Friday 26 October 2012

Jaanwaro ka Badla (Story)



Ek baar ki baat hai, jangle mein jaanwaro ki ek sabha ektrit hui, mudda tha insaano dwaaara jo samast jaanwaro pe atyaachar ho rahe hain unse kaise mukti paayi jaaye, iske liye na sirf samooche jangle se balki har gali aur nukkad k jaanwaro ne uss sabha mein hissa liya aur apnee apnee samashyayein aur unke samadhan k bare mein vichaar bataye, kintu ek bhi vichaar jaanwaro aur jangle k raja sher khan ko achha nahi laga, wo kuch aisa vichaar chahte the ki insane ko akal aaye aur wo jaanwaro pe atyaachar na kare aur duniya mein insaan aur jaanwar mil jul kar ekta k saath rahe,

       Sabha mein iss vishaya pe vichaar karte karte subah se sham aur sham se raat ho gayi par koi upaaye na soojha, ant mein raja sher khan ne apne sabse kareebi miitra lomad singh ko koi upaye sujhane ko kaha,

   Lomad sing kaafi suljha huaa tha, usne raja ko salah di ki sabse pahle hmare yaha se koi jaanwar hmara doot ban kar insaano k paas ja kar uss sabse shaktishaali shakhs se milega jiska samanst maanav kahna mante hain, hmara doot unhe humari samashya batayega aur humare vichaar batayega, fir dekhte hain ki  insaan humra kitna aur kaise saath dete hain,

Raja jo uski baat bha gayi, doot ban kar chinku kharghosh ko insaano se vaarta karne ko bheja gaya, kaafi din beet jaane k baad bhi chinku kharghosh ka kuch pata nhi chala to uski khoj mein beenu Bandar ko bheja gaya, par kaafi samay ho gaya uska bhi kuch pata nhi chala ant mein raja ne apne kuch insaano k saath galiyon mein rahne wale kutte mahashay aur billi mausi se unki soochna dene ko kaha, to unn logon ne kaafi khoj been kar bataya ki jis khargosh ko unhone insaano se vaarta karne bheja tha use to insaan apna bhojan bana kar kha chuke hain aur jis Bandar ko unhone bheja tha use kisi chhidiyaghar mein bhej diya gaya hai aur wo begunah ho bhi jail mein saja kaat rha hai,

     Ye khabar pa kar sher khan ka khoon khaul utha, usne fir se samast jaanwaro ki ek sabha bhulai aur kaha bas bahut ho chukka insaano ka hum pe atyaachar, hum ab aur nahi sah sakte, hum sabi jaanwro ko apne aapsi manmutaaw mita kar dharti pe sabse shaktishaali samajhne wale insaan naam k jaanwar pe humla kar dharti ko aur samast jaanwar biraadari ko use mukt karana hai, iske liye hume jald se jald maanav jaati pe humle krna hai, Raja ne sabha mein sabhi janwaro ko ye bhi bataya ki kis tarah maanavo ne unke priya doot khargosh ko apna ahaar bana daala aur uki khoj mein gaye Bandar maharaj ko bhi bewazah jail mein daal diya, ye sun kar sabhi jaanwaro ka bhi khoon khaul utha, aur sabhi jaanwar maanavo pe humla karne k liye aage badne lage,

     Jangle mein rahne wale jaanwaro ne sabse pahle jangle k kareeb maanav nagaron mein humle bol diya iske saath hi insaano k beech rahne wale samast kutte, billi, gaaye, bhains, bhaind , bakri ityaadi ne nagar mein utpaat machana shuru kar diya, itnaa hi kaafi nahi tha, dharti pe chaltne wale inn jaanwaro ki harkat dekh kar paani mein arthaat samandar mein rahne wale jeev bhi kahan rukhne wale the unhone bhi samandar ki seema laanghna shuru kar diya aur unhone bhi maanav jaati pe humla kar diya,


