Thursday 30 August 2012

hasna seekhne lage

Dukhon ko bhula kr hm hasna seekhne lage, gam k andhere me b hm khushi k khwaab dekhne lage, socha kismat itni b buri nhi h hmari q zindagi k har toofan me hmare dost hmesha hmare saath rahe, kya hua jo na mila saath kisi ka hme, par zindagi ki har ladai me saath dene wale mere dost saath rahe....... Dear frdz pls nvr evr leave me alone.. Miss u all..

sad shayriक्यों चाहत है इस दिल को उनके के पास जाने की,

क्यों चाहत है इस दिल को उनके के पास जाने की, क्यू उम्मीद है इस दिल को उनके लौट आने की, है पता मुझे वो ना आयंगे फिर कभी, ना देखेंगे मुझे मुड़कर फिर कभी, दिल को खिलोना समझ ख़ेल कर चले गये है वो मेरा भले सही,पर टूट ती साँसों में भी आख़िर ये उम्मीद क्यों है, क्यों यकीन है मुझे मेरी आँखे बंद होने से पहले वो होंगे मेरे पास फिरसे यही, है विश्वाश मुझे जो तोड़ा है दिल उन्होने मेरा टूट कर वो भी उस दिन बिखर रहे होंगे जब हम उन्हे अलविदा कह कर दुनिया से विदा ले रहे होंगे, और तब वो उस वक़्त  फूट फूट   कर रो रहे होंगे, क्यों ना हम होंगे खुश उन्हे इस तरह तड़प्ता देख कर, उन्हे भी अपनी मोहब्बत का अहसास करा कर हम जायंगे  इस जहाँ से क्योकि  है पता हमे इसके बाद ना हम फिर कभी ना उनसे मिलने दुबारा आयंगे, सोचते हैं हम शायद  इसके बाद वो खुद को भी  बिन ह्मारे या तो बेहद खुश या फिर बेइंतहा तन्हा पायंगे, पर ना फिर कभी हम उनकी ज़िंदगी में दुबारा आयंगे, उनका दिल उस वक़्त ये कहेगा क्यों चाहत है इस दिल को उनके के  पास जाने की, क्यों  उम्मीद है दिल को उनके लौट आने की..

Good Night poetry with......................Hororr sound.............

Ek kahani muje tumhe sunani h, sooni hawali aur kaali raat k saath har taraf bikhari bas viraani h, andheri raat me, safed libaas me suni haweli me ye tahlti aakrati na to kisi ki daadi aur na naani h, baal bikhere safed libas haath me mobatti jala kr har kamre me ja kr bas har jagte huye, har bhatke huye ko kahti h

So ja

Q ki raat bitne wali aur subah hone wali h

sad shayri,-Mere sapno ki mala k moti tut kr bhirte gaye

Mere sapno ki mala k moti tut kr bhirte gaye, jitna hm khush rahne ki hasrat me jiye utne hi gam hme milte gaye, kya kahu kisi gerr ko kuch q dil tod kar jane walon me sabse pahle mere apne hi rahe.....

dost , pyaar aur God


Jab kisi par musibat aati h tab 2 logon ko har shakhs sabse phle yad krta h,
 1. God ko, jise wo apni busy lyf me imp. dena jaruri nhi samjhta..

 2. Dost. Jab musibat aur dukhon ka pahad zindagi me toofan ban kahar dhaane lagta h tab hi apne bhule bisre doston ki yaad aati h, 

aur pta h pyar kya h?

   Pyar uss hi bala ka naam h jiskee wazah se zindagi me kuch pal ki khushi k baad milti tanhai aur laachari h, par fir bhi pyar ko shukriya q ki thokar lagane k baad aakhir apno k karib laane ka sabak ye hi to hume sikhati hai, aur  Ishwar se nazdiki bhi to Pyaar karne walon ko hi prapt hoti hai, aakhir raat din premi uss Rab se milne ki dua jo maangte hai, isliye ye Ishwar ke kareeb bhi hume laati hai,.....

 So frds hmesha cont me raho apne doston k, apne pyar k milne k baad doston ko mat bhulo, q ki zindgi k har mod pe sath nibhate h dost, jahan apne b kabi chhod dete h saath waha haath thaam kar fir se jeena sikhate h dost, aur uss Rab ko bhi sirf tab hi mat pukaro jab musibat mein ho aur apne pyaar se milne ki dua unse karnee ho, apne pyaar se jyada aitbaar uss rab se par rakho, aur yaad rakhna Rishta tab tak hi humare saath hai kisi ka bhi jab tak uss rishte par uss parmeshwar ka haath hai, isliye uss Parmeshwar ko bhi kabhi mat bhoolo...

