Sunday 9 December 2012

na chaah thi mujhe sone chandi ki....

na chaah  thi mujhe sone chandi ki, na chaah thi mujhe kisi afsaane ki, chaah thi to bas ye hi ek kisi ka pyaar paane ki, shaayad kismat se maine kuch jyaada hi mang liya, jo wo de na saki pyaar apno ka,usse maine gerron se paane ki khwaaish ko bata diya, kismat se mujhe kabhi mil na saka pyaar kisi ka, jo bhi mujhe mila sirf ashko k siwa na  usne kuch diya,maine to bas pyar manga tha par usne gam aur tanhai k siwa kuch na diya, na mil saka pyar mujhe kabhi kisi k chahe raha ho wo  apno ka ya fir gerron ka, nahi thi koi aur tamanna meri zindagi ki, afsos maine tochaahat ki thi bas ek sachhi mohabbat ki, na chaah ki thi sone chaandi
ki, khata itni humse hui ki jo likha nahi uss rab ne taqdir-e-zindagi
mein meri bas chaahat ki usse paane ki,chaah ki thi bas pyaar paane ki......

No comments:

Post a Comment