Friday, 21 December 2012

Ishwar Vaani.......jhooth bolna sahi athwa galat *15*

Ishwar kahte hain yadi hum kisi bhi manushya se jhooth bolte hain to chaahe iss jhooth se uss manushya ka koi ahit na ho bhale kintu hum sabse pahle khud ki aur yadi satya ka pata chal jaaye kabhi to uski nazar mein bhi gir jaate hain kyon jhoot bhi ek nishchit samay tak hi chhip sakta hai, satya kabhi na kabhi saamne aata hi hai, isliye jahan tak sambhav ho jhooth se hume duri bana kar rakhni chaahiye, Ishwar jhooth bolne wale manushya ko kabhi shhama nahi krte kyon ki jhooth insaan kisi nadani ke kaaran nahi balki poori samajhdari ke saath bolta hai,


Ishwar kahte hain kisi vishesh parishtithiyon mein bola gaya jhooth satya se bhi  bad kar maana jaata hai jaise kisi nirdosh praani ke praan rakhsa hetu bola gaya jhooth uss satya se bhi bada hai jiske bolne par uske praan sankat mein aa jaate, waise hi Desh, Raksha, Surakhsa aur kisi behad zaruratmand praani ki sahaayta ke liye bola jaane wala jhooth satya se bhi bad hai jo satya Desh, apni avam nirdosh praani ki Raksha aur suraksha hetu bola jaaye,


Ishwar kahte hai jhooth ko unn haalaton mein kabhi shhama nhi kiya ja sakta jo kisi apradhi, anetik kaarya karne wale vayakti ko bachane k liye bola jaaye, jhooth ko sirf vishesh kaaran ke liye hi bolna chaahiye, usse apne aadat mein shaamil kar khud ko sarvshreshth athwa chaalak samajhne ki galti nhi karni chaahiye, jhooth bol kar kisi ko bewkoof banana ya khud ko shreshth dikhana ye sab nahi karna chahiye, iss kritya ke liye Ishwar hume kabhi shhama nhi karte, unhone iskee utpatti sirf kisi nirdosh aur sahi maayne mein madad mangne wale ki sahayta hetu iss sansaar ki hai, isse hume apne swaarth ke liye nahi upyog karna chaahiye, aisa karne se iska mehatva khatm ho jaata hai, iski utpatti netikta aur pranimaatra ki sahayta hetu hui hai...










thanks & regards
      Archu

Ishwar Vaani.....budhhimaan manushya.. *14*


Ishwar kahte hain hume har uss shakhs ko maaf kar dena chaahiye jo naadani mein koi galti kar deta hai, kyon ki usse uss galti ka ahsaas nhi hota, yadi hota to wo galti karta hi kyon?? yadi kisi budhhiheen vayakti ki moorkhtavash kahi hui baat, avhelna ityaadi se naraz ho kar uske saath bhi waisa hi vayvhaar karte hain to humse adkhik budhhiheen aur koi nahi ho sakta..

ek naadan manushya uss baalak ke samaan hota hai jo khud ko param gyaani samajh kar baate karta hai, usse lagta hai ki usse adhik gyaani sansaar mein koi aur hai hi nahi, wo apne gyaan ko jabardasti logon ko dikhane ki koshish karta hai taaki log usse param gyaani samjhe, jabki ek gyaani manushya kabhi khud ko sansar k samaksh param gyaani dikhane ki cheshta nahi karta, wo logon dwaara ki gayi avhelna ka bhi jawab bhi tab hi deta hai jab usse lagta hai ab iska sahi samay aa gaya hai, wo kabhi kisi ko na to neecha dikhata hai aur na khud ko sarva shresht dikhata, uski nazar mein apni apni budhhi ke anusaar sabhi mein gyaan aur samajhdaari hai,


