Wednesday 29 April 2015

wah ri duniya wah

"Bhai se dost huye dost se dushman, bhula kar saare shikwe ho jaye aaj ek man, kuch dur tum chalo saath kuch badaye ham ye kadam"


"Ek ma ke aanchal tale ham the kabhi pale, ek baap ki ungli thaame kabhi ham the chale, fir huye jaise bade apno ko bhulate chale, jinki  godd mein jannat thi kabhi, unhii ko rota chhod ek gerr ko zindagi samjhne lage"


Wah ri duniya wah

Tuesday 28 April 2015

kuch bhooli bisri yaade

"Kuch bhuli bisri yaade aane lagi, dhoondli ho chuki uski tasvir nazar aane lagi, dilse nikaal baithe the jiski chhawi ko ham, guzri raat ki tarah aaj firwo mere samne aane lagi"

Saturday 25 April 2015

duniya ne thukraya mujhko.....

"Duniya ne thukraya mujhko kisine na apnaya hai, har taraf bikhra mere dard ka hi saya hai, roti hai aankhe meri, bheegti hain pal-pal palke ye meri, aati hai aawaz sisakti hui in dhadkno se, duniya ko pyaar lutaa kar aakhir Maine kya paya hai, khushi ki hasrat thi bas yaha apno se, par ye gam aur akelapan hi naseeb mein mere aaya hai"

meri shayri

"Na toofano se haare hain, na bhookampo mein mare hain, kya kahe ab to ham bas apni is bimari se hare hain"


"Kisiko dil me basa kar to dekho,
Kisike dil me bas kar to dekho,
Dhadkano se ayegi awaz unkihi,
Kisiko saanso me sama kar to dekho"

Friday 24 April 2015

ishwar vaani-73(hamare mata-pita)

Ishwar kahte hain "pratyek prani ke teen mata evam teen pita hain, ek WO bhautik mata-pita Jo is bhautik shareer ko janm dete hain, dooji prithvi mata jo samast praniyo ko na sirf janm deti hai apitu unka palan-poshan karti hai aur pita hai surya dev jinki garmi aur taap ke dwara samast prani ko na sirf janm milta hai apitu prani maatra ka palan poahan hota hai, unki garmi dhoop evam chhaaw se samast jeev jantuon ka vikaas hota hai, fir wo  mata pita hain jo samast jeev aatma ko janm dete hain yani ki main, main prani matra ke karmo anusaar uski aatma ko bhautik  roop pradan kar ek naya jivan deta hoon"

Thursday 23 April 2015

ishwar vaani-72(ishwar ke bhautik swaroop ka arth)

Ishwar kahte hain "main hi desh/kaal/parishtithiyo ke anuroop hi apne bhautik swaroop mein aata hu, main kabhi ishwar ka putra kahlata hu to kabhi palan haar jagat ka, kabhi koi mujhe farishta bulata hai to kabhi praniyo ka janmdata to kabhi sanharak",



Ishwar kahte hai "mere bar roop mein aane ka vishesh uddeshya hai, main apne bhautik roop mein aa kar anek baate manav jaati se kahta hu taki WO shresht manav ban sake, jis prakaar main ishwar ka putra ban kar dhara par aaya aur for suli par chad kar meri mrityu hui, aaj log sirf in baato ko padte hai sunte hai lekin is balidaan ka arth nahi samajhte, WO nahi samajhte hame kisi burai me khilaaf nahi jhukna chahiye, har pal apne aaradhya ko yaad karna chahiye fir chahe maut hi samne kyon na ho, desh aur duniya ki bhalai ke liye apni sabse keemti cheez chahe hamari santaan hi kyon na ho balidan dene se parhez nahi karna chahiye",

