Saturday 10 March 2012

maut ki gehrai

Log kahte h marne k baad sada k liye apno se juda ho jate h, aur ye hi soch kr log bar-2 rote ha, hm unse kahte h ae yu rone walo, poch do apne aansu, maut ki gehrai ko samjh, iss zindagi me jo unse pal do pal ki khushiyo ka milna to uss rab ka bahana tha teri unse pahchan krane aur pyar badane ka, aur rab ne maut likhi ha kismat ki lakiro me taaki sharir roopi bandhan se mukt ho kr ek din sada k liye unka jo ha ban jana, ye jiwan to kewal hme unse milane ka bahana ha jinse janm se le kr mratu tak kabi na kabi anjan hote ha, par maut hme unse milati ha jo sharir k bandhan se mukt ho bhi apne hote ha, jo kabi ajnabi the par aaj apno me shamil ha, ae mere dost to ab rona chhod q ki ek tuje b aisi nind aaygi, jisme rah jayga tera sharir yaha aur aatma uss parmeshwar k pas jaygi, aur tuje tere apne bichhdo se tuje milaygi..

No comments:

Post a Comment