wo buddhiheen athwa naadan manushyon ki galti ko bhi shhama kar deta hai, kyon ki aise log ek baalak ke samaan hote hai jo khud ko duniya mein sabse samajhdar samajhte hai, unhe lagta hai ki sampoorn jagat ka gyaan unhe hi hai jaisa ki ek aboth baalak samjhta hai, aise logon ki baat aur avhelna sunne ke baad bhi budhhimaan vyakti budhhiheen ki na kisi baat ka bura maanta hai balki uski har galti ke liye usse  maaf kar deta hai, kyon yadi wo usse maaf na kare balki uski baaton se naraz ho kar wo usse jawab de, uski baat ko apne jeevan se jod le aur budhhiheen ko kathor se kathor dand de ya fir uske saath ussi jaisa vayvhaar kare to uss vyakti se jyada budhhiheen koi aur nhi ho sakta, budhhimaan wahi hai jo maaf kar de kisi ki naadani mein hui galti ko.....






Ishwar bhi humari har galti ko maaf kar dete hai jab hum unse sachhe dil se maafi mangte hain, agar hum na bhi maange tab bhi wo kaafi had tak humari galtiyon ko maaf kar dete hain kyon?? kyon ki hum unki tarah param gyaani nahi hai, humse jaane anjaane kitnee galtiya ho jaati hai, Ishwar iss baato ko jaante hai, kintu yadi Ishwar na maaf kare hume,aur humari har chhoti badi galti ke liye hume dandit kare to unme aur saadharan budhhiheen manushya mein koi bhed na rahega, Ishwar hume bhi ye hi seekh dete hai ki hume bhi unki tarah apne se kam budhhi rakhne wale  manushyo ko shhama kar dena chaahiye,

kintu kisi ki naadani mein hui galti aur kisi k dwaara huye apraadh mein bada fark hai, galti nasamjhi ke kaaran hoti hai aur apraadh sab kuch jaanne k baad bhi manushya karta hai tatha jiske dushpareenam ka bhi uss gyaan hota hai, Ishwar kahte hai ek budhhiheen dwaara ki gayi galti ko shhama kiya ja sakta hai kyon ki usse sahi galat ka bodh nahi hota kintu ek apraadhi ko nahi....
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****


Wednesday, 19 December 2012

bewafai ka daaman thaame rahe...

"hm unhe manate rahe aur wo hmse ruthe rahe, hm unke karib aate rahe aur wo hmse dur hote gaye, dil ne koshish ki bahut unhe har khushi
dene ki, hasrat thi zindagi bhi unpe lutaane ki, shaayad ek
wafa-e-mohabbat ka gunah hm kar baithe, tabhi hm to har waqt unse wafa-e-Ishk nibhate gaye aur wo  bewafai ka daaman thaame rahe...."

Monday, 17 December 2012

Askh...

ajeeb kahani hai inn askhon ki, koi apna ban jaye to aaknhon se jhalak aate hain, koi humse dur chala jaaye to ye aankhon se nikal aate hai, hota hai koi gam zindagi mein agar tab bhi ye palkon mein nhi chhip paate aur hoti hai koi agar khushi zindagi mein tab bhi bin bataye sabko ye rah bhi nahi paate, koshish karte hain hum ki inhe na behaye aankhon se par ye to shayad bewafa hai unki tarah jo aankhon se nikal kar ye bhi hume akela chhod jaate hain,

mehakti rahe zindagi tumhari

phoolon ke jaise mehakti rahe zindagi tumhari, rahe har dard dur zindagi se tumhari, na kabhi gam aur tanhai tumhare paas ho, na kabhi khaalipan tumhare saath ho, har taraf bikhra rahe bas apno ka pyaar ho, mile har jagha wo khaas jisse tum chaaho apne kareeb baar baar, har lamha bas phoolon ki bagiya ki tarah mehakti rahe har subah aur shaam tumhari, dur rahe har aansu bhi zandagi se tumhari.....

