karte gaye hum, badle mein mile iske bhale aansu aur gam, fir bhi na ki kabhi ko gila kisi se, chupchaap sabki khushi ke liye ye sehate gaye hum,


ye zindagi mere har pal imtihaan leti gayi, log aaye meri zidangi mein aur ye badalti gayi, koshish to humari har pal ye hi rahi ki na toote dil kabhi kisi ka humse, na chhote saath kisi ka jo mila hai mujhe sabhi ka,


logon ne shayad meri iss saadagi ko hi meri mazboori samajha, jo koshish rahi meri sabko khushi dene ki usse hi meri kamzori samjha, meri baaton ko naadani samajh kar har lamha thukraate rahe log, 



jo aadat thi meri khushi sab ko de kar khud har dard sehane ki uss aadat ko hi meri khata bata kar mujhe hi sataate rahe log, har waqt isliye rulaate rahe log, aanu dekh kar mere na pighalta tha dil unka, wo inn aansu ko hi apne jeet samajhte rahe, unki jeet hai isme shayad isliye hum bhi aansu unki khushi k liye bahaate rhe,



duniya ko khush rakhne ki koshish thi humari, chaahe khud ko chalna pade kaanton par lekin koshish rahi ki  humari chale wo phoolon ki chaadar par jo saath mere ho, door kar du har dukh uska chaahe uskee jagah rona mujhe ho, chheen k uske aankon se har ek aansu ko main pee jaau amrat samajh ke lekin uske dil mein na kabhi koi dard ho, jo bahe uske aankhon se fir ye aansu wo din mera zidnagi ka aakhiri ho,


thi meri ye hi duaa har uss shakhs ke liye jo aate mere kareeb lekin kuch waqt ke liye, jaane kyon mujhse har kisi ne naata toda, meri duaa mein hui kya kami jo sabhi ne hai mujhse har rishta toda,

nahi ki koi faiyaad uss rab se apne liye, ki thi jo daua wo thi sabke liye, fir kyon ye zamana mujhse rooth gaya, jo ayaa mere dil ke kareeb wo hi mujhse door huaa,


zindagi mein na maanga tha humne kisi se kuch fir kyon zindagi ne hi mujhe kyon liya sab kuch loot, lekin nahi hai koi shikwa aaj bhi kisi se, khush rahe mujhe dard dene wale ye hi dua hai meri uss rab se..


na maanga humne zindagi mein kabhi kisi se, jo chaaha tha humne mila wo hume uss rab ki marzi se, na maangi humne chaahat aur na maangi thi humne mohabbat, wo hume mili lekin uss rab ki marzi se,,

na maanga humne zindagi mein kabhi kisi se, jo chaaha tha humne mila wo hume uss rab ki marzi se, na maangi humne chaahat aur na maangi thi humne mohabbat, wo hume mili lekin uss rab ki marzi se...