Tuesday 26 March 2013

aaj fir kuch likhu main

aaya ek khyaal zahan mein ki kuch likhu main, badalte waqt ke haalat likhu main ya fir mausam ke badlte mizaaz likhu main, aaya ek khyaal zahan mein mere ki kuch likhu main, toote huye dil ki baat likhu main ya fir apne dard bhare ahsaas likhu main, aaya ek khyaal zahan mein ki kuch likhu main, apne tanha zindagi ki daastaan likhu main ya fir logon ke badalte armaan likhu main, aaya ek khyaal zahan mein ki kuch likhu main, namm hoti apni aakhon ki uss wazah ko likhu main ya fir apni jhoothi muskaan ke pichhe chhipi uss bebasi ko bayan karu main, aaya ek khyaal zahan mein ki kuch likhu main, apni har daastan likhu main ya fir iss duniya ki baat likhu main, nahi aa raha kuch samajh mein mere par ye naadan dil kahta hai mujhse kuch likhu main, aaj fir kuch likhu main,

No comments:

Post a Comment