Ishwar kahte hain "kabhi main makhan churata hu to kabhi van-van bhatkta hu, log kahte hain yadi main ishwar tha to chori kyon karta aur van-van kyon bhatkta, par log iska arth nahi jante, chor main isliye bana taki jagat ko ye sandesh de saku adhik dhan-sampada sanrakshit karne ka kya fayda aakhir ek din ye khatm ho hi jayegi, ye chori ho kar kisi aur ki tizori sazayegi, isliye Jo dhan tere paas hai jarurat me mutabik rakh baki un jarooratmando ko de jinhe iski jarurat tujhse jyada hai,"

Ishwar kahte hain "main van-van bhatka anek peeda sahi, Maine bas ye hi sandesh diya bado ki aagya pure samman ke saath mano fir chahe sekdo dukh hi kyon na Mile rah mein, ishke saath hi ye sandesh diya ki bhautik roop mein aa kar jab mujhe hi dukho ka samna karna pada to pranimaatra isse kaise Bach sakta hai kintu dukh aur sukh dono hi asthaayi hai isliye chhobh na kar aur apne kartavyo ka nirantar nurwaah kar aur apne aaradhya ko yaad kar"










bas tu nahi hai

"Sab kuch hai paas mere bas tu nahi hai,
Duniya hai saath mere bas tu nahi hai,
JAL rahi hai meri ye zindagi teri hi judai mein,
Is jalanse bachane wala yaha bas tu nahi hai

mujhe yaad hai-ek aah

"Tere sang guzari WO raat bhi mujhe yaad hai,
Tere sang kahi WO har baat bhi mujhe yaad hai,

Tera mere yu Karib aana, mere dilko yu dhadkana,
Karib aa kar tera muskurana muskura kar dil churana

Teri har adaa Teri WO wafa bhi yaad hai mujhe,
Teri ankho me apni hi surat dekhna bhi yadhai mujhe

Hai dilme kitni mohabbat mujhse tujhse puchhna,
Tera sharma kar nazre jhukana lajakar yu tera jana,

Tere sang kiya had wo waada bhi mujhe yaad hai,
Tera dil ye mera todne ka WO irada bhi mujhe yad hai

Tere sang guzari har WO shaam bhi mujhe yaad hai,
Tere sang dekhe WO khwaab bhi mujhe yaad hai,

Tera dil tod ke jana, umar bhar ka gam muje de Jana,
ah nikakti dard bhare dilse mere aur tera dilse khelna,

Tera diya WO haath aaj bhi mujhe yaad hai,
Tujhse choota tera saath bhi mujhe yaad hai,

Tere sang guzari WO raat bhi mujhe yaad hai,
There sang kahi har baat bhi mujhe yaad hai..-2

ishwar vaani-prani kalyaan-71

Ishwar kahte hain "sadiyo arthaat shrishti aur prani uthhan ke samay se prachlit yug prathanusaar satyug mein prithvi par Devi-Devta hua karte the Jo treta/dwaapar/kaliyug aate aate vikaaryukt manav mein tabdil ho Gaye,"

Ishwar kahte hain "aisa nahi hai manav us yug mein aaj ke saman dikhta tha, yadi aaj tab jaisa koi manav dikh jaye to log use paargrahi (alien) samjhenge, us yug mein (satyug) mein manav aur pashu-pakshi mein aaj ki bhaati bhed nahi tha, na koi hinsa air na hi kisi ke prati berr bhaaw the, sabhi prani mil jul kar ek saath braatatwa bhaaw se raha karte the, kintu samay me chakra ke karan jalwaayu parwartan hua aur manav tatha anya jeevo mein na sirf sharirik pariwartan aaya apitu bodhhikta mein bhi pariwartan aaya, ek samay jahan har praani lagbhag ek jaisa dikhta tha, ek jaise vichaar aur sadachaar ek doosre ke prati samanta aur samman ki bhawna rakhta tha jalwaayu pariwartan ke kaaran huye bodhhik aur sharirik pariwartan ke kaaran in me badlaaw hone laga",


