Saturday, 25 July 2015

ae dil bata-shayari

"Ae dil bata is marz ki dawa kya hai,
Siwa mohabbt ke maine ki khata kya hai,
Wo husn ki mallika main dil uspe hara hu,
Ae dil bata usse aashiqi ki waZah kya hai"

sherr

"Hey ishwar mujh par kuch aisi kripa do,
Main hun zamin, falak ka sitara bana do"

manav kar raha atyachaar-kavita

"Har kahi ho rahi hahakar, dekh usse dilse nikal rahi cheetkaar,
Gum ho chuka hai manav dharm, kho gaya shishtaachar,

Rota hai pagal mann mera dekh insaan ke ab achaar-vichaar,
Kisi ko sookhi roti nahi yaha, koi khaye dahi aur achaar,

 Brasht ho chuki duniya mein kis kadar felaa hai bhrashtachar,
Nirdayi ho chuki duniya mein, nahi hota ab daya ka sanchaar,

Chho chuke bhale aaj gagan ko ham par kho diya ye chamatkar,
Kho chuka ab wo bhai-chara, fell chuka har kahi ye vyabhichar,

Sachhe Prem ke nahi milte kisi shakhs mein ye vichaar,
Raag-dwesh aur hinsa har kahi, roti manavta manav kar raha atyachar,
Manav kar raha atyachaat-4

mehka diya tune-sherr....

"Ye ajib sa ahsaas diya tune,
Aam se khaas bana diya tune,
Bas ek kachhi si Kali thi main,
Bana pushp mehka diya tune"

Thursday, 23 July 2015

kitne khaas ho tum-kavita

"Ek khoobsurat ahsaas ho tum,
Dur ho kar bhi kitne paas ho tum,

Kaise samjhau tumhe ae zindagi,
Meri in khaaishon ki aas ho tum,

Rahti hai dil mein moorat jiski,
Mere liye to kitne khaas ho tum,


Meri har umango ka saaz ho tum,
Adhuri si zindagi ki saans ho tum,

Mera din aur meri raat ho tum,
Meri mohabbat ki pyaas ho tum,

Ek khoobsurat ahsaas ho tum,
Dur ho kar bhi kitne paas ho tum

meri shayeri collection-hindi

1\* jab se maine ishk mohabbat ko pana chhod diya, tab se apne liye yaaron maine jeena seekh liya,

Ek wakt tha Jo gujarta tha tere hi GAM ke sahare,
Aaj bhula ke har gam ko maine muskurana seekh liya,


2*\  anjani si in raaho mein chale ja rahe hain ham, na pata hai raahon ka na pata hai manil ka, bas bade ja rahe hain bas bade ja rahe hain,


3\*  zakhm dene wale hi aksar yaad aate hain, warna pyar dene wale ashk hi kahan bahne dete hain,

4*\ dil mein bas kar hi wo dil tod gaya,
Apna bana fir tanha mujhe chhod gaya,
Rahta tha dilme mere Jo khuda ki tarah,
Aaj majhdhar mein akela chhod gaya,


5\* tere intezaar mein ek afsaana likh dala,
Tu na aya bewfa ye sara zamana badal dala,


6*\ tu hi to meri gazal meri har nazm,
Tere hi naam ye zindagi har janm hai,
Guzra kal bata na dur tum Jana mujhse,
Na Ji sakenge tere bin ae mere sanam,


7\* nadi ke do kinaare hain ham,
Ek dusre ke sahare hain ham,
Na mile saath bhale umar bhar tera,
teri hi mohabbat ke maare hain ham


saza maine paayi hai- kavita

"Tujhse mohabbat ki har pal saza maine paayi hai,
Is wafa ke badle tujhse mili mujhe to ruswaayi hai,

Zeevan ki is dagar par ye baat ab samajh aayi hai,
Meri bhalaiyo ke badle mili mujhe kyon tanhai hai,

Karke yad tujhe bhi aaj meri aankhe bhar aayi hai,
Bhula kar bhi tujhe dil mein chhavi teri hi chhai hai,

Ae bewafa tere bina li na Maine koi angdaayi hai,
Tere bin jeene ki koi khwaish is dilme na aayi hai,

Teri yaado ki tashvir  is dil mein yu samaayi hai,
Tere siwa Kisi aur ki moorat dil mein na aayi hai,

Tu nahi hai paas par teri yaadon ki parchhai hai,
Is dilne jagah bas tere liye hi to ab tak banayi hai,"