Tuesday 12 February 2013

kuch kho gaya hai uski yaad mein hum baithe hain...




kuch kho gaya hai uski yaad mein hum baithe hain, kaash dikh jaaye kahi wo
zindagi ki kisi raah mein hume iss vishwaas mein hum baithe hain, inn
suni padi raaho mein bas kisi k milne ki aas mein hum baithe hain,
kaash koi to dhund laaye usse jo humse bichhad sa gaya hai inhi raahon mein kahin bas issi
intezaar mein hm baithe hain, kuch kho gaya hai uski yad mein hm
baithe h..


Monday 11 February 2013

meri chaahat ka andaaza hi nhi...


"meri chahat ka tumhe andaza hi nhi, krte h kitni mohbbat tumse ye tumne kabhi jana hi nahi, mere dil mein hai jo zazbaat tumhare liye  tumne unhe pehchana hi nahi, hai kitna zindagi mein meri soonapan tumse juda hone par tumne unhe ab tak dekha hi nahi,

hoti kahan h neend meri aankh me tumse ruthh jane par, behati hai ashko ki nadiya khafa tumse hone par, na milti hai khushi aur na laa paata hai mere labon pe koi hassi ye dil tumhare todne par, hota hai jo dard tumhe dil tutne par, roti hain meri bhi aankhe aisa dekhne par, par tumne mere toote huye dil ke dard ko kabhi samha hi nahi,

  sitam dhha kar mujhpe kahte ho tum hme tumhari parwah hi nahi kyonki hme tumse ab mohbbat hi nahi, shayad abhi tak tumne meri chahat ko pehchana hi nhi tabhi tumhe meri chaahat ka andaaza hi nhi... "

Sunday 10 February 2013

mere ho sirf tum......


“Bhale nahi bure sahi par meri jaan mere ho tum, paas nahi door sahi par meri jaan dil k paas ho tum, rahte nahi khush kabhi sahi par meri jaan mere ho tum, dikhte ho khafa-khafa se mujhe aur lagte  bade beharam ho tum par meri jaan aakhir mere ho tum, aate ho jitna kareeb tum mere bana lete ho fir se jaane kitnee ye dooriya bhale hi par meri jaan fir bhi aakhir sirf mere ho tum, tod kar dil ko mera haste ho har baar tum par kya kahu kuch main kyonki aakhir dil tod kar hasne wale mere hi to ho tum, dhaate ho sitam itna mujhpe par aakhir ae sitam dhaane wale meri jaan mere ho tum, milte hain bhale laakh gam aur aansu tumse mujhe itne sahi par meri jaan mere hi ho tum, kahte hain hum  aur kahte ho tum dil mein nahi hai koi armaan teri chaahat ka par dil ki har dhadkan se aati aawaz ye hi kehti hai ki meri jaan mere hi to tum, juda ho kar bhi mujhse mere andar rehte ho tum shayad isliye kyon ki meri jaan mere ho tum, tod kar har rishta dur khud se kar ke tujhe apne dil ki gehrai se maine kiya par fir bhi meri har pachhai ke saath ho tum kyon ki meri jaan  mere ho aaj bhi tum, laakh burai jo hai tujhme bhala to mera  mann bhi nahi, bhale bure hum dono sahi par meri jaan bas mere ho tum, meri har khushi ke saath ho tum kyon ki meri jaan mere ho sirf tum, mere jeevan ki aas ho tum kyon ki meri jaan mere ho tum, adhuri si hai meri duniya bin tumhare, yaad aate hain har wo lamhe jo hain maine sang  tere guzaare, unn yaadon ke saath aaj bhi mere paas ho tum kyonki meri jaan mere ho sirf tum..”

tumse hi to h meri zindagi ki har shuruaat..

"meri zindagi ki har subah tumse h, meri zindagi ki har shaam tumse h, tumse hi to roshit h meri ye zindagi, tumse hi to h meri har khushi, na chhod jana mujhe tum kabhi, na ruthh jana tum fir kabhi, bin tumhare na ji sakenge ek pal bhi, tumhare hi ek saath ki jarurat h mujhe har kahi, kyon ki meri zindagi k har pal ki aas tumse h, hey prabhu sirf tumse hi to h meri har baat, hey parmeshwar tumse hi to h meri zindagi ki har shuruaat.."

Saturday 9 February 2013

kyon tum aaj bhi mujhse khafa-khafa se ho


kyon tum aaj bhi mujhse khafa-khafa se ho, kyon tum aaj bhi mujhse juda juda se ho, kyon aaj bhi tum mujhe rulaate ho, kyon aaj bhi tum mujhe satate ho, hain kinti namm meri aankhe door tumse jaane par, hai kinta dard dil mein mere tumse rooth jaane par, rahte ho aaj bhi mere dil mein ussi tarah fir bhi kyon kahte ho ki tum dur mujhse rahte ho, hai nahi koi aaj bhi kareeb mere sirf tumhare aur tum kahte ho hum tumhare bagerr rahte hain, kyon tum aisa kahte ho, kyon tum dil mera tod dete ho,shayad dil mei tumhare jagah nahi mere pyar
ki, fursat nahi tumhe meri chahato k ikraar ki, tabhi tum shayad har
baar rishta tod dete ho..

Thanks and Regards
 *****Archana*****

Friday 8 February 2013

tod na jaye mera wo koi hasin sapna bhi dil samajh ka....




 "kabi taraste the ek dusre ki jhalak pane k liye, aaj parchhayo se bhi dur rehte h, kabi karte rahe intezaar barso baras ek milakaat ka, aaj nazdik aane k khyaal se bhi dur rehte h, kabi bas didaar unka ho jaye aaj ye soch kar subah uthte the, aaj kahi wo mil na jaye kahi ye soch kar raasta badal lete h, kaash aaj shaam wo nazar aa jaye mujhe khidaki par kabi ye soch kar nazare bichhaye darwaze pe khade rhte the, aaj wo kahi dikh na jaye kisi jharokhe se ye soch kar har darwaza band kr lete h, kabi kaan lagaye rehte the unki halki c aawaz k liye, aaj kaan band kr lete hai ye soch kar ki kahi wo fir mera dil na tod jaaye, kabi na pyaas bujhti thi unhe dekhe bager, aaj ye soch kar palke band kr lete h kahi tod na jaye mera wo koi hasin sapna bhi dil samajh ka...."

Thursday 7 February 2013

Ishwar Vaani-18 **satya ki raah**


Ishwar kahte hain “yadi hum satya ki raah pe chalte hain to aisi raah mein kayi aise log hume milenge jo humare param aalochak hounge aur kayi aise log bhi hume milenge jo humare samarthak hounge, lekin hume na to apne aalochakon ki taraf koi dhyaan dena hai aur na apne samarthakon ki oor kyon ki yadi hum apne aalochakon ki baton  ko dhyaan mein rakh kar kaarya karne lagte hain tab bhi na to unhe kabhi khush rakh sakte hain kyon ki unki to aadat hi hoti hai kuch na kuch khaami nikaalne ki iske saath hi hum apne mool kartravayon se bhi dur hote jaate hain, unki aalochana avam unhe prasann rakhne hetu kaarya hume humare mukhya lakshya se dur le jaata hai, isliye hume unki taraf dhyaan nhi dena chahiye, iske saath hi hume apne samarthakon ki taraf bhi dhyaan nahi dena chahiye, kyon ki yadi hum unki taraf dhyaan denge to hume ahsaas hoga ki hum bilkul sahi hai iske saath hi ahankaar ki bhaavna bhi dheere- dheere humare mann mein ghar karne lagegi ki hum sarvashva hain, mann mein ye bhaavana ghar karne lagegi ki hum auron se shreshta hain tabhi to log aaj humare samarthak hain, humare saath hain, iss bhaavana se bhi hum apne mool kartavyon ki bhool kar apne ahankaar mein doob jaaynge, isliye jab bhi hum kisi kaarya ki poorti ke liye kadam badate hain to hume kisi aur ki saraahana ya fir aalochana ki aavashyakta nahi hai bas mann mein drin vishwaas hona chahiye ki hum sahi hai, yadi hum sahi hain, humara apne uddeshya prapti ka maarg sahi hai, to chaahe puri duniya humari samarthak bane ya aalochak hume uski parwah nahi karni chahiye kyon ki yadi hum sahi hai to bhale puri duniya hume akela chhod de kintu wo parmeshwar sadev humare saath hai kintu yadi hum galat marg aur galat uddeshya ki prapti ki oor agrasar hain to bhale  bhaati jaan lein kichaahe saari duniya humari samarthak ho jaaye kintu wo parmeshwar humare saath kadaapi nahi hai, isliye apne uddeshya prapti hetu hume iss mayavi bhotikta se utpann maanav ke samarthan avam aalochan ki jagah ishwar ke saath ko prapt kar apne kaaryon ki poorti ka marg apnana chahiye, bhale hi iss kaarya mein anek kathinaiya aaye, bhale jeevan nark ban jaaye kintu hume sahi avam satya ka maarg nahi chhodna chahiye, mann mein poorn drin vishwaas rakhna chahiye ki yadi hum sahi hai to nishchit hi safata ko ek na ek din hum jarur prapt karenge, paapi maarg bhale hi hume bahut jald unchaiyon par le jaaye kintu wo naashwan hai, jab to nasht hota hai to aakash se gir kar maavan aise zameen mein girta hai jaise aakash mein udne wale pankshi ke kisi ne pankh kaat liye ho aur iss prakaar wo  fir  sambhal nahi paata kintu satya aur sahi maarg par chal kar bhale hi derr se aur anekon kashton ko seh kar hume safta praapt hoti hai kintu wo hume sadev unchain tak hi rakhti hai, kyon satya aur sachhe marg pe chalne walon ke saath sadaa parmeshwar rahte hain aur sadev hi sachhe aur sahi maarg pe chalne walon ka maardarshan karte hain, Ishwar dherya  rakhne walon, doosron ke hit ke liye apne samast sukh ko tyaag kar nihswaarth bhaav se praani kalyaan hetu kaarya mein lage praaniyon ke ko sachhi seva bhavana ko hi sachhi bhakti kahte hain, sadev Ishwar unke saath rahte hain jo sadev doosron ki prasannta avam unke hit ki vishya ke bare mein na sirf sochte hain balki karne ki tatpar rahte huye unke liye kaarya karte hain jinhe iski sabse adhik aavashyakta hai, Ishwar sadev hi sahi avam satya ke path par chalne wale pathik ke saath hain.. ”