Ishwar kahte hain "aadi kaal yani satyug ke prarambhik charan mein jab jeevo mein kisi bhi tarah ka koi bhed-bhaaw evam kuriti nahi thi, tabhi us samay koi ishwar ki aaradhna nahi karta tha,sable hriday khud itne paawan the ki ishwar khud in me niwaas karta tha, kintu samay ke saath na sirf sharirik aur bodhhik pariwartan jeevo mein aaya iske saath swaarth/kspat/jhooth/kaam/krodh/lobh/moh/ahankaar jaisi vukratiya utpann hone lagi, iske saath hriday mein rahne wale ishwar ki avhelna kar burai ka maarg log apnanane lage, ishwariye satta ko chunoti dene lage",


Ishwar kahte hain "jab-jab maanav ne mere astitwa ko chunoti di Maine vibhinn bhotik roop dharan kar unhe apne wazood ahsaas karaya hai, jab-jab nari shakti ko chunoti di gayi main nari roop mein aaya, dharn ki rakshta hetu ram roop mein aaya, manav dharm ki shiksha aur prani kalyaan hetu desh/kaal/paristithyon anuroop is dharti par aaya, aur jis nirakar roop se Maine yaha janm liya using mein hi uddeshya poorti ke baad sama gaya, jaise har praani ki aatma sama jaati hai mujhme mujhse hi nikalkar",


Ishwar kahte hain "satyug mein pashu-pakahi ka koi bhed nahi tha, aaj ka manav un vilupt praaye jivo ki den hai Jo aajse karodo varsh poorva gayab aajke manav samajhte hain, Ramayana kaal yani ki treta yug aur dwaapar yug iske shreshth udaahran hain jaha vaanar/reechh jaise pashu manav jaise hi raja hua karte the kintu kaliyug mein aate aate na sirf prani prani mein bhed hua apitu na jaane kitne hi roopo mein khud ko manav samajhne wala jiv vughatit hua,"

Ishwar kahte hai "yadi samaj mein satyug jaisi shanti aur sampannta jivatma chahte hain aur shrashti ko sarakshit karna chahte hai to aadi kaal jaisi bina kisi bhi jeev-aatma ke bhed-bhaaw wali dharma tyaag sabko saman samman aur prem dena hoga tabhi samast prani jaati ka kalyaan hoga"






















Monday 20 April 2015

ek kahani(meri kalpna)

"Maine unhe pahli baar TV pe ek cricket match ke dauraan dekha tha, ek darshak ne jab unhe paani ki bottle faink ke mari aur usse bachne ka unka andaaz mera to dil hi chura le gaya tha, pahli baar kishoravastha ke Madhya me aa kar maine prem ki is bhaawna ko firse mehsoos kiya tha, unki umar bhale mujhe us waqt unki umar dogni thi par kahte hai na prem mein koi diwaar mayne nahi rakhti chahe umar ki hi kyon na ho,

Unhe dilme mein basa bina mulakat ke Bas dilme ek hasrat unse milkar unhe ye batane ki ham unse kitna pyaar karte hain, har pal aur har lamha unhi ki khushi chahte hain bas jine lage, WO intezaar ka pal, WO ek tarfa pyaar ka pal, WO khwaab aur kalpanao ka pal behad hasin tha, shayad hi aisa hasin aur khushnuma pal unke baad zindagi mein mujhe mila ho,

Wakt ke saath jab maine auron ko dekha unke saathi ke saath, dilme hamare bhi dheere dheere unhi ki tarah hi prabal hone lagi, dil ab kalpnaao se pare us ek tarfa pyaar ki jagah us do tarfa pyaar ko dhoondne laga, han dilme tashvir jaroor us shakhs ki thi Jo dilme ektarfa pyaar ke kaaran abhi bhi man mein baitha tha,

Wakt ke saath dono taraf ka izhaar hone laga, mere liye bhi kisi ka dil dhakne laga, pahli mili nazre fir dil Milne laga, sapna Jo adhoora tha sach wo lagne laga, ye dotarfa pyaar us ektarfa prem se bhi suhana lagne laga,

