Thursday 13 December 2012

Aakhir ye Duriya Kyon aa gayi-Article



Shaadi na sirf do logon ke milan ko kahte hai balki ye wo rishta hai jab do ajnabi pareewar bhi ek doosre ke saath rishtedaari k sootra mein bandh ke ek ho jaate hain, Shaadi ke baad nav dampatti ka jeevan bhi pahle se bahut badal jaata hai,apne kai sapno ke saath na sirf var vadhu ek doosre ko apnate baliki iske saath bahut saari nayi jimmedaariya bhi unpe aa jaati hai, naye rishton aur nayi jimmedariyon ke saath wo apne naye rishte ki shuruaat karte hain. Humare pretyek dharm aur shaashtron mein bhi shaadi ko ek aavshyak kaarya ke roop mein maanyata di gayi hai, iske ek wazah to ye hai ki ek nishcht samay par ladke aur ladki ki shaadi se ne to sirf netikta bani rahti hai iske saath samaj mein santulan bhi bana rahta hai.. 
   
par aaj ke iss aadhunikta ke daur mein aisa kya ho raha hai jo shaadi jaise majboot rishte bhi toot kar bikharte ja rahe hain, Shaadi jo na sirf do logon ke milan ka naam hai balki do ajnabi pareewar  bhi risthedaari ke paawan sootra mein bandh kar ek ho jaate hain, fir aaj aisa kya ho raha hai jo shaadi jaisee aavshyak kriya jiska dharm se bhi seedha seedha rishta hai wo kamjoor padti ja rahi hai, aakhir galti kis se kyon aur kahan ho rahi hai, aakhir kaun hai zimmedar inn sabka, kuch logon ka iss bare mein kahna hai ki Paschimi Sabhyata hum par haavi ho rahi hai jiske wazah se rishte tootne lage hain, shaadi jaise majboot rishte ki imaarat bhi kamjor padne lagi hai, to kuch log Film, Television, internet, Media ko maante hain, to kuch log aaj ke pade likhe yuwa varg ko iska zimmedar maante hain. par sochne wali baat ye hai ki kya sachh mein ye hi kaaran hai rishton ke toot kar bikhar jaane ke ya fir asal kaaran wo hain jo hum dekhna hi nahi chahte ya dekh kar bhi samajhna nahi chaahte..
     
    jahan tak maine rishton ke tootne aur talaak ke baare mein research ki aur kuch ek case's ko study kiya to paaya ki jo kaaran log bata rahe hain rishte tootne ke wo asal mein wo hai hi nahi, haan ye jarur hai ki aaj ke time mein Film's, Television, Internet, Media and Higher Education ne logon ko kaafi had tak apne adhikaaron ke prati jaagruk jaroor kiya hai lekin inhe hum wo rishte tootne ka kaaran batana bahut hi galat  hoga, kyon ki rishton ka tootna aur apne adhikaaron ke prati jaagruk hona do alag alag baate hain, par haan thoda bahut sambandh iska jarur ho sakta hai par mukhya kaaran nahi, aur jahan tak mukhya kaaran ki baat hai to wo kya hai maine inhe jaanne ki koshish ki..

