Saturday 27 August 2011

jaan se bhi jyada chaha tha

jaan se bhi jyaada chaha tha tumhe, iss dil mein bas basaya tha sirf tumhe, khuda ki jagah poojte the hum tumhe, kyon kar diya khud se juda tumne hume, kyon di ye saza tumne hume, kar na sake hum wafa ya fir bewafa kahe hum tumhe, tum ho gaye ho aaj bhale bewafa par aaj  apni aakhiri saans bhi de di humne   sirf tumhe....

Friday 26 August 2011

ishwar vaani-3

God kahte hain, unhone har kisi vyakti ko kisi uddeshay se bheja hai,
unhone insaan ko kamjor, asahaay, nirbal, durlabh aur jarurat mand
praniyo ki raksha k liye bheja hai, issi liye unhone insaan ko aur
praniyo ki apeksha adhik budhhi aur sharirik shakti pradaan ki hai,

God kahte hain, duniya ki bhalai k liye yadi apni sabse priya vastu ka
bhi yadi tyaag kiya jaaye to kar dena chahiye kyon ki wo vastu yadi
duniya ki raksha k kaam aati hai to isse uska samman badta hai aur
saath hi wo swaym prabhu mein vileen ho jaati hai,......

God nirabal, nireeh praniyo ki bali ka virodh karte hai, kyon ki isse
sansaar k samast paap nast nhi honge, god ka bali se matlab apne apndar chupe huye
papo ki, apne andar ki samast buraiyo k ant karne se hai, afsoof ki log iss baat ko jaan kar bhi nhi maanne ko tairyaar baithe hai,
God kabhi kisi k jeevan chheen lene ki baat ki manav dwaar kar hi nhi sakte, kyon jeevan lena aur dena iss par hak sirf unhi ka hai...

Tuesday 23 August 2011

zindgi to ek rail gaadi hai



zindagi to bas ek rail hai, jiska har ek lamha to bas ek khel hai, chalti rahti hai ye bina ruke, apni mazil tak badti rahti hai ye bina ruke, milte hain musafir iss rail mein b, dete hain saath kuch der iss safar mein b, fir unka platform aa jata hai aur wo uttar jaate hain, apni manzil pa jate hain(manzil hai zindagi ka ant)


kuch log sochte hain jindagi ki iss rail k platform pe wo kabi nhi utrenge, zindagi ki iss rail gaadi ko wo aise hi kheechnge, par wo nadan nhi jaante ki wo to bas iss rail gaadi k sirf ek saadharan se musafir hai, iss rail gaadi ka chaalak to wo parmeshawar hai,

hum nhi jaante ki kab humara pahla station aaya, kab se humari rail gaadi chalne ki shuruaat huii, aur kab aayga humara antim station,

parmeshwar ne zindagi ki iss rail gaadi mein hume bahut se musafiro se milwaya, kuch ne diya saath  pal do pal ka to kuch ne jeevan bhar nibhaya, kisi ne diye dhoke to kisi ne beinthaa pyaar de kar iss safar ko suhaana banaya.......parmeshwar hi hai iska sanchalak, zindgi ki rail par uska hai poora haq...


so enjoy this journey


wish u a very happy life to all of my frds...



dekho fir aaj....


dekho fir aaj chaand hai nikla, dekho fir aaj hai chandni felaayi,
dekho  aaj ye fool hai fir se khila, dekho aaj ye kali fir iss ped pe aayi,
dekho iss patjhad ka mukhda,dekho aaj basant ritu fir se aayi,



dekho aaj fir sooraj hai nikla, dekho fir wahi suhaani shaam hai aayi,
dekho aaj fir ye aasman neela, dkho fir nasheeli raat hai aayi,
jab dekha ye mausam rangeela, dekh isse kisi ki yaad hai aayi...


Sunday 21 August 2011

jab saans chalti hai...

roi aankh


jab lagi thokar zindagi mein kabhi to dekh usse roi aankh, jab kari kuch pane ki hasarat  na puri ho paayi wo khwaaish to dekh mujhe roi aankh, jab chale bheed mein akele to mujhko tanha dekh roi aankh, sabki khushi pe luta di zindagi humne apni saari par khud ki zarurat pe koi na paya saath to dekh mujhe roi aankh, sabko diya har pal ka saath par apne aakhri pal mein na paay jab kisi ko paas  to dekh usse roi aankh.......

sikka gir aawaz huii, sheesha toota awaz huii, dost chhuta aankh roi, par jab dil toota to aawaz na huii bas sirf aankh roi..