Par nasib mein kya tha likha na malum tha, is dotrfa prem mein fareb ka hi kanoon tha, dikha kar jhoothe khwaab ek din chala gaya WO kisi aur ke saath, par dilne fir kisi ko panah di, shayad pyaar karne ki kismat ne mujhe ye saza di, dil ko tod kar dur Jane lage log, dekh peeche mud kar fir muskra dil dukhane lage log,

Wakt ke saath mujhe us ek tarfa pyaar ki yaad mujhe aayi, dil kahne laga WO ek tarfa pyaar WO khwaab wo kalpnaao bhara jivan hi hamare liye hasin tha, na bewafai thi aur na hi dil ye mera yu gamgin tha, bahut wakt laga mujhe ye samajhne mein, bahut wakt laga mujhe ye jaanne mein, mere liye siwaaye ek saathi Chuna hai us ishwar ne, Jo na to bewafa hai na farebi hai, jisne kishoravastha se le kar aaj tak saath mera diya hai aur aage bhi mera haath thaam kar saath mera dena chahta hai WO hai mera ek tarfa pyaar meri kalpna"






mujhe pyaar hua

Hua hua han hua mujhe pyaar hua, Kaise hua kahan hua han pyaar hua, hua hua han mujhe pyaar hua,


Jane kaise han kaise tumpe aitbaar hua, jane kab mera dil bekarar hua, hua hua han hua mujhe paar hua,


Ji rahi thi main bin tumhare, chal rahi thi akele bina sahare, par na thi is zindagi mein koi bahare,

Ooo Ji rahi thi main bin tumhare, chal rahi thi akele bina sahare, par na thi is zindagi mein koi bahare,


Mile Jo tum mujhe dekhe ye nazare, mile Jo tum mujhe dil mein khili bahare,


Jine lagi hoon tumhare sahare, dekhne lagi hoon ye dilkash nazare, jaane kaise ye kab hua,

Hua hua han mujhe pyaar hua,kaise hua han kahan hua mujhe pyaar hua,

Pahle thi zindagi banzar zamin jaisi, tarasti thi bas do boond mohabbat bhari nazaro ki aisi, jaane kaise dil ye  tumse mila,

Hua hua han hua mujhe pyaar hua, kaise hua kahan hua han kahan hua mujhe pyaar hua,-4








Sunday 19 April 2015

ishwar vaani- manav aur pashuo ke vanshaj ek hi hain-70

Ishwar kahte hain "dharti par prani ki utpatti karodo saal janme un jivon se hui hai jise duniya aur tamam vegyanik vilupt praaye prani mante hain,"


Ishwar kahte hain "vartmaan samay ke samast praniyo ki utpatti ka aadhar wahi prani hai,

Sadiyo se prachlit yug pratha jisme satyug ko shreshth mana jaata hai, kaha jaata hai us samay ko devi devtao ka yug kahte hai, kyonki us samay paap nahi tha, sabki paawan budhhi thi,"
Ishwar kahte hain "us yug mein maanav aur anya praani is tarah nahi dikhte the, unke vichaar aur soch bhi aaj ki bhaati nahi thi, isliye kahi koi puja aur aaradhna nahi hoti thi, koi mandir aadi nahi the, iski wazah yahi hai us samay maanav aur anya jiv us avashtha mein the jaha manushya aur pashu-pakahi ka bhed samapt ho jata hai, par dheere dheere jalwaayu pariwartan ke kaaran praniyo ke sharirik aakar mein pariwartan aaya soch mein pariwartan aaya jiske kaaran prani-prani ki soch mein badlaaw aaya aur wait ke saath unke khan-paan ke pariwartan ke saath jivo mein aapas mein bhed-bhaaw aane laga, WO hi bhed bhaaw pahle pashu aur manushya me roop mein viksit hua fir jaati me aadhar par, shetra me aadhar par, dharm me aadhar par, aur aaj is kaliyug mein jaane kitne hi roopo mein fell chuka hai"

