Thursday 3 December 2015

insaniat kho gayi hai-kavita

"Aaj fir hridaye mein peeda ki ye tees hai aayi,
Daal roti sang pankh laga ye mehgai chali aayi,

Thanda pad gaya ye dekho choolha gareeb ka,
Din-raat mehnat wale ne do wakt ki roti na payi,

Tod kar rakh di kamar janta-ae-aam ki ye jisne,
Matakti huyi mehgai ye dekh kaise fir chali aayi,

Ro rahi aaj maanavata khush ho rahaa hai ye neta,
Khud khata shahi panir janta ne sukhi roti na payi, 

Ye chakh rahe swaad chhappan bhog ka yaha to,
Janta ko daal pyaaj aur ye rukhi roti bhi na milpayi,

Koi pa kar shresht pad duniya daure yaha karta hai,
Marta hai kisan roz maut manvta ki yaha hai ho gayi ,

Dekh nazara Bharat ka sara Archu ki ankh hai ro rahi ,
Badal jaati Surat magar insaniat kahi ab hai kho gayi-2"


No comments:

Post a Comment