     shaadi jo sabse jyada pravit karti hai wo hote hain nav dampatti, kuch sapno aur armaanon ke saath do log shaadi ke bandhan mein bandh kar ek hote hain, shaadi se pahle unki kuch aakanshaaye hoti hai apne bhaavi jeevan saathi ko le kar, apni shaadi ko le kar, kintu maine dekha hai jin ummidon ke saath wo log shaadi ke bandhan mein bandh kar ek hote hain aur jab unhe lagta hai ki unke sapne bas sapne ban kar rah gaye aur unki aakanshaye bas kori kalpana ban kar rah gayi, tab aise mein unke beech doori aane lagti hai, lekin har shaadi shuda vyakti ke saath aisa ho ya wo aisa vyavhaar kare wo jaruri bhi nahi hota, jo log isse hi apna naseeb maan kar khushi khushi sweekar kar lete hain aur ek doosre ki bhaavnao ka samman karte hain wo jaldi hi isse paar pa jaate hain aur achhi khaasi shaadi shuda zindagi bitaate hain, kintu jo log inse paar nahi paate unke mann mein bas ye hi afsoos rahta hai ki unhone apnee mehatkaanshao ke saath samjhota kiya hai, wo khud ko neecha samajhne lagte hain, unme heen bhaavna aane lagti hai aur iska asar unkee shaadi shuda zindagi par seedha seedha padta hai aur rishton mein itnee dooriya aa jaati ki pareewar mein bikhraav ki sthiti paida hone lagti hai..

     lekin sirf ye hi kaaran nahi hai jo aaj ke waqt mein rishte tootne ki ek maatra wazah ho, kuch aur bhi kaaran maine apnee iss research mein jaane. rishte tootne ka ek kaaran apne jeevan saathi ki bhaavnao ko samman na dena bhi hota hai, sirf humesha khud ko sahe thehra kar apna har faisla uss par thop dena, uski baat ko na to sunna aur na hi samajhne ki koshish karna, ye ek kaaran hota hai jab rishte tootne ki kagaar par aa kar khade ho jaate hain, maine kai baar akhbaar aur tv pe samaachar mein khabar padi aur dekhi hai ki Dahejj ke liye bahu ke saath uske saath uske sasuraal walon ne  bura kiya, na sirt usse maansik aur shareerik prataadna di balki uski jaan tak le li, ya fir kabhi sunne ko aata hai ki sasuraal walon se tang kar ladki ne jaan di, iski wazah kya hai, kaun hai zimmedaar, sachh to ye hai jo log apni  bahu par dahejj laane ka dabaav daal rahe the kya unhone uski baat samajhne ki koshish ki, kya unhone khud ko uski jagah rakhne ki koshish ki, khud ko uske pareewar ki jagah rakhne ki koshish ki, nahi ki, unhone sirf aur sirf apnee marzi uss par thopi, yaha tak ki apni baat aur marzi ko sahi theraane mein wo itne andhe ho gaye ki unhe uski jaan lene mein bhi ko harz nahi hui, to fir asal kaaran kya hua, asal kaaran wo hi hua ki apne nazariye se sochna, sirf aur sirf khud ko har baar sahi thehraana, agar aisa karne wale jiske saath aisa kar rahe hain uske nazariye se soch kar dekhe tab unhe shayad apni galati ka kuch aabhaas ho.

     rishe tootne ki ek wazah hoti hai shaadi se pahle kisi ladke ya ladki ka shaadi se pahle ka affair, waise to har kisi ka koi na koi achha ya  bura paast hota hi hai, lekin agar ye paast shaadi ke baad unke vartmaan zindagi mein hastshep karne lage to isse shaadi shuda zindagi prabaavit hona to aam baat hai hi, maine  dekha hai jo log shaadi ke baad apne ateet ko bhool kar apne jeevan saath ko apna sab kuch maan lete hain aur apni pichhali zindagi ke bare mein bhi usse bata dete hain to aane wale samay mein unki zindagi mein dooriyon ki gunjaaish kam rahti. lekin kaafi log aise bhi hote hain jo pareewar ke dabaav mein aa kar ya kisi anya kaaran se uss shakhs se shaadi nahi kar paate jisse wo pasand karte hai par saath hi kisi aur se shaadi ke baad bhi wo apne iss rishte ko todna nahi chahte jisse unki shaadi shuda zindagi prabaavit hoti hai aur aakhir mein rishton mein dooriya aati hai, infect maine to kaafi aise log bhi dekhe hai jo pahle se shaadi shuda hote hai fir bhi paiseon ke aur mote dahejj ke laalach mein doosrei shaadi karte hai, isse wo na sirf do logon ki zindagi barbaad karte hain balki unke saath apne bachhon ki zindagi ko bhi prabaavit karte hain, aur nateeza rishton mein dooriya....