Ishwar kahte hai "kuch dharmik manytaao wale log pashuo ke andar aatma na hona kahte hai to kuch kahte hai manushya aatma alag hai aur pashu aatma alag, manushya aatma manushya roop mein hi janm leti hai aur pashu aatma pashu, kintu wo ye nagu jante manav aur pashuo ke janm data WO jeev ek hi gain bas wakt ke saath shaaririk aur mansik pariwartan hi hua hai, aapas mein manav aur pashu bhai bhai hi hain"







ishwar vaani- aatma aur parmatma ka satya-69

Ishwar kahte hain"main nirakar hu, sarvaswa hu, sarvyapi hu, tum sab praniyon mein mera hi ek ansh aatma roop mein virajit hai,

Khud ko vidvwaan kahne ishwar ki apne andar samahit  kar apni abhivyakti vidwaan ban kar logon ko bhramit karne wale mujhe ling mein baandh dete hai aatma ko bhi meri tarah hi long mein baandh dete hain,

Kintu sach to ye hai mera aur kisi bhi jivaatma ka koi ling nahi hai, na main stree hu na purush, aatma bhi na purush hai na stree,

Kintu jis prakaar bhakt ki shradhhanusaar main bhi ma athwa pita banta hu, waise hi jiv aatma bhi jis shareer mein pravesh karti hai wohi ban jaati hai,

Aatma ka apna koi roop nahi hai, stree-purush, jiv-jantu ityaadi, apne karmo anusaar aatma janm leti hai,

Yehi aatma aur parmatma ka satya swaroop hai" 

ishwar vaani- anda aaya ya murgi, param satya-68

Manushya ke hriday mein sadiyo se ye sawal aksar raha hai ki pahle murgi aayi ya anda, aaj ishwar is ati gopniye vishay ki vistrat baate hame batate hain,

Ishwar kahte hain "samst jivo ka aadhar anda hai, arthaat Jo jiv aaj andey se nahi nikalte unke jivan ka aadhar bhi anda hi hai,"

Ishwar kahte hain "jab dharti aur shrishti ka Nirman pura ho gaya tha aur waha jivan panapne wala tha, jivan ki utpatti ke liye aavshyak tha jivan ke panapne laayak mahol banana, aur iske liye nishchit dravya (+liquid) arthaat jal ki aavshyakta hui iske saath hi us JAL ki raksha evam jivan ke kaabil un anek drivyon hetu unhe sarankshit karne ke liye ek thoss vastu ki aavshyakta hui, is thoss vastu me andar JAL(paani) ke saath milkar anek kriyaaye hui, fir taap vridhhi hui jiske kaaran dharti par jivan ka uday hua,"

Ishwar kahte hain "jaise manushya ko janm aaj bhi kewal wohi hi stree de sakti h jiske shareer me andashay aur janm dene hetu paryapt andey ho, ye prakiya na kewal manushya par apitu samast jivon ki utpatti par laagu hota hai, kuch jiv shareer me andar andon ko dharan kar ek nayi zindagi ko duniya me laate h to kuch andey ko pahle apne shareer se bahar nikal jar navjuvan ka uday karte hai, kintu tarika  wahi h, shrushti par jivan ki utpatti ka karan aur tarika bhi wohi hai"





Tuesday 14 April 2015

ishwar vaani-aadhyatm aur bhakti-67

Ishwar kahte hai: "aadhyatm aur bhakti mein bahut bhed hai, aadhyam vyakti ko uske shrashti mein kis uddeshya se hai iska gyaan karata hai, uske kartavyo ka bodh karata hai, aadhyatmik gyaan ko grahan krne wala vyakti shresht manavo ki shredi mein as kar ishwariye kripa ka bhaagi ban prani kalyan mein apna sampurn jivan vyatit kar deta hai, yahi uski sundarta aur prasannta ka karan hota hai,

