Wednesday 16 December 2015

jaati aur aarakshan-ek lekh

Bharat ke aazad huye lagbhag 70 saal pure hone ko hai, par desh abhi bhi chhuachhut jaisi samajik vikritiyo se ubar nahi paya hai, aaj bhi khud ko uchh jaati ka samajhne wale log unhe nimn drishti se dekhte hai, iske saath hi aazadi ke samay se chale aa rahe aarakshan ke kaaran bhi uchh jaati ke log unhe heye drishti se dekhte hai, unhe lagta hai isse unka shoshan ho raha hai,

Samaj ki jaati vaadi vikriti ko samapt karne ka upaaye aarakshan nahi hai apitu uchh jaatiyo ka shoshan hai Jo ek loktantrik desh mein nahi hona chahiye, Jo desh sabko samaan adhikar dene ki baat karta hai wahi aarakshan iski dogli neeti ko ujagar karta hai, iske saath hi uchh jaati aur nimn jaati ki khai ko aur bhi gehra karta hai,

Is jaati vaadi pratha ko khatm krna hai to pahle jaati vaadi aarakshan hatey uske sthaan par aarthik aadhar par aarakshan mile, iske saath hi logo ko shikshit kiya jaaye, prachin karm pradhan samaj ki jaankari logo tak pahuchai jaaye, antarjatiye vivah ko protsahan evam sarkari sahayta muhaiya karai jaaye,

Jo log nimn jaatiyo ke kaaryo ke kaaran ghrina karte hai,unhe gharo mein nahi pravesh dete mandir mein nahi dete, mera sawal hai WO log kya apni apne ghar ki saaf safai nahi karte, shouch ja ke haath khud nahi saaf karte, jab apna karke WO Pandit mahan hai to jo apne saath saath samaj ki saaf safai karte hai WO nimn kaise? Apitu WO sabse mahan aur uchh huye jo apne saath samaj ko bhi saath le kar chale,

Main khud uchh Brahman jaati se hoon par jaati dharm ke vishay mein kewal kahne ke liye ya updesh dene ke liye ye lekh nahi likha hai maine, kai safai karmiyo se meri dosti rahi hai, khaan paan hua hai. Par Mere kayi jaanne wale uchh jaati ke mitra aur mere ghar ke khud kahte hai ki jaati dharm mein WO bhed nahi karte par sachhai ek dam vipreet hai,  saaf hai log kahte kuch aur mann mein unke kuch hota hai

Sach to ye hai Sarkar ko sakhtai se prachin karm pradhan samaj ki parampara ko laagu karna chahiye, yu aarakshan pratha se kewal manav ki manav se duri badegi na ki kupratha hategi saath hi ek varg ka shoshan hoga, iske liye shiksha aur antarjatiye vivah mahatvpurn yogdaan de sakte hai, atah unhe protsahit kiya jaaye evam adhik se adhik shiksha ka prachaar prasaar kiya jaaye, saath hi nimn jaati ke logon se anurodh hai mera ki WO Sarkar se aarakshan ki mang na kar samanta ki mang kare, jaati-dharm evam upjaati ke sthaan par ek hi naam lagi Bhartiye, agar ham aisa karne mein safal huye to ye sachha uphar hoga hamare purvaj aur Bharat Mata ko hamari taraf se...

Jai hind



Thanks &Regards
   Macks Archu



No comments:

Post a Comment