Sunday, 16 December 2012

Ishwar Vaani....13...Shrashti ka Satya.....Shoonya Kya hai (what is zeero??)

priye paathak jaisa ki aap sabhi ne suna hoga ki shrishti ke nirmaan se poorva samasht jagat mein andhkaar avam shoonya vyaapt tha, aur issi shoonya se hi samasht shristi ki utpatti hui hai, par kya aap jaante hai ki ye shoonya kya tha aur isse samast shristhi ki utpatti kaise hui, priye shrotagan ye shoonya aur koi nahi shaakshaat Ishwar hai, aur inhee ki Ichha shakti se shamast shristi ka nirmaan hua, shrishti niraam se poorva samasht jagat mein shoonya viraajit tha iska pramaan dene ke liye hi Ishwar ne samasht Grah-Nakshatron ka aakar avam prakaar bhi shoonya "0" ka hi diya hai taaki maanav unhe dekh kar ye jaan sake samasht sharishti se poorva bhi shoonya hi viraajit tha aur iska ant bhi shoonya mein hi hoga, aur shrashti ek baar fir shoonya mein hi vileen ho jaaygi...


Ishwar kahte hain ki Aakashiye Divya Saagar bhi ussi Ishwariye Shoonya se utpann hua hai, arthaat srishti ki rachna hetu Shoonya Roopi Ishwar ne pahle uski rachna ki, uska bhi koi Shira vishaal Aakash mein viraajit nahi hai iska arth ye hai ki wo ho kar bhi nahi hai arthaat Shoonya se utpann ho kar wo bhi Shoonya Aakrati ka hi hai, tabhi praanimatra usse na to dekh sakta hai aur na hi usse pramanit kar sakta hai, usse sirf aur sirf Aadhyaatm dhwaara hi dekha ja sakta hai, mehsoos kiya ja sakta hai.


Priye Shrotagan, Ishwar ka vaastavik roop bhi ye hi hai shoonya arthaat "kuch nahi" arthaat jiska koi aakar nahi kintu bina aakar ke bhi wo khud mein poorna hai aur uske bina srashti mein kuch bhi sambhav nahi hai,
jo bhotik na ho kar abhotik hai wo hi Shoonya hai kintu uske bina kuch bhi sambhav nhi hai,Shoonya arthaat jiska koi chhor ya fir Shira na ho, jaise Prithvi ya kisi bhi Grah-Nakshatra ka koi bhi Chhor nahi hai, jahan se hum chalna shuru karte hain wahi pe wapas laut aate hai ghoom fir kar ye prakriya Shoonya kahlaati hai, Shrashti bhi aisee hi hia, jahan se aur jaise shuru hui thi aakhir ghoom fir kar wahi waapas aayegi jaise humari Aatma uss Parmeshwar se hi Utpann hoti hai aur aakhir mein ussi mein vileen ho jaati hai ye prakriya hi Shoonya hai ki jahan se prarambh hota hai wahi pe uska ant, 

kintu iske bina sampoorn jagat ka nirmaan bhi sambhav nahi hai kyon ye khud mein sampoorn hai jaise jis tarah ganit mein shoonya 1 ke saath mil kar 10 banta hai ussi prakaar Ishwar issi shoonya se apne bhakton ki upaasna aur unke mann ki kalpana ke aadhar par apna roop avam aakar prapt karte hain, humari aatma bhi ye hi hai Shoonya jo jis shareer mein jaati hai wo hi humara janm avam aakar hota hai, jaise Barf ko jis aakar ke bartan mein jamaya jaata hai ussi aakar mein wo jam kar waisa hi roop prapt karti hai waise hi humari aatma jis shareer mein pravesh leti hai waisa hi roop aur vyavhaar karti hai....

