Wednesday 2 September 2015

chhod aayi piya ki gali- aadhunik bahu par aadharit kavita

"Laaz sharm sab tyaag kar chhod aayi piya ki gali,
Wo laal chunar tyaag kar chhod aayi piya ki gali,

Tod ke khwaab sasural ke main to mayike chali ayi,
Kara ke vidayi sathiya ki chhod aayi piya ki gali,

Wo purane rashmo-riwaz saas-sasur ke charan,
Tod ke bandhan riwaazo ke chhod aayi piya ki gali,

Sujhaw unke na bhate lagte hardam kateele kaate,
Bhula ke un rishto ko chhod aayi piya ki gali,

Nanad ki baat tana lagti dewar ki baat besura gana,
Chubhti un aawazo ko tyaag chhod aayi piya ki gali,

Banati roti sewa karti par dhan daulat se haari main,
Kyon muft mein kaam karu chhod aayi piya ki gali,

Ma ki gaali pyaari lagti bhai ke bol suhaane lagte,
Thukra ke sasural ki seedi chhod aayi piya ki gali,

Bani dulhan waha ki doolhe ko Vida kara laayi,
Ghodi chade sanam le use chhod aayi piya ki gali,

Sapne jaane kitne toot kar bikhar gaye mere,
Ban kar sangini sanam ki chhod aayi piya ki gali

Rishta bana piya ka apno se juda use kar layi,
Maiyke na tyaga maine chhod aayi piya ki gali,

Sasural ko apnana na sikhaya ma ne bani ladli,
Le sang sanam ko chhod aayi piya ki gali,

Ma meri durga jagdamba bhai Ram Bharat milap,
Saas lage dushman mujhe chhod aayi piya ki gali,

Sasur dushmano ka sardar dewar lage dhokhebaz,
Mat-pita bhai bhale lage mere chhod aayi piya ki gali,

Nanad ko dekhte hi jalne lage dil aankh se aaye pani,
Main dulari sajan ki sath uske chhod aayi piya ki gali,

Naye rishte daste mujhko main bhookhi dhanki naari,
Daulat mein na tola mujhko jo chhod aayi piya ki gali,

Har roz naye gahne kapde roz chhappn bhog mile,
Ho dhan-daulat ka saath sada chhod aayi piya ki gali,

Mile dikbar ya rahe juda dil ko khwaish nahi kisiki,
Apni chaahato ki hi khaatir chhod aayi piya ki gali,

Toote dil kisi ka ya toote ghar ab chaahe,
Har rishto ko tyaag kar chhod aayi piya ki gali"







No comments:

Post a Comment