Kintu bhakti mein aisa nahi hota, bhakti chahe jiski bhi ki jaaye WO ek tarah ka sauda hota hai ishwar se, bhakti mein vyakti kewal apne vishya mein sochta hai, apne liye apni khushi aur uplabdhi  ke liye ishwar se prathna vrat-upwaas aadi karta hai, ishwar uski sunte bhi hai kintu aise vyakti shresht manavo ki shredi mein nahi aate,"

Ishwar aadhyatmik gyaan ke vishya mein batate hai, "yu to desh aur duniya mein aadhyatm ka gyaan dene wale, kaliyug Jane aur satyug aane ka Nara dene wale aise kitne hi sansthaan hai Jo brasht hai," "ishwar batate hai WO koi bhi gyaan kisi bhi jiv ki upeksha ka nahi dete, unki drishti mein pratek jiv unki Santan hai bhala WO apni Santan ka doosri santan se ahit kyon karayenge, kintu aaj ke samay mein aise jhoothe aadhyatmik sansthaan as chuke hai Jo logo ko behka rahe hai," ishwar batate hai"aise kaise pata chale ki WO sansthan galat aur WO sahi hai, pahle to kisi naami-girami sanstha ke paas na jao kyonki wohi sabse adhik bhrasht hain, iske pashchaat Jo vyakti aadhyam ke naam par tumhe dewta banane ka dawa karte hai, kisi bhi jiv, dharti, brahmand ki, ishwar ke kisi bhi roop ki Jo upekshta karte hai wo San farebi hai, aise farebi sansthaano she Bach kar bhale kisi anjane vyakti se shresht aur sahi aadhyatmik gyaan mile lena chahiye aur manav jivan ka sahi arth Jan kar apna aur doosro ka bhala karna chahiye",ishwar kahte hain "main sarvasva, sarvvyapi, sampoorn, sabka hit karne wala, shresht guru, shresht banane wala, shreshtam hu"..








Sunday 12 April 2015

ek ajib si kashmkash mein hu main

Ek ajib si kashmkash mein hu main,
Kitni akeli aur tanha hu main,

Chalna chahti hu sabki tarah hi main,
Jaane kaise har dafa fisal ke gir jati hu main,

Har baar manzil ko nazdik paati hu main,
Fir kyon manzil se bhatak jaati hu main,

Sochti hu is baar sabhal kar badaungi kadam main,
Har Bar kyon wahi galti kar jaati main,

sochti hu ban kar rahungi zamane ke jesi main,
Fir kyon zamane se alag ho jaati hu main,

Jhooth kapat swaarth  inse kitni door hu main,
Shayad tabhi is zahan ke laayak bhi nahi hu main,

Jis jagah jaati hu bas fareb hi paati hu main,
 Us rab ke ghar ko bhi bhrasht paati hu main,

Chhoda nahi logone us rab ko bhi paak,
Dekh ye din-raat ashk bahati hu main,

Bana liya ishwar ko bhi upbhog ki vastu,
Ye hi soch kar har ghadi roti rahti hu main,

Bas issi kashmkash mein hu main,
 shayad tabhi itni akeli aur Tanha hu main

Wednesday 8 April 2015

tu hi mera din h

Tu hi mera din hai tu hi meri raat h, tujhse Judi meri bar baat hai
Mili hai Jo sabse hasin cheez rabse,
 tu hi to wahi saugaat h,
Tu hi mera din hai tu hi meri raat hai,


Hai Jude tujhise hi mere to har zazbaat hain,
Tu hi din hai mera tu hi meri raat hai,
Bhigoya hai jisne prem mein mujhe,
Tu hi to WO barsaat hai,

maine ye khat tere naam likh dala

"Maine ye khat tere naam likh dala, apne zazbaato ka paigaam likh dala, suraj se puchho tum ya chand se kaho tum, maine to hal-ae-dil yaha bayaan yaha kar dala,

Tum apnao mujhe ab ya thukrao fir mujhe, maine to dil ki diwaaro par ek tera hi naam likh dala,
Sur hoon main par saaz tumhe kah dala, andheri raat mein bhi dikhta hai Jo chand WO tumhe kah dala,