     ab baat karte hain Film, Television, Internet, Media aur Education ki, iska rishton ke tootne ka kahan tak sambhand hai, mujhe aisa lagta hai ki inn sabse se aaj ka yuwa varg jaagruk hua hai, usse apne adhikaaron ke baare mein aaj pahle se adhik jaankari hai, tabhi wo aaj dukh, aansu, gamm ya kisi mazboori ke saath risthe dhone ke jagah unhe khatm karna behtar samajhta hai, TV, Internet ityaadi se unhe tamaam celebrities ke baare mein jaankariya milti hai ki aaj falaa celebrity ki shaadi ho gayi aur falaa ki uske jeevan saath se nahi bani aur aakhir donon alag ho gaye, jab ye khabre aam log padte ya dekhte hain to unhe lagta hai ki jab ye log aisa kar sakte hai jinhe wo apna aadarsh maante hai to wo khud bhi kyon kisi ke atyaachar sahe, kyon wo kisi anchaahe rishte ka bojh thote rahe, isse achha to unhe aise rishte ko apnee zindagi se humesha ke liye jad se ukhaad kar door faikna jyada achha lagta hai,

     afsoos iss baat ka hai ki rishto ke tootne aur bikhraawo ki wazah se humari netikta bhi bang ho rahi hai, shaadiyon ke tootne se na sirf netikta ka patan ho raha hai  balki kai tarh ke apraadh bhi bad rahe hain, agar hume inn apraadhon aur netikta ke patan ko rokna hai to rishton ke tootne se hume unhe bachaana hoga,  iske saath hi shaadi humare dharm aur aashta se  bhi sambandh rakhti hai, apne dharm aur aastha ke liye hume rishton ke patan ko rokna hoga.

     ab log humse puchenge ki aakhir kaise rishton ke tootne se unhe bachaaya jaaye, to iske jawab to maine pahle hi uppar likh diya hai, chaliye ek baar aur theek se yaha hum sabko bata dete hai, yadi hum sadev ek doosre ki bhaavnao ko samman de, ek doosre ki baat ko samjhe,  ek doosre ki samashyaon ko samjhe, sirf apne swaarth ke liye balki doosre ki khushi ke baare mein bhi kuch soche, doosre ko bhi itnaa hi mehatva de jitna khud ko dete hain, khud ko ek doosre ka maalik nahi balki aisa dost samjhe jo jindagi ke aakhir tak humara saath dega, humara jeevan saathi  bhale humari kalpna jaisa na ho par wo jaisa bhi ho usse ishwar ka marzi aur unka aashirwaad maan kar apnaye, uske baahari aakarshan aur bhotik saamagri ko dhyaan mein rakh kar nhi balki uske dil ko dekh kar apnaye, apni aakanshayon aur ichhao par kaabu rakhe, sada jeevan saathi ke prati bafadaar rahe, agar lagta hai ki kahi humara ateet humare aaj ko na prabavit kare to aise mein apne ateet ki sabhi baate apne jeevan saathi se jarur kahe aur iske saath hi jeevan saathi ko chahiye ki uske ateet ki galtiyon ko bhula kar wo apna aaj aur bhavishya dekhe, mujhe lagta hai agar log aisa karte hai to kaafi had tak hum rishton ke toote jaane se unhe rok sakte hain, rishta pyaar, vishwaash, samman aur ek doosre ke prati nihswaarth bhaavna par tika hona chahiye, inme kabhi avishwaas, swaarth, asamman aur ek doosre ki bhavnao ke prati anaadar nahi aana chahiye kyon ki ye kaaran hote hain rishton ke tootne aur bikhrao ke...

--

Thanks and Regards
 *****Archana*****

No comments:

Post a Comment