Thursday 3 December 2015

Ham Bharat ki naari hai,

"Ham Bharat ki naari hai, sushilaa aur shishtaachaari hai,

Mat karna ab shoshan hamara, ham duniya par vaari hai,

Nahi sahenge aur anachaar,har atyaachar tumhi par bhaari hai,

Bahut sah liya hamne dard, ab doyam ki tumhari baari hai,

Karte hai bhed-bhaaw mat-pita Jo, unse ye maang hamari hai,

Karta nahi bhed ishwar, fir kyon unhone betiya mari hai,

Jab aadhi dhara par raaj hamara, fir kyon nahi jivan ki adhikari hai,

Ham naari hai to hua kya, nahi asadhya koi beemari hai,

Fir kyon hamein janne mein tumhe ye kaisi laachari hai,

Adhikar do beton jaisa bas ismein hi tumhari aabhari hai,

Nahi kewal ek nari, beti bahan bahu aur ham hi maahtari hai,

Ham durga aur Kali hai, sachhe samaan adhikar ka abhiyan ye jaari hai,

Le kar rahenge har adhikar apna, ham na kisi se haari hai,

Nibhaynge har farz bhi apna, ham bhi bitiya tumhari pyaari hai,


Ham Bharat ki naari hai, sushilaa aur shishtaachaari hai,

Mat karna ab shoshan hamara, ham duniya par vaari hai-2"



No comments:

Post a Comment