Phool hoon jis gamle ka main Kali tumhe kah dala,
Kaata hoon  jis suman ka main WO phool tumhe kah dala, maali hu jis upwan ka khushboo tumhe kah dala, hoon akela kitna is duniya mein, apna hamnasin tumhe kah dala,

Maine ye khat tere naam likh dala-4

Tuesday 7 April 2015

ishwar vaani-66

Ishwar kahte h prateyek vyakti ko apne bure karmo ki saza yaha hi milti h, prani apne pichhle janm k aadhat par hi dukh-sukh paata h, ishwar kahte h halaki burai ye shareer karta h kintu dooze shareer me jab ye aatma janm leti h to pichale janm anuroop dukh-sukh paati h,

Halaki aatma me koi indriyan nai hoti, WO dukh-sukh rona-gana hasna-bolna aadi indriya bhaawo se door hoti h kintu jab WO shareer dharan karti h tab usme ye chhamta hoti ki wo indriyo ko mehsoos kar sake, kintu indriyo k vashibhoot yadi koi prani galat kaarya karta h to uski saza able kai janm take usse milti h, kyonki jab WO bure karm kar raha tha tab uski aatma me uski is pravatti evam uski indriyo ko cash me karne ki chamta usme thi kintu WO asafal rahi unhe vash me krne me jabki usme WO kabiliyat thi,


Yahi kaaran h jo jeev apne karmoki saza ki anek janmo tak bhogta h....

ishwar vaani- 65

Ishwar kahte h ye sampoorn brahmand nashwan h kyonki ye bhautik h, arthat Jo dikhai deta hai, mehsus hota, Jo badalta rahta h Jo chalyeman hota h bhaurtik h aur Jo bhautik h WO nashwan h,

Ishwar kahte h har bhautik vastu jisme sampurn manav jivan bhi aata h us mitti ke bartan k saman ke samaan h jise kumhar banata h, kintu inme koi truti aane par WO inhe nasht kar punah naye bartan banata h, ishwar kahte main sampurn shrashti ka kumhaar hu aur ye sharshti mera bartan, is me jab-jab truti aayegi main isse first mitti kar punah iska nirmaan karunga.

Wednesday 1 April 2015

hai ye aaj khushi ka lamha

Hai ye aaj khushi ka lamha, laakho aur karodo me ptabhu ne mujhe chuna, de kar sewa ka mauka mere nasib chamka diya, karib apne bula kar jeevan bana ye mera diya,

Bhawsagar mein fasi this kashti ye meri, tha andhera chaaro aur, na thi pata manzil mujhe na pata tha rasta, thaam kar haath prabhu ne mera mukhko taar diya oo taar diya,


Bhatak raha tha man ye mera duniya ki maya mein, uljha hua tha jeevan mera bas kaya ki khidmat mein,
Jhoothe rishto ko maan kar apna prabhu ko kabhi na yaad kiya, duniya ke janjaal mein fas kar bad jivan ye barbaad kiya,


Hai dayalu kitna ye ishwar apna, har galti har paap ko isne har pal h maaf kiya, Jami thi Jo dhool sansaar ki mujhme usne khud hi isse saaf kiya,
Apnaya aisa fir na thukraya usne pal-pal mera saath diya,

Hai ye aaj khushi ka lamha, laakho aur karodo me prabhu me mujhe chuna, de kar dewavka msuka mera nasib chamka diya, karib apne la kar jivan ye mera bans diya-4







ji chahta h

1-"dur ho kar bhi tere paas hu main, har pal tere saath hu main, yu na kabhi khud ko akela tum samakhna, apne har aashirwad me tumhare yahi aas-paas hu main "


2-"aaj din-raat  tujhe pyar karne ko ji chahata h, aaj din-raat tujhse baat karne ko Ji chahta h, Jo bitaye h lamhe tere saath ab tak, aaj sab firse ek saath sang tere jeene ko Ji chahta h"