Wednesday 29 August 2012

A Reall Story- Best Friends

Shama aur Bindu do bahut achhi saheliya thi,dono mein bahan jaisa pyaar tha, jo koi unhe dekhta to sagi bahan hi samajhta, donon ki dosti ko dekh kar har koi heraan rah jata, donon ka college complete hone k baad donon saheliyon ko ek hi office mein ek department mein job mil gayi, college aur fir same office mein kaam karna donon ko bahut achha lagta tha,

dheere-dheere waqt guzarta raha to inke mata pita ne inki shaadi k bare mein socha, jald hi bindu k liye ek achha ladka bhi mil gaya, kuch din baad uski sagai bhi ho gayi , ab wo waqt dheere dheere kareeb aane laga tha jab ye donon saheliya ek doosre se alaag hone wali thi, inhone kabhi socha bhi nahi tha ki ek doosre k bina bhi hume rahna padega,


par shayad kismat ko inka alaga hona nahi likha tha,


kuch waqt baad Shama ki bhi shaadi tay ho gayi, par shaadi se pahle hi pata chala ki Shama ko cancer hai, aur shayad uska ilaaz kaafi lamba chalega aur iske baad bhi wo theek ho jaaye iskee koi guarantee nahi hai, iss baat ki kharab jab Shama k sasuraal walon ko chali to unhone ye kah kar rishta tod diya ki apna bala humare sarr par mad rahe the, khud ilaaz nahi kara sakte isliye ek beemar ladki ko humare gale baandh rahe the, aap log iss kaabil hi nahi ki uska ilaaz kara sake, kaafi kuch bura bhala bol kar wo ye rishta tod kar chale gaye,

 par jab ye baat Bindu ko pata chali to apni shaadi  k theek 1 din pahle apni shaadi tod di, aur kaha ki jab tak uskee saheli bilkul theek nahi hoti aur usse pahle jab tak uskee saheli ki shaadi nahi hoti wo tab tak shaadi nahi karegi, Bindu k ghar walon ne bahut samjhaya par wo apni faise par atal rahi,


Shama ka ilaaz kaafi lamba chal aur wo ek din bilkul theek ho kar apne ghar wapas aa gayi, par inn donon saheliyon ne fir dubara shaadi na karne aur humesha ek doosre k saath rahne ka faisla kiya  

sad poetry........

ye sooni sooni rahe, ye baarish ki boonde, ye thandi thandi hawa ye har taraf failye fiza ye ghata aur kuch nahi bas mere toote huye dil ki kahani hai, tanha hoon main aaj yaha aur meri aankhon mein sirf paani hai,

ye sooni sooni rahe, ye baarish ki boonde, ye thandi thandi hawa ye har taraf failye  fiza ye ghata aur kuch nahi bas mere toote huye dil ki kahani hai, tanha hoon main aaj yaha aur meri aankhon mein sirf paani hai,


jo dekhe khwaab maine wo toot kar bikharte rahe, hum to unke liye jeena bhool gaye aur wo hume khud se door karte rahe, hui khata humse sirf wafa-e-ishk ki, par unki nazar mein hum to bas yu hi sab kuch bewazah aansu bahate rahe, 


na to kabhi chahat ki thi unhe humne paane ki aur na kabhi koshish ki unhe aajmane ki, unki har baat ko sachh samajhte rahe, unki har khushi k liye khud har dard sahte rahe, na pahuche koi chot unke dil ko bas ye soch kar unke har sitam ko hum sahte rahe,

na pata tha hume zindagi hume humari chahat ka ye inaam degi, jinke liye zindagi bhar tarste rahe unhi se ruswai degi, shayad ye hi inaam hota hai wafa-e-mohabbat karne walon ka duniya mein tabhi sachhi chaahat yaha duniya ab se na fir kabhi dikhai degi,


kyon tod dete dil log unhi ka jo kar dete hain zindagi apni naam sirf mohabbat k, kyon milte hain aksar dhokhe unhi  ko jo apni chahat k liye duniya ko bhi chhod dete hain, kyon nahi iss duniya mein sachhi mohabbat ki kadra karne wala koi, kyon hai duniya mein sirf dhokhe dene wala har koi,


dosh du to kise, kuch kahu to kise, na kuch kahne laayak hoon main aur na kuch samajhne layak hoon main,
naseeba hi mera aisa hai jisme hi shayad ye likha hai, mere dard se shayad unhe kushi mile shayad isliye uss rab ne meri zidangi ki  kahani ko aisa likha hai,

ye sooni sooni rahe, ye baarish ki boonde, ye thandi thandi hawa ye har taraf failye fiza ye ghata aur kuch nahi bas mere toote huye dil ki kahani hai, tanha hoon main aaj yaha aur meri aankhon mein sirf paani hai,