Tuesday 22 December 2015

do shabd mere britani mitron k liye

"jinhe dushman samjh thukrate rahe,
dhire dhire dilke karib wo aate rahe,
aur jinhe samajh dost gale lagate rahe,
har mauke pe chot wo hame dete rahe''


ye alfaz mere kuch britani dosto k liye h, unke bare me vichar kabi mere achhe nai the par jab se Boss ko mujhe Bharat mein inhi britani logon me se gift diya h, unse dosti hui, mere vichar badal gaye, unse baat karke lagta h jitne heartless ham Hindustani h wo nai h, saath hi apne purane un vicharo par achraj hota h, sachh hi to h bina jaane kisi ko hame koi raaye nai banani chahiye

Thursday 17 December 2015

true story

Ek aadmi apne yuwa bete ke saath bus se kahi ja raha tha, raste mein uska beta Jor jor se chilla kar kahne laga 'pita Ji pita Ji dekhiye ye pedd kaise peechhe ki taraf bhaag rahe hain, ye sadak bhi peeche bhaag rahi hai', wo inhe dekhta khush hota aur taali bajata,

Uski in harkato ko bus ke sabhi yaatri dekh rahe the, unme se ek vyakti us aadmi ke paas aaya aur bola 'ye tumhara beta hai, lagta hai isse mansik bimari hai, kisi achhe mansik chikitsak se iska ilaaj karao na ki yu hass keke iska protsahan mat badao',

Ye sun kar WO vyakti bola, 'bhai sahab mera beta bilkul sahi hai. Par abhi abhi ham dono hospital se hi aa rahe hai, mera beta janmandh tha, jiski aankho ka operation hua aur nayi aankhe usse mili, usne ye sab isse pahle nahi dekha tha , aaj dekha hai isliye khush ho raha Hai aur isse dekh main bhi khush hoon' ,


Moral thing: hame kisi ko thik se jaane koi rai nai banani chahiye.

Wednesday 16 December 2015

jaati aur aarakshan-ek lekh

Bharat ke aazad huye lagbhag 70 saal pure hone ko hai, par desh abhi bhi chhuachhut jaisi samajik vikritiyo se ubar nahi paya hai, aaj bhi khud ko uchh jaati ka samajhne wale log unhe nimn drishti se dekhte hai, iske saath hi aazadi ke samay se chale aa rahe aarakshan ke kaaran bhi uchh jaati ke log unhe heye drishti se dekhte hai, unhe lagta hai isse unka shoshan ho raha hai,

Samaj ki jaati vaadi vikriti ko samapt karne ka upaaye aarakshan nahi hai apitu uchh jaatiyo ka shoshan hai Jo ek loktantrik desh mein nahi hona chahiye, Jo desh sabko samaan adhikar dene ki baat karta hai wahi aarakshan iski dogli neeti ko ujagar karta hai, iske saath hi uchh jaati aur nimn jaati ki khai ko aur bhi gehra karta hai,

Is jaati vaadi pratha ko khatm krna hai to pahle jaati vaadi aarakshan hatey uske sthaan par aarthik aadhar par aarakshan mile, iske saath hi logo ko shikshit kiya jaaye, prachin karm pradhan samaj ki jaankari logo tak pahuchai jaaye, antarjatiye vivah ko protsahan evam sarkari sahayta muhaiya karai jaaye,

Jo log nimn jaatiyo ke kaaryo ke kaaran ghrina karte hai,unhe gharo mein nahi pravesh dete mandir mein nahi dete, mera sawal hai WO log kya apni apne ghar ki saaf safai nahi karte, shouch ja ke haath khud nahi saaf karte, jab apna karke WO Pandit mahan hai to jo apne saath saath samaj ki saaf safai karte hai WO nimn kaise? Apitu WO sabse mahan aur uchh huye jo apne saath samaj ko bhi saath le kar chale,

Main khud uchh Brahman jaati se hoon par jaati dharm ke vishay mein kewal kahne ke liye ya updesh dene ke liye ye lekh nahi likha hai maine, kai safai karmiyo se meri dosti rahi hai, khaan paan hua hai. Par Mere kayi jaanne wale uchh jaati ke mitra aur mere ghar ke khud kahte hai ki jaati dharm mein WO bhed nahi karte par sachhai ek dam vipreet hai,  saaf hai log kahte kuch aur mann mein unke kuch hota hai

Sach to ye hai Sarkar ko sakhtai se prachin karm pradhan samaj ki parampara ko laagu karna chahiye, yu aarakshan pratha se kewal manav ki manav se duri badegi na ki kupratha hategi saath hi ek varg ka shoshan hoga, iske liye shiksha aur antarjatiye vivah mahatvpurn yogdaan de sakte hai, atah unhe protsahit kiya jaaye evam adhik se adhik shiksha ka prachaar prasaar kiya jaaye, saath hi nimn jaati ke logon se anurodh hai mera ki WO Sarkar se aarakshan ki mang na kar samanta ki mang kare, jaati-dharm evam upjaati ke sthaan par ek hi naam lagi Bhartiye, agar ham aisa karne mein safal huye to ye sachha uphar hoga hamare purvaj aur Bharat Mata ko hamari taraf se...

