Saturday 1 December 2012

Kaliyug mein prithvi par Ishwar Bhraman...(Short Story)

                                           "A Story”

ghor kaliyug ki baat h, ek raat bhagwan dharti pe bhesh badal k aaye, wo dharti pe dharti wasiyo ka ek dusre k prati prem dekhne aaye, unhone prithvi ka kona kona dekh dalaa par unhe kahi prem dikhai kahi na diya, unhone apne sahyogi Naarad Muni se kaha jis prem ko dekhne mai prithvi pe aaya hu wo to muje nazar kahi nahi aaya, har taraf dikhai padi h bas maya, swaarth k jaal me fasaa h maanav, dokhe ko bna liya h usne apna dharm, har taraf felli prem k naam par hahakaar h, har taraf bhrashtachar h, har taraf dhokhe aur atyaachar h, aansuo k saagar behte beshumar h, kya kaliyug me maanav ka maanav k prati ye hi pyar h, har taraf fella hai vishwaasghat, bhale log rote hain din raat, na koi dekhta aur na samjhta hai unki baat, atyaachariyon k aage jhuki hai duniya saari, koi na to unka virodh karta hai aur na saahas se saamna, jhoot fareb ki har taraf felli hui hai beemari, aaj q nhi yaha radha, meera, rukmani, parwati jaisi prem ki pratimoorti, kaise hogi unki kaliyug mei chhatipurti, Naarad Ji ne haath jod kar unse kaha: Prabhu aap to savrgyaata hai, aap to jaante hi hai ki ye aapka yug nahi apitu kaliyug hai jiska arth hi hai “Kaala Yug,” arthaat jahan buraiyon ka sadaa hi bol waala hoga, achhai ko burai sada perron tale rondegi wahi hoga kaala yu arthaat Kaliyug jo ye hai, aur prabhu rahi baat prem ki pratimoorati ki to jab tak aapke sthaan pe logon k hriday me Raavan aur Kans jaiso ka raaj rahega tab tak kaliyug me prem ka yahi haal rahega, radha, sita, meera jaisi baalaye tab tak na dikhengi jb tak logon k dilon se na raavan aur kans ka tyaag hoga, sun kar Narad Muni ki baat prbhu gehri chinta me dube aur fir antardhan ho gaye.. shayad iss yug ka kya hoga ye hi unhone socha hoga aur tabhi wo bhi isse bhagwaan bharose hi chhod kar chale gaye…"

No comments:

Post a Comment