Priye Shrotagan jaisa aatam na stree hoti hai na purush, na pashu hoti hai aur na pakshi, na keet hoti hai aur na koi jeev, na nadi hoti hai na samandar, na vraksh hoti hai aur na koi podh kintu jiss shareer mein ye pravesh leti hai aur waisa hi roop prapt karti hai waise hi Ishwar bhi na Devi aur na Devta hai, unka apna koi roop nahi hai, kintu jab hum unhe "Devi" ya "Mata" ke roop mein pukaarte hai tab wo ussi roop mein humare samaksh hote hai kintu jab hum unhe 'Devta" ya "Pita" roop mein pukaarte hain tab wo ussi roop mein humare samaksh hote hai,

ye satya hai ki Ishwar ne humare samakh apne prateek ke roop mein hume Mata aur Pita diye hain, jinka samman aur seva karna humara sarva pratham kartva hai kintu jara unke bare mein bhi sochiye jo anaath hain, jinke mata-pita nahi hai, wo kise apna Ishwar ka prateek samjhe, sachh to ye hai Mata-Pita humare liye Ishwar ka prateek isliye hai jo na kewal hume janm dete hai balki humara paalan poshan karte hain, isliye uss anaath baalak ka baalan poshan karne wala jo bhi vyakti hoga wo hi uska Ishwariye prateek hoga, sirf janm dene wala hi humara Ishwariye prateek nhi ho sakta, ye wo hi ho sakta hai jo humara paalan poshan kar duniya mein ab tak jeevit rakhta hai, uss Parmeshwar ne hume janm dene aur jeevit rakhne k liye na sirt mata-pita ko diya apitu wo saath bhi prakrati ke roop mein diye taaki hum jahan tak sambhav ho behtar zinagi vyateet kar sake, ussi prakaar ek anaath baalak jiske janm dene wale mata-pita ka kuch pata to nahi kintu usse ab tak jeevit rakhne wale saadhan avam saadhya hi uske liye Ishwar aur uska prateek hain,

ye prteek kewal maanav ke liye hi nhi hote, pashu-pakshi bhi Ishwar ke prateek ke roop mein apne maalik ko maante hain kyon unse unhe wo sab prapt hota hai jo Ishwar se samast praniyon ko prapt hota hai, kintu jo pashu-pakshi kisi maanav ke adheen nahi hai wo kise apna Ishawriye prateek kahenge, wo bhi usse hi Ishariye prateek kahenge jiske wazah se wo ab tak jeevit hain.....



--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

subha aur shaam hoti hai,.,..



chalte chalte raah mein kyon  ye nazar aaj bhi sirf tujhe hi dhoondti hai, 

duniya ki bheed mein laakhon hai yaha par ye nigaahe sirf tujhe hi kyon aaj bhi dhoondti hai,

 manaa lete hain hum khushi bin tere par  aaj bhi iss dil to teri hi ummid kyon lagi rahti hai, baith akele mein ghar ki chaukhat pe aata hai reh reh kar aaj bhi mujhe tera hi ek khyaal kyon, bhool kar tujhse door jaane ke baad bhi meri dhadkan aaj bhi tujhe hi kyon dhoondti hai,

 jab thak jaate hai chalte huye beech raah mein tab thaam kar chale mera ye haath tu kyon aaj bhi mujhe ye aas lagi rahti hai, milte hain bahut log mujhe manzil tak pahuchaane wale par fir bhi kyon mere dil se aati ye pukaar sirf tujhe hi dhoondti hai,

aata hai jab naam zubaan pe kisi apne ka pahle tab kyon usme  shamil tera hi kyon naam hota  hai, hai pata mujhe tu tood kar har rishta dur chala gaya hai mujhse,

ho gaya hai juda tu mujhse, shayad teri khwaaish bhi ye hi thi, teri tammana ko jaane bina maine rishta tha tujhse ye joda,

 toote huye tujhse har rishte ke baad bhi kyon aaj bhi meri ye chaahat sirf tujhe hi dhoondti hai, par aaj sab jaante huye bhi meri ye saanse kyon sirf tujhe hi dhoondti hai, mil jaaye shayad tu zindagi ke kisi modd pe bas ye soch kar meri har subha aur shaam hoti hai

chalte chalte raah mein kyon  ye nazar aaj bhi sirf tujhe hi dhoondti hai


chalte chalte raah mein kyon  ye nazar aaj bhi sirf tujhe hi dhoondti hai
......