Jai hind



Thanks &Regards
   Macks Archu



Sunday 13 December 2015

maar do ma mujhe.................

Aadhunik samaj mein ek ajanmi bachhi ka dard

"Maar do ma mujhe, main nahi duniya mein aana chahati,
Gero ki kya kahu apno ke bhed-bhaaw nahi sahna chahati,
Maar do ma mujhe..............

Main nahi dekhna chahti naaritva ko har din yu lutte huye,
Main nahi dekhna chahati stritva ko ghutke yu marte huye,
Maar do ma mujhe..............

Teri bebasi main dekh rahi hoon, ghar ki garibi bhi dekh rahi hoon,
Tujhe chinta hogi mujhe padane ki, tujhe chinta hogi dahej jutane ki,
Maar do ma mujhe..............

Tere dil ka bojh ban main nahi iss dhara par ab aana chahati,
Mat-pita ki dohari ye prem reet main nahi ab sahna chahati,
Maar do ma mujhe..............

Dansh umar bhar beti ka main nahi aur ab sahna chahati,
Ghar bahar har jagah barabari ka ek adhikar hi main chahati,
Maar do ma mujhe..............

Jo de na sake adhikar samaan samman ka, 
aise samaj mein fir main nahi aana chahati,
Maar do ma mujhe..............

Kya hoga jo ek din naari nahi duniya mein kahi dikh payegi,
Vilupt ho chuke jeevon mein uski gadna bhi yaha ki jayegi,
Maar do ma mujhe..............

Shayad tab samjh aane lage jag ko naari ki ye ahmiyat,
Badal jaaye sabka nazariya shayad badal jaaye niyat,
Maar do ma mujhe..............

Tab tak main nahi fir ab janm yaha lena hoon chahati,
Apmanit hoti naari, begunahi ki saza nahi pana chahati,
Maar do ma mujhe, main nahi duniya mein aana chahati"

Friday 11 December 2015

ishwar vaani-114, nakshtron ka aakar

Ishwar kahte hain: "is pure brahmand mein sabhi grah nakshatra gol hain, iska abhipraye hai shoonya, is shrashti ki shuruaat hi us shoonya se hui, shoonya arthaat kuch nahi,

Is kuch nahi se hi sampurn brahmand ka nirmaan hua, aur uska praman dene hetu hi maine inka aakar bhi shoonya rakha, mera apna aakar aur prakar bhi shoonya hai in graho ki tarah arthaat kuch nahi, par kuch na ho kar poorn sampoorn jaise ye grah shoonya ho kar bhi sampoorn hai,

Aatma ka aakar bhi yahi hai shoonya arthaat kuch nai aur ishwar ke lok ka bhi yahi hai shoonya aakar arthaat kuch na ho kar bhi sampoorn, shoonya ek aisi kriya hai Jo baar dohrati hai jaise koi gola banao aur usme bhaago, tum jaha se shuru karoge wahi aa jaoge par koi shira na paoge,


Waise hi brahmand ki utpatti ki kriya hai, jeev aatmao ki kriya hai, jo nasht hoti fir banti fir nasht fir banti, aisa ananat kaal se ho raha hai aur hota rahega, aur grah nakshtra apne aakar se iska ullekh karte rahenge"

ishwar vaani-113, aatma aur shareer ka rishta

Ishwar kahte hain: "yadhapi aatma shareer ke bina adhuri aur shareer aatma bina apurn hai, fir bhi aatma ko ek nishchit samay ke baad shareer tyaag naye shareer mein pravesh karna padta hai kaaran: jis shareer mein rah kar uske pichhale karm anusaar is janm mein rah kar karm karne ka avsar usse diya iske upraant usse ab agla janm le kar athwa naya shareer le kar apne uddeshyon ki purti karni hoti hai,

Hey manushyo tum Jaan lo ki tum yaha pahli baar nahi aaye ho, tum jab se ho jab se maine praani jaati ki utpatti ki, tumne maanav se phle kitne hi roop dharan kare isse phle aur aakhir tumhe manav jeevan prapt hua, taki tum satkarm kar moksh ki prapti Karo, ye manav jivan karodo varsho mein hi kisi aatma ko milta hai taki wo aatma moksh pa sake, kintu iska anuchit upyog tumhe hi janm janmo ke is jaal mein ujhata rahega aur tum dukh ke bhaagi banoge"

Tuesday 8 December 2015

Bharat ki baala

"Main Bharat ki baala hoon,
Shaktihin nahi balshala hoon,
Mat kahna mujhe ab tum abla,
Ban chuki ab main sabla hoon,

Main Bharat ki baala hoon,
Gyaan ki paathshala hoon,
Mat samjhna agyani mujhe,
Ved--paath ki jwaala hoon,"

Sunday 6 December 2015

mit raha aaj insaan hai

"Dharm ke naam par mit raha aaj insaan hai,
Fela kar dehsat har taraf bik raha insaan hai,
Khatm ho gayi manavta kho chuki insaniyat,
Adharm ki ye ibaadat likh raha aaj insaan hai,

Bebas aur mazlumo ko maar raha aaj insaan hai,
Baha lahu nirdosho ka kya fitrat uski mahan hai,
Nahi sunta cheekh pukar mazlumo ki ye cheetkar,
Apne swaarth ke liye bana raha jag shamshan hai,

Baat chuki usne dharti saari baat raha aasmaan hai,
Baat diya insaan ko usne ab baat raha bhagwaan hai,
Hindu-muslim karte karte dekho ham aaj bhi ladate,
Nafrat ki is aagse nit roz ban rahe Bharat-Pakistan hai-2"

Bharat ko jaati dharm k naam se baatne walo k naam meri chand lines:

Bharat ko jaati dharm k naam se baatne walo k naam meri chand lines:
'sabse pahle main insaan hoon, Hindustan ki main shaan hoon,
na puchhna tum jati dharm mera,
is dharaa ka main samman hoon..'

Saturday 5 December 2015

bhartiye samaj me nari ki sthiti-ek lekh

"Maine Amar Ujala akhbar me ek lekh pada tha jisme likha tha logo ki dharna h: gaaye abhagi ki marti h aur patni aur beti saubhagyashali ki, maine bhi apni ma ke muh se suna hai beti bhagyashali ki marti h,

Kitni vichtra vidamna h stree ki samaj me ek pashu se bhi doyam atithi h, aur dukh is baat ka bhi h aisi stithi me naari ko dhakelne me nari ka hi purush jitna yogdan h, tabhi to vivah ke naam uska daan uaki daas pratha ko darshata h, vivah stree purush dono ka hota h fir stree ka daan kyon?? Kya wah nirjiv vastu ya pashu h jiska daan hua aur pati uska swaami, issi pratha ne naari ko pashu se bhi neeche pahucha diya,

Haal hi me TV pe dekha ek ladki ne shani ki puja kya karli utpaat ho gya, waha ki lok parampra tut gyi, lok patampara bnai purush aur kuch naari virodhi istreeyo ne , WO b us samay jab nari aur b dabi kuchli avastha me thi, aaj thoda sa samay badla aur nari ne waha puja karli to parampra tutne ka dram logo ne kar diya,

Kul mila ka sakte h Bharat abhi bhi dharm k naam par naari virodhi parampara par chal raha h, isme badlaaw ham aur aap aaj ki peedi kar sakti h tabi aane wali peedi ko ham shresh Bharat de paynge"



Macks Archu(Archana)

Thursday 3 December 2015

Ham Bharat ki naari hai,

"Ham Bharat ki naari hai, sushilaa aur shishtaachaari hai,

Mat karna ab shoshan hamara, ham duniya par vaari hai,

Nahi sahenge aur anachaar,har atyaachar tumhi par bhaari hai,

Bahut sah liya hamne dard, ab doyam ki tumhari baari hai,

Karte hai bhed-bhaaw mat-pita Jo, unse ye maang hamari hai,

Karta nahi bhed ishwar, fir kyon unhone betiya mari hai,

Jab aadhi dhara par raaj hamara, fir kyon nahi jivan ki adhikari hai,

Ham naari hai to hua kya, nahi asadhya koi beemari hai,

Fir kyon hamein janne mein tumhe ye kaisi laachari hai,

Adhikar do beton jaisa bas ismein hi tumhari aabhari hai,

Nahi kewal ek nari, beti bahan bahu aur ham hi maahtari hai,

Ham durga aur Kali hai, sachhe samaan adhikar ka abhiyan ye jaari hai,

Le kar rahenge har adhikar apna, ham na kisi se haari hai,

Nibhaynge har farz bhi apna, ham bhi bitiya tumhari pyaari hai,


Ham Bharat ki naari hai, sushilaa aur shishtaachaari hai,

Mat karna ab shoshan hamara, ham duniya par vaari hai-2"



insaniat kho gayi hai-kavita

"Aaj fir hridaye mein peeda ki ye tees hai aayi,
Daal roti sang pankh laga ye mehgai chali aayi,

Thanda pad gaya ye dekho choolha gareeb ka,
Din-raat mehnat wale ne do wakt ki roti na payi,

Tod kar rakh di kamar janta-ae-aam ki ye jisne,
Matakti huyi mehgai ye dekh kaise fir chali aayi,

Ro rahi aaj maanavata khush ho rahaa hai ye neta,
Khud khata shahi panir janta ne sukhi roti na payi, 

Ye chakh rahe swaad chhappan bhog ka yaha to,
Janta ko daal pyaaj aur ye rukhi roti bhi na milpayi,

Koi pa kar shresht pad duniya daure yaha karta hai,
Marta hai kisan roz maut manvta ki yaha hai ho gayi ,

Dekh nazara Bharat ka sara Archu ki ankh hai ro rahi ,
Badal jaati Surat magar insaniat kahi ab hai kho gayi-2"