Sunday 28 December 2014

dur ho kar bhi tum dur nahi

Dur  ho kar bhi tum dur nahi, juda ho kar bhi juda tum nahi,

Meri mohabbat ka asar hai ye shayad ya deewangi hai ye meri,

Kahte hain log  mere in ashko ko dekh ab is zahan mein nahi,

Par dikhti ho tum mujhe in nazaro mein hat pal yahi-kahi,

Dhoondti hain meri nazare tumhe aur aati ho hirni ki tarah balkhati si,

Mand mand muskaati si dil mera churaati si mujhse nikal kar mujhme hi tum samati ho,


Fir bhi jaane kyon sab kahte hain tum yaha nahi ho, tum ab nahi ho tum kahi nahi ho,

Naadan hain WO Jo kahte hain ye, WO kya jaane ishk ki gehraai,

Maut bhi juda na kar sake aisi chahat ki thi hamne, juda ho bhi rage sada here hi dilme mohabbat bhi hamne aisi hi ki thi,

Saagar ki gehraai se bhi jyaada gehri mohabbat gehri mohabbat hamne ki thi


Kaise batau is zahan ko, ksise samjhaau har insaan ko,
 Tum hi ho zindagi meri tum hi ho hat khushi meri ae meri hamnashin,

Dur ho kar tum dur nahi, juda ho kar tum juda nahi-3

No comments:

Post a Comment