Thursday 23 April 2015

ishwar vaani-72(ishwar ke bhautik swaroop ka arth)

Ishwar kahte hain "main hi desh/kaal/parishtithiyo ke anuroop hi apne bhautik swaroop mein aata hu, main kabhi ishwar ka putra kahlata hu to kabhi palan haar jagat ka, kabhi koi mujhe farishta bulata hai to kabhi praniyo ka janmdata to kabhi sanharak",



Ishwar kahte hai "mere bar roop mein aane ka vishesh uddeshya hai, main apne bhautik roop mein aa kar anek baate manav jaati se kahta hu taki WO shresht manav ban sake, jis prakaar main ishwar ka putra ban kar dhara par aaya aur for suli par chad kar meri mrityu hui, aaj log sirf in baato ko padte hai sunte hai lekin is balidaan ka arth nahi samajhte, WO nahi samajhte hame kisi burai me khilaaf nahi jhukna chahiye, har pal apne aaradhya ko yaad karna chahiye fir chahe maut hi samne kyon na ho, desh aur duniya ki bhalai ke liye apni sabse keemti cheez chahe hamari santaan hi kyon na ho balidan dene se parhez nahi karna chahiye",

Ishwar kahte hain "kabhi main makhan churata hu to kabhi van-van bhatkta hu, log kahte hain yadi main ishwar tha to chori kyon karta aur van-van kyon bhatkta, par log iska arth nahi jante, chor main isliye bana taki jagat ko ye sandesh de saku adhik dhan-sampada sanrakshit karne ka kya fayda aakhir ek din ye khatm ho hi jayegi, ye chori ho kar kisi aur ki tizori sazayegi, isliye Jo dhan tere paas hai jarurat me mutabik rakh baki un jarooratmando ko de jinhe iski jarurat tujhse jyada hai,"

Ishwar kahte hain "main van-van bhatka anek peeda sahi, Maine bas ye hi sandesh diya bado ki aagya pure samman ke saath mano fir chahe sekdo dukh hi kyon na Mile rah mein, ishke saath hi ye sandesh diya ki bhautik roop mein aa kar jab mujhe hi dukho ka samna karna pada to pranimaatra isse kaise Bach sakta hai kintu dukh aur sukh dono hi asthaayi hai isliye chhobh na kar aur apne kartavyo ka nirantar nurwaah kar aur apne aaradhya ko yaad kar"










No comments:

Post a Comment