Sunday 12 April 2015

ek ajib si kashmkash mein hu main

Ek ajib si kashmkash mein hu main,
Kitni akeli aur tanha hu main,

Chalna chahti hu sabki tarah hi main,
Jaane kaise har dafa fisal ke gir jati hu main,

Har baar manzil ko nazdik paati hu main,
Fir kyon manzil se bhatak jaati hu main,

Sochti hu is baar sabhal kar badaungi kadam main,
Har Bar kyon wahi galti kar jaati main,

sochti hu ban kar rahungi zamane ke jesi main,
Fir kyon zamane se alag ho jaati hu main,

Jhooth kapat swaarth  inse kitni door hu main,
Shayad tabhi is zahan ke laayak bhi nahi hu main,

Jis jagah jaati hu bas fareb hi paati hu main,
 Us rab ke ghar ko bhi bhrasht paati hu main,

Chhoda nahi logone us rab ko bhi paak,
Dekh ye din-raat ashk bahati hu main,

Bana liya ishwar ko bhi upbhog ki vastu,
Ye hi soch kar har ghadi roti rahti hu main,

Bas issi kashmkash mein hu main,
 shayad tabhi itni akeli aur Tanha hu main

No comments:

Post a Comment