Thursday 28 July 2016

my beta

'meri har nazm mera har nagma hai tu,

 ishwar ka koi anmol karishma hai tu, 


dil mein rahta hai kuch tu yu aise, 


dekh to jara meri aarju har armaa hai tu"

Saturday 23 July 2016

ishwar vaani_-149, hamare karm janmo janm

Ishwar kahte hain, "hey manushyo tumhe ye manav jivan pichhle janmo ke punyo se prapt hua hai taki Jo bhi tumne apne iss janm aur pichhle janmo mein tumne Jo bhi paap kare hain unka prayshchit kar prani jaati ki sewa kar, prakrati ki raksha kar mere dwaara bataye marg par chal kar moksh praapt kar sako,


Hey manushyo yadi tum manav jivan ke ahankar mein aa kar anetik kaarya karte ho, nirdosh, nirih ko sataate ho, galat evam ghranit karya karte ho, dhokha dete ho, kisi bhi tarah ka paap karte ho, kisi nirih nirdosh ka apne swaarth ke liye ahit karte ho, to tum apne is janm ke hi nahi balki pichhle janm ke punyo ko ka bhi naash karte ho, jiske falswaroop na sirf is janm mein dukh paate ho apitu ananya janmo tak dukh paate ho,

Hey manushyo yadhhapi tum sochte hoge aur tumhe tumhare pichhle janmo ke punyo ke kaaran bhale is janm mein adhik kasht na mile kintu tum apne sukh evam samradhi ke din avashya kam lete ho, tumhe jitne adhik din sukh milna chahiye tha tumhe uski jagah kasht praapt hota hai_"

Monday 11 July 2016

kavita

"Tumse mil kar mujhe ye zindgani mil gayi,
Tumse mil kar prem ki ye kahani mil gayi

Adhoori si zindagi thi isse pahle ab talak,
Tumse milkar prem ki har nishani mil gayi,

Dhoondti thi nigahe jise har taraf har kahi,
dekho to jara tumhe tumhari rani mil gayi,

Intzaar mein tere beete Jo din mahine saal,
Tumse mil kar khoyi fir ye jawani mil gayi,

Toot kar bikhar gayi thi 'Meethi' bin tere,
'Khushi' ki ye bandgani mujhe mil gayi,

Tumse mil kar mujhe ye zindgani mil gayi,
Tumse mil kar prem ki ye kahani mil gayi-2"