this is not only a hindi sher o shayri site, there is also u can see short stories, articals, poetry in ur own language yes off course in hindi......
Saturday, 15 August 2015
ye duniya jaane kis oor
"Ye duniya jaane kis oor aaj ja rahi hai,
Har disha se askho ki gandh aa rahi hai,
Ban raha hai insaan hi dushman insaan ka,
Dharm ki aad mein insaniyat ja rahi hai,
Bhed-bhaawon se bhare hain log aaj zaha ke,
Ye dekho yaha kaisi hewaniyat chha rahi hai,
Roz lahoo bahate hain ye mazhab ke saudagar,
Bana mazhab khuda insaniyat dam tod rahi hai,
Bebas aur laachar hain kitne insaan yaha ke,
Dekh bebasi unki ye dhara bhi karha rahi hai,
ye dariya bhi bhar chuka hai manav ke khun se,
Har nadi yaha paani nahi lahoo laa rahi hai,
Ghut ghut kar dam todti har wakt ye insaniyat,
Farishto ki ankho se bhi paani jhalka rahi hai,
Dekh nazare duniya ke dilse ye awaz aa rahi hai,
Ye duniya jaane kis oor aaj ja rahi hai-3"
Saturday, 8 August 2015
dil le gaya----geet
"Dil le gaya haan dil le gaya,
Chori chori wo to dilme bas gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,
Dheere dheere dil uska ho gaya,
Jaane kaise kab ye ho gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,
Hoti hai mohabbat kya
mujhe malum na tha,
Dil lagana Jana na tha,
Holey holey dil uska ho gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,
Chupke se wo to dilme bas gaya,
Dil le gaya han dil le gaya,
Mohabbat hoti hai hasin itni,
Basti hai dilme ik tashvir sanam ki,
Unki chahat hi hoti hai beskimti,
Mohabbat ke ahsaas se anjan thi main,
Ishq ki mehfil se anjaan thi main,
Jaane kyon itni naadan thi main,
Dheere dheere dil uska ho gaya,
Dilme rahne Wala dil chura le gaya,
Pyaar ho gaya mujhe pyaar ho gaya
Jaane kaise kab ye ho gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,
Chori chori wo to dilme bas gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya-3
Chori chori wo to dilme bas gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,
Dheere dheere dil uska ho gaya,
Jaane kaise kab ye ho gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,
Hoti hai mohabbat kya
mujhe malum na tha,
Dil lagana Jana na tha,
Holey holey dil uska ho gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,
Chupke se wo to dilme bas gaya,
Dil le gaya han dil le gaya,
Mohabbat hoti hai hasin itni,
Basti hai dilme ik tashvir sanam ki,
Unki chahat hi hoti hai beskimti,
Mohabbat ke ahsaas se anjan thi main,
Ishq ki mehfil se anjaan thi main,
Jaane kyon itni naadan thi main,
Dheere dheere dil uska ho gaya,
Dilme rahne Wala dil chura le gaya,
Pyaar ho gaya mujhe pyaar ho gaya
Jaane kaise kab ye ho gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya,
Chori chori wo to dilme bas gaya,
Dil le gaya haan dil le gaya-3
Thursday, 30 July 2015
naman- dr. kalam ke liye meri chand lines
"Abhaavon mein khilaa kamal kalam uska tha,
Jita har Hindustani ka dil shakhs wo mahan tha,
Sadharan vyaktitwa jiska asadharan insaan tha,
Dilon me rahne Wala wo vyakti Bharat ki shan tha"
Jita har Hindustani ka dil shakhs wo mahan tha,
Sadharan vyaktitwa jiska asadharan insaan tha,
Dilon me rahne Wala wo vyakti Bharat ki shan tha"
Wednesday, 29 July 2015
ashru poorn alfaz- Dr. Kalam ke liye
1- Bhatat ki aan tha wo,
Desh ki shaan tha wo,
Kalam tha naam jiska,
Vyakti mahan tha wo,
2-
De kar bahut kuch aaj wo chala gaya,
Muskurata sadharn vyktitwa chala gaya,
Fir kisi desh fir kisi zamin ko roshit karne,
Bharat ka mahan Kalam wo chala gaya"

Tuesday, 28 July 2015
panchhi ban-kavita
"Panchhi ban main udna chahti hoon,
main bhi gagan ko chhuna chahti hoon,
Yaad rakhe zamana mujhe apne dilme,
Dilon mein yaad ban basna chahti hoon,
Panchhi ban main udna chahti hoon,
Roshit ghar ye aagan bas chahti hoon,
Ban kar Jyoti chamakna chahti hoon,
Suman ki tarah mahakna chahti hoon,
Barkha ban kar barasna chahti hoon,
Hasrato ka dariya bharna chahti hoon,
Adhoore khwaab poore chahti hoon,
Ban kar misaal bas jina chahti hoon,
Panchhi ban main udna chahti hoon,
Main bhi gagan ko chhuna chahti hoon"
main bhi gagan ko chhuna chahti hoon,
Yaad rakhe zamana mujhe apne dilme,
Dilon mein yaad ban basna chahti hoon,
Panchhi ban main udna chahti hoon,
Roshit ghar ye aagan bas chahti hoon,
Ban kar Jyoti chamakna chahti hoon,
Suman ki tarah mahakna chahti hoon,
Barkha ban kar barasna chahti hoon,
Hasrato ka dariya bharna chahti hoon,
Adhoore khwaab poore chahti hoon,
Ban kar misaal bas jina chahti hoon,
Panchhi ban main udna chahti hoon,
Main bhi gagan ko chhuna chahti hoon"
dhoondta hoon main-kavita
"Wakt se haara ek kinara dhoondta hoon main,
Hoon besahara, sahara dhoondta hoon main,
Kitna dard mila mujhe in kateeli raahon mein,
Zakhmo ka mara, ek sahara dhoonta hoon main,
Ye haalat kis kadar badal gaye yuh aaj to mere,
Kho chuke apno ka sahara dhoondta hoon main,
Ruswaiyo ke sagar mein aaj yu akela betha hoon,
Tanhaiyon mein fir sahara dhoondta hoon main,
Us jharokhe se aaj bhi ye nazara dekhta hoon main,
Viran si is zindagi mein sahara dhoonta hoon main,
Apne wazood ke ye nishaan dhoondta hoon main,
Jivan ki is wazah ka sahara dhoondta hoon main"

Sunday, 26 July 2015
shayri
1*Tere sang jiya har pal bahut yaad aata hai,
Tere sang jiya har lamha bahut yaad aata hai,
Jo guzari thi shaam Teri baaho mein Maine,
Tere sang jiya wo pal har lamha bahut yaad aata hai,
2* is hawa ke jhoke mein ek tera hi ahsaas hai,
Dur ho kar bhi tu mere kitne paas hai,
Aisa lagta hai jaise har lamha saath hai,
Bewafa dilbar mere liye aaj bhi kitna tu khaas hai,
3* duriyon ki parwah na ki tujhse Milne chali aayi,
Laaj Sharm haya haye sab chhod tere peeche aayi,
Par bewafa tune di mohabbat ki har mod par saza,
Meri chahat dekh ae bewafa teri aankhe na bhar aayi

Subscribe to:
Posts (Atom)