Saturday 20 February 2016

ishwar vaani-123, ishwar jivito ke hai

Ishwar kahte hain "hey manushyo main kewal jivito ka hoon, jivito ka hi udhhar karta hu, jivit hi mujhse shatruta aur mitrata rakhte hai, jivit hi meri aaradhna upasna karte hai, isliye main sirf jivito ka hoon,

Hey manushyu tum deh ke moh mein ulajh kar bhautik sharir se kisi ke jivit hone aur na hone ka anumaan lagate ho, jabki Jo bhautik hai uska naash hoga hi, kintu mritu nahi kisi jiv ki hogi, tum baadan ho isliye shok karte ho ki tumhara priye ab nahi raha, kintu satya to ye hai wo kisi dusri yaatra par chal pada,

Hey manushyo na bhoolo ye aatma aur tumhara shookshm sharir kabhi na mine wala hai, jis din ye mit jayega uss din sachh mein tumhe mrityu prapt hogi, kintu ye brahmand ke mitne ke baad bhi nahi mitega apitu nayi shrishti mein fir bhautik roop le kar janm lenge, kintu tab tak ye mere paas mere priye ban kar rahenge,

Hey manushyon jo meri aagya par chalega wo ananat sukh bhogega kintu Jo iska ulanghan karega ananat dukh paayega, hey manushyo Jo vyakti sochte hai deh tyaag kar wo mrityu ko prapt kar lenge kintu ye asatya hai, wo naye jivan mein pravesh karte hai, kintu jivan chakra se mukti nahi pa sakte,

Kayi janm aise hai jeev aatma ko shookshm sharir ke saath tab tak jina padta hai jab tak deh na mil jaaye,
 Kuntu jivan chakra se mukti nahi milti,

Hey manushyo Jo kisi ki hatya kar khush hote hai unka khush hona vyarth hai, wo maatra sharir ko haani paucha sakte hai Jo bhautik hai kintu shookshm sharir ko nahi, kintu aisa kar khud ke karm avashya kharab karte hain"

Friday 19 February 2016

aadhunik bahu par rachna

"Bani malkin tode khaat bahu aaj din raat,
Saas karti kaam aaj garmi ho ya barsat,

Ban mahaarani ab wo Bas hukum sunaati,

Aankh dikhati, aise daarati, dandti binbaat,

Bhukhi pyasi kolhu bana saas se kam karati,

baasi roti de bahu roz sunati sau sau baat,

Sunati sau sau baat, bilkhati saas na bhati,

Kar bahane gaali deti, maarti ghoose laat,

Dekhti ye nazara 'Meethi' 'Khushi' se kahti,
Nahi karti samman bado ka kya unki aukat,

Ladti jhagdti aaj bahu, bewazah jise satati,

Milti zindagi mein usse bhi fir yahi saugat,


Bani malkin tode khaat bahu aaj din raat,
Saas karti kaam aaj garmi ho ya barsat-2"


meethi khushi

"Tumse pyara kaun hai ae meri zindagi,
ik tumhi to ho mere hamnashinn,
 chhoothe na fir kabhi saath tumhara,
tumse hi to hai ye tumhari 'Meethi-Khushi"

Thursday 18 February 2016

for my babies-happy, sweety, micky

"din beete, mahine beete, beet gaye saalo saal,
teri mohabbat mein meri jaan hua mera aisa haal,
tu kya jaane o jaane wale pichhe tere kaise jiye ham,
judai teri sah na sake ham Jo huye aise yuh  behaal"
                               miss my babies


"meri yaado mein tumhi rahte ho,
meri baaton mein tumhi hote ho,
chale gaye mujhe tanha karke tum,

mere khyalato mein tumhi to rahte 

kavita-prem ka geet

kavita

"prem ka ye geet gaaya hai maine,
tujhe apna meet banaya hai maine,
bana dhadkan dilme chhipa le mujhe,
in baharon mein preet paya hai maine,

in fizaaon se tujhe churaya hai maine,
man mandir mein tujhe basaya hai Maine,
rag rag mein rahta hai tu zindagi ban kar,
apni saanso mein tujhe samaya hai maine,


jaane kitni ibadat se paaya hai tujhe maine,
laakho duaao se paaya hai tujhe maine,
dosto ki kya dushmano ki fariyad rab ne suni,
tab apne nasib se paaya hai tujhe maine,

tere liye har geet likha hai maine,
prem ka sangit sunaya hai maine,
Meri har gazal aur nazm tumhi ho  
Tujhe apna meet banaya hai maine"

Wednesday 17 February 2016

akhand vishwa ka nirman-kavita

"Aao manav dharm ka nimaan kare ham,
Mil kar akhand vishwa ki neev rakhe ham,

Na koi hindu na koi Muslim, mazhab se dur,
Aao akhand vishwa ki jyoot aaj jalaye ham

Bahut rahe khando mein, Ji liye dango mein, 
Aao milkar fir navyug ka nirman kare ham,

Shaanti aur prem ka uphaar aao baate ham,
Aao milkar akhand vishwa ka dhyaan kare ham,

Ekta aur akhandta ki ek fir misaal bane ham,
Aao milkar akhand vishwa ki neev rakhe ham"

       

us bewafa ki yaad- kavita

'Us bewafa ki yaad  bahut aati hai,
Us bewafa ki yaad bahut tadpati hai,

Kasur uska nahi mera hi to hai shayad,
Soch kar bas ye baat aankh bhigi jaati hai,

Umar bhar ka ye rishta jise kahta tha Jo,
Toote huye rishte ki peer badi satati hai,

Khushi ki ik bas chahat sang jiske ki thi,
Ussi ki bewafai bahut mujhe rulati hai,

Tod kar har rishta chala gaya dur mujhse,
Aaj akele is jivan ki tanhai khaaye jaati hai,

Behate hain ye ashq mere banke dhaar,
Rote huye is dil se bas ek aah nikal aati hai,


Us bewafa ki yaad  bahut aati hai,
Us bewafa ki yaad bahut tadpati hai,-2'