     Bechaare insaan kya kare unhe to kuch samajh hi nahi aa raha tha, wo jitna adhir jaanwaro pe atyaachar kar unhe mar kar bhagate use jyada samkhya mein ye jaanwar unpe humla kar dete, maanavo ki ek se ek vegyaanik taknik bhi asafal hoti dikh rahi thi, maanav yadi khud ko bachane samandar mein panah lete to waha k jeev unhe apna graas bana lete, dharti pe bhi jamast thalchar jaanwaron ne unhe apna ahaar banana shuru kar diya tha, aur yadi wo aakash mein panah lete to waha chhidiya, gidhh ityaadi waha bhi nahi rahne dete, dheere dheere dharti se insaano ka naamo nishaan kam hone laga, aisa lagne laga ki shayad ab dharti se insaan naamak jaanwar humesha k liye lupt ho jaayga,

      Aise mein ishwar ko maanav jaati pe raham aaya, usne samast maanavo tak apne dooton ki sahayta se ye sandesh pahuchya ki yadi maanav jaati dharti pe apne astitva ko bachaana chahti hai to use samast jaanwar jaati se maafi mangni hogi, iske saath unhe ye bhi vachan dena hoga ki wo kabhi kisi bhi jaanwar ko koi bhi aage se nuksaan nahi pahuchayenge, unhe kisi bhi bahane apne ahaar nahi banaye jaise abhi tak wok arte aaye hain kabhi dharm k naam par kisi nirdosh janwar ki bali de di ye fir kabhi apni jeebh k swaad k liye unhe maar kar kha gaye ya kabhi doosro mein apni paith dikhane k liye kisi nirdosh ki jaan le kar use apna ahaar bana liya, iske saath hi bhagwaan ne insaano se ye bhi kaha ki insaan apni bastiya waha nahi basayga jahan pahle se hi jaanvaron ka aashiya hai, maanav kisi bhi jaanwar pe kisi bhi tarah ka atyaachar nahi karega,  parmatma ne kaha yadi tum sab maanav ye karne ka waada yadi jaanwaro se karonge aur apne wade ko nhi todoge to dharti se tumhara astitwa bach sakta hai anyatha main bhi kuch nahi kar sakta,

     Dharti pe bache kuche jo maanav rah gaye the unki sabha hui, aur unhone apne astitwa ki raksha aur dharti ko maanav viheen hone se bachane hetu ishwar dwaara bataye path par chal kar samast jaanwaro se maafi mange hetu aur iske saath hi unhe kisi bhi tarah ka koi bhi nukasaan na pahuchane ka waada kiya, insaano ne tay kiya jaisa bhagwaan ne kaha hai hum waisa hi karenge  kabhi kisi bhi jaanwaro ko saataynge nahi, unke jangle k paas apni bastiya nahi basaynge, jaisa bhagwan ne kaha hai waisa hi hum karenge,

    Iske baad bhagwaane jaanwaro k paas ja kar unhe samjhya aur maanav jaati se fir se ek baar dosti ka haath badane ko kaha, par janwar maanavon se kaafi khafa the par bhagwan dwaara samjhane par wo maan gaye, fir unn donon ki bhait hui, iswar dwaar samjhane par dono dharti pe ek ho kar rahne lage, aur iss prakar dharti maanav viheen hone se bach gayi…….

Note:  tab to dharti maanav viheen hone se bach gayi kintu hum insaan isi tarah se jaanwaro pe atyaachar karte rahenge, apne dharm aur apni jeebh k shwaad ki khatir unhe apna ahaar  banate rahenge to nishchit roop se ye janwar insaano k atyaachar se tang kar unpe humla jaroor karenge aur tab insaanon ko na dharti pen a aakash aura na hi samadar mein jagah milgee aur tab bhagwaan bhi unka saath na dega, isliye abhi bhi waqt hai sudhar jao aur insaan ho ye fir jaanwar sabhi se prem poorvak raho…….